Pages

Showing posts with label Bahar. Show all posts
Showing posts with label Bahar. Show all posts

Tuesday, October 12, 2010

Kaanch Ka Jism

Kyun fir rahe ho kaif ye khatre ka ghar liye,
Ye kaanch ka jism ye kagaz ka sir liye,

Sholay nikal rahey hain gulabon ke jism se,
Titli na ja qareeb ye resham ke par liye,

Jaane-bahar naam hai lekin ye kaam hai,
Kaliyan taraash li to kabhi gul katar liye,

Raanjha bane hain, Qais bane, Kokahan bane,
Humne kisi ke waaste sab roop dhar liye,

Na-meherban-e-shahar ne thukra diya mujhe,
Main fir raha hoon apna makaa'n dar-ba-dar liye...!!!

**********

क्यूँ फिर रहे हो कैफ ये खतरे का घर लिये,
ये काँच का जिस्म, ये कागज़ का सर लिये,

शोले निकल रहे हैं, गुलाबों के जिस्म से,
तितली ना जा करीब ये रेशम के पर लिये,

जाने-बहार नाम है, लेकिन ये काम है,
कलियाँ तराश ली, तो कभी गुल क़तर लिये,

राँझा बने, कैस बने, कोकाहन बने,
हमने किसी के वास्ते सब रूप धर लिये,

ना-मेहरबान-ए-शहर ने ठुकरा दिया मुझे,
मैं फिर रहा हूँ अपना मकाँ, दर-ब-दर लिये...!!!

Wednesday, August 19, 2009

Phir Chale Aana

Hamari yaad sataye to phir chale aana,
Kahin qaraar na aaye to phir chale aana,

Tera pagal rahe ga hamari nazron mein,
Nazar se koi giraye to phir chale aana,

Hamare haal pe duniya ko hansane wale,
Tumhe zamana rulaye to phir chale aana,

Khuda kare baharon mein teri ye zindagi guzre,
Khizan ka khauf sataye to phir chale aana,

Har shakhs hai duniya mein pyar ke kabil,
Kisi pe pyar na aaye to phir chale aana...!!!


Bookmark and Share