Pages

Friday, July 31, 2009

Meri zindgi sawaar de

Ae waqt kabhi laut aa, Meri zindgi udhar de,
Mujhe aur kuch ata na kar, Jo kho gaya wo pyar de,

Mujhe wohi lamhe bakhsh de, Jinme wo mere sath tha,
Fir thaam kar zara khud ko tu, Meri zindgi sawaar de,

Meri tishnagi ki aanch mein, Hai awaaz kahi kho gayi,
Mere yaar ko awaaz de, Meri aur se pukar de,

Hai aaj mere sath bas, Meri mayusia tanhaiya,
Mere yaar zara reham kar, Mujhe thora sa karaar de,

Jo na de sake mujhe sukoon, To ye inteza kabool kar,
Jahan yaadein na pahunch sake, Mujhe aisi hi mazaar de,

Yahan har taraf adavatein, nafrat-o-fareb hai,
Jahan har zehan mein pyar ho, Koi aisa sansaar de....!!!


Bookmark and Share

Mujhe awaz de lena

Kabhi jab ankh chhalke to,
Kabhi jo dil na sambhle to,
Mujhe awaz de lena,

Kabhi jab door ho koi,
Bohat majboor ho koi,
Koi awaz na de to,
Mujhe awaz de lena,

Koi ansu na ponchhe to,
Koi hasne se roke to,
Koi tum ko sataye to,
Mujhe awaz de lena,

Kabhi jab din na guzre to,
Kabhi jab raat pad jaye,
Kabhi din me andhera ho,
Mujhe awaz de lena,

Main tere sath rehta hoon,
Magar fir bhi guzarish hai,
Kabhi Jab Dil rulaye to,
Mujhe awaz de lena!!!


Bookmark and Share

Panj Pyare


Panj Pyare
Originally uploaded by Harpreet Khera


Bookmark and Share

Satnam


Satnam
Originally uploaded by Harpreet Khera


Bookmark and Share

Charhdi Kala


Charhdi Kala
Originally uploaded by Harpreet Khera


Bookmark and Share

Tuesday, July 28, 2009

Bas Mein Agar Hota

Mere bas mein agar hota,
Hata kar chand taron ko,
Main neele aasman par bas,
Teri Ankhen bana deta,

Shajar hota to likh likh kar,
Tumhara 'Naam' patton par,
Tumhare shehar ki janib,
Hawaon mein uda deta....!


Bookmark and Share

Barbaad Na Kar

Aa ke le jao meri aankh ka pani mujh se,
Kyu hasad karti hai darya ki rawani mujh se,

Gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine,
Uss ne pucha tha judai ka maani mujh se,

Teri khushbu ki lehd par bada tanha tha,
Ro pari mil ke gale 'Raat ki Rani' mujh se,

Khatam hone laga jab khoon bhi aankho ki tarah,
Kar gaye khwab mere nakat makani mujh se,

Sirf ek shakhs ke gham mein mujhe 'Barbaad' na kar,
Roz rote huye kehti hai 'Jawani' mujh se...!


Bookmark and Share

Registan Si Dil Ki Zami

Zindgi jab kabhi meri roti rahi hai
Ek khalish si is dil mai hoti rahi hai

Tere baare mai socha jab kabhi,
Aankho mai nami hoti rahi hai

Jab tanhaayiyo ka daura kiya hamne
Mehsus teri kami hoti rahi hai

Tujhse juda kuchh nahi mere paas
Parchhaiyo bhi ajnabee hoti rahi hai

Hasadkhor hai fitrat-e-insaan yaha
Saanse bhi aadmi si hoti rahi hai

Hamne barsaaye aasmaan aankho se,
Registaan si dil ki zami hoti rahi hai.


Bookmark and Share

Friday, July 24, 2009

Bus Ab Laut Aao

Kahin wo mile to usse kehna ke laut aao,

Laut aao ke koi shiddat se,
Bari muddat se,
Bari mohabbat se tumhara intezar kar raha hai,

Laut aao ke kisi ki baaten,
Kisi ki yaaden,
Kisi ki raaten tum bin bohat adhuri hain,

Laut aao ke koi tum bin pal pal,
Har pal,
Har aaj aur har kal tanha hai,

Laut aao ke tumhare na hone se,
Kisi ki aankhon me nami,
Zindgi me kami bohat zyada hai,

Kahin mile to uss se kehna ke
Laut aao,
Bus ab laut aao.....!


Bookmark and Share

Saaf Keh Do Na

Nahi koi madham ishara saaf keh do na,
Kahan tak sath doge tum hamara saaf keh do na,

Judai ki tarah dariya bhi apne sath chalta hai,
Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,

Bahane apni majboori ke kyun aa kar sunate ho,
Kasoor us mein nahi koi tumhara saaf keh do na,

Humein tanhai ke taane to na do gher ke aage,
Ke hum bhi dhoond lein koi sahara saaf keh do na,

Hamare hath ki aksar lakeeren milti julti hain,
Magar milta nahi hai apna sitara saaf keh do na,


Bookmark and Share

Tuesday, July 21, 2009

Chehra Sajati Rahi

Bahut jyada tum hume bhulati rahi,
Isliye yaad der talak aati rahi,

Mere rone ka koi daayra baki na tha,
Aur tum haath pakadkar muskurati rahi,

Socha mar jayenge tere bin lekin,
Saans aati rahi aur saans jati rahi,

Har shaam khali paimano ko lekar,
Zindagi apne jalwe dikhati rahi,

Nikal gaya janaja teri gali se, magar
Tum apna chehra sajati rahi,

Dikhta raha chehra tera ruk ruk kar,
Jab jab hawa pardon se takrati rahi....


Bookmark and Share

Bewafa Kaise Hua

Khatam apni chahton ka silsila kaise hua,
Tu to mujh mein jazab tha mujh se juda kaise hua,

Wo jo sirf tere aur mere darmiyan ek baat thi,
Aao sochein shehar us se aashna kaise hua,

Chubh gayin seene mein tooti khawahishon ki kirchiyan,
Kya likhun dil tootney ka haadsa kaise hua,

Jo rang-e-jaan tha kabhi milta hai ab rukh fer kar,
Sochta hoon iss qadar wo bewafa kaise hua...


Bookmark and Share

Saturday, July 18, 2009

Ghazal

Lafz lafz likhte ro raha hoon
Ghazal mein aansu piro raha hoon

Qalam mein khoon-e-jigar bhara hai
Ghazal bhi khoon se bhigo raha hoon

Mile hain mujh ko yeh zakham kyunkar
Ghamo ki aandhi mein jo raha hoon

Bas ab na chherro ke magan hoon
Ghazal mein zakhmon ko kho raha hoon

Sukoon pane ke waaste kuch
Ghazal mein khud ko dubo raha hoon

Na kuch bhi Preet zubani poucho
Ghazal mein har dukh samo raha hoon


Bookmark and Share

Sahare Baant Lete Hain

Chalo aisa karen mil ke sitare baant lete hain,
Zarurat ke mutabik sab sahare baant lete hain,

Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai,
Munafa chhor dete hain khasare baant lete hain,

Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh kar,
Abhi dariya-e-Ulfat ke kinare baant lete hain,

Meri jholi me jitne bhi wafa ke phool hain inko,
Ikathe baith kar ik roz sare baant lete hain,

Mohabbat ke alawa pas apne kuch bhi nahi Saqi,
Isi daulat ko ham kismat ke mare baant lete hain.


Bookmark and Share

Friday, July 17, 2009

Sooli Pe Charha De

Is jurm-e-mohabbat ki mujhe kuch to saza de,
Jeene nahi deta to marne ki dua de,

Agar tujh ko satata hai mere ghar ka ujala,
Aye jaan-e-wafa aa ke chiragon ko bujha de,

Banta hai agar tere iradon mein rukawat,
Raste ka pathar hoon to thokar se hata de,

Haan tujh se mohabbat hai sirf tujh se mohabbat,
Aisa bhi na ho baat ye logon ko bata de,

Ab mere sanam tujh se hai bas ek taqaza,
Bahon mein mujhe le ya sooli pe charha de.


Bookmark and Share

Monday, July 13, 2009

Prabh Ji Araj Suno Je Meri

Daseyo prabh ji kehri junne, pap ki assan kamaya?
Diti jehri saja eh sanu, joon jizar di paiya,
Birho sanu gurti diti bhar bhar peer pyale,
Mathe sadde kanu rab ji lekh likhe sab kale?

Na sanu cham gora ditta, te na naksh tikhere
Na chandi da chamach sadde.. muh vich jamman vele,

De chhadeya bas dil ik sanu oh v kach da hani,
Oss vich enna pyar ke jikan sat samundri pani,
Pyar vihune jag vich sadi peer na kise pachhani
Jisma de janglan vech saddi kadar kise na jani,

Pyar de bhare es dil sadde tak, jhaat kise na pai,
Har ik nazar jisam nu folle mehkan di tirhai,
Jisam tan sadda kodiyo khotta kise nigah na tuleya,
Dil di saar kise na jani galiye galiye ruleya,

Es shehar vech husan nu hasse, milan ishq nu rone,
Vikan bazari mass de putle ek duje ton sohne,
Es shehar vich husna wale butt numaidi sare,
Buttan de es shehar vich vasde, buttan de vanjare,

Par ik din ik butt vekheya kach da nazari aave
Rang usda...... nazar peya v mailla ho jave,
Kare masoom aadai nale gal gal te sharmave,
nain ohdde ruh tikar uttran, mandd mandd muskave,

Shishe da butt jan ke ohde nal assa dil laya,
Par oh tan pathar da butt c, sangmarmar da jaiya,
Sangmarmari butt nu sadde, naksh mech na aaye,
Nain sadde rahe uninde, bul rahe tirhaye,

Ohde gorey rang nu sadda saval rang na bhaya,
Bas dil hi ik kam di sheh c oh v assi guvaya,
Sanu saddi akal marr gai kismat kar gai dhokha,
Kis dar ja ke dard sunaiye kis dar daiye hoka?

Jee tan karda os butt di raahi aan khaloiye,
Lange tan oss di perr nu chumiye.. dhai marr k roiye,
Par oh tan pather da butt c, pather nu ki rona?
Jihde dil nu dard kise de ,dil da mull na pouna

Hun tan prabh ji saddi araj suno tan saddi aaudd pugao,
Bhar joban sanu marr deyo par garbh na pur ke payeo,
Garbh je paiyo tan prabh ji cham deyo na kala,
Deyo asanu naksh tikhere matha karma vala,

Garbh je paiyo tan deyo asanu butt chanan da koi,
Ja fer full banayo sanu nal deyo khushboi,
Ja fer geet banayo sanu nal deyo sur save,
Saddi ik ik tuk nu koi kand surila gave,
Ja fer prabh ji banayo sanu badal da ik totta,
Nal deyo sanu mehka bhijya thandi hava da jhoka,

Hey prabh ji kitte enj na hove jamde marde rahiye,
Nit jamiye nit mariye te nit patharan de vas paiye,
Nahi tan prabh ji pret joon vi, ess ton bhali changeri,
Mukat karo sanu jeen maran ton araz suno je meri
Prabh ji araj suno je meri.....


Bookmark and Share

Kajal Laga Lo

Kahin aisa na ho daman jala lo,
Hamare aansuo pe khaak dalo,

Manana hi zaruri hai to phir tum,
Hamen sab se khafa ho kar manalo,

Bohat roi huee lagti hain aankhen,
Meri khatir zara kajal lagalo,

Bohat mayoos betha hun main tum se,
Kabhi aakar mujhey hairat main dalo,

Akele pan se khauf aata hai mujhko,
Kahan ho ai mere khaabo-khayalo?


Bookmark and Share

Doob Jana Hai

Masoom is mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
Kagaj ki haveli hai, barish ka zamaana hai..

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
Awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

Uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
Kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

Samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
Bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

Bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
Fir aag ka dariya hai.. Aur doob hi jana hai ...


Bookmark and Share

Tuesday, July 7, 2009

Mohabbat

Mujh say giley hain mujh pay bhrosa nahi usse,
Ye soch kar humne bhi to roka nahi usse,

Wo shaks kabhi chand sitaron se ye puchhe,
Hai kon si wo raat Jab hum ne socha nahi usse,

Alfaaz teer ban ke utarte rahe dil me,
Sunte rahe chup chap hi toka nahi usse,

Preet ye asool-e-wafa nahi mohabbat hai,
Hum Jaan to denge magar dhoka nahi usye....


Bookmark and Share

Tanha Bana Diya

Sabse chhupa kar jo wo dard muskura diya,
Uski hansi ne to aaj mujhko rula diya,

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuan,
Chehra bata raha tha ke sab kuch gawa diya,

Awaaz mein thehrao tha aankho mein nami thi,
Or keh raha tha ke sab kuch bhula diya,

Khud bhi wo humse bichhad kar adhura saa ho gaya,
Mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya....


Bookmark and Share

Ye Aur Baat Hai

Meri har ik ada mein chhupi thi meri tamanna,
Tum ne mehsoos na ki ye aur baat hai,

Maine har dam tere hi khwab dekhe,
Mujhe tabeer na mili ye aur baat hai,

Maine jab bhi tujhse baat karna chahi,
Mujhe alfaaz na mile ye aur baat hai,

Main meri tamanna ke samandar mein door tak nikla,
Mujhe sahil na mila ye aur baat hai,

Qudrat ne likha tha tujhko meri tamanna mein,
Meri kismat mein naa likha tha ye aur baat hai...


Bookmark and Share

Wednesday, July 1, 2009

Had Se Jyada

Jis shakhs se ki, wafa hamne jyada,
Uss shakss ne ki, zafa hamse jyada,

Kuch jurm ki lazzat ke tassavur ne ghera,
Qatil thi magar uski, ada had se jyada,

Muzrim to humein uske ravaiye ne banaya,
Bevazah mili humko, saza had se jyada,

Hum had se gujarne ke kayal nahi the,
Kyun aane lagi, yaad-e-kambhakt had se jyada,

Uss baat se to koi bhi, anjan nahi hai,
Kuch der ko hain, jaur-o-jafa had se jyada,

Aukat hi apni, na bhula baithun main ya rab,
Maqbool na kar meri, dua had se jyada,

Ghar baithe hi sab kuch jinhe mil jata hai,
Wo log hi karte hain, sada had se jyada.


Bookmark and Share

Bhej Deta hai

Kabhi yaadein, kabhi sapne suhane bhej deta hai,
Mujhe aksar wo yaadon ke khajane bhej deta hai,

Me jab guzre dino ki talkhiyon ko bhool jata hoon,
Mujhe phir koi beete zamane bhej deta hai,

Kabhi kasmein, kabhi ehd-e-wafa ka housla de kar,
Mujhe wo zinda rehne k bahane bhej deta hai..!


Bookmark and Share

Lout Aana

Udaas shamon ki siskiyon mein,
Kabhi jo meri awaaz sun'na,
To beete lamhon ko yaad kar ke,
Inhi fizaon main lout aana,

Tum aaya karte the khawab ban kar,
Kabhi mehkata gulab ban kar,
Main khushk honthon se ja pukarun,
In adaaon mein lout aana,

Meri wafaon ko paas rakhna,
Meri duaon ko paas rakhna,
Main khali hathon ko jab uthaun,
Meri duaon mein lout aana.


Bookmark and Share

Main Kya Karta

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,
Taweel hota gaya faasla main kya karta!

Her ek shakhs ko tha zaum-e rehbari kitna,
Bhatak raha tha mera qaafila main kya karta?

Gum-e-Hayaat, Gum-e-Ishq aur Gum-e-Janaan'
Ulajh gaya tha her ik silsila main kya karta!

Tumhare saath kise failse ki fursat thee,
Tumhari baad bhala faisla main kya karta.

Bahut sambhaal ke rakha tha Dil me raaz tera,
Wo ban ke ashk jo girne laga main kya karta.

Mujhi se maangne aayi wo le ke majboori,
Ab usse us ki jaffa ka Gilla main kya karta.

Wo aansuon ki zabaan' jaanti na thi meri,
Mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karta.


Bookmark and Share

Maa

Andhere hain raste,
Dia le ke jana.
Mere aansuon ki,
Zia le ke jana.

Tumhe haadson se
Bacha legi hamesha,

Suno! Ghar se Maa ki dua le ke jana


Bookmark and Share

Mujhe Tum Yaad Aate Ho.

Mukaddar ke sitaron par,
Zamanay ke isharon par,

Udasi ke kinaron par,
Kabhi viraan minaaron par,

Kabhi sunsan rahon main,
Kabhi hairan ankhon main,
Kabhi bejaan lamhon main,

Tumhari yad chupke se,
Koi sargoshi karti hai,
Yeh palken bheeg jati hain,
Do ansu toot girte hain,

Main palkon ko jhukata hoon,
Bazahir muskurata hoon,
Faqat itna hi keh pata hoon,
Mujhey kitna satate ho,

Mujhe tum yaad aate ho.


Bookmark and Share