Pages

Showing posts with label Muddat. Show all posts
Showing posts with label Muddat. Show all posts

Friday, February 11, 2011

Hawa Thami Thi Zaroor Lekin

Hawa thami thi zaroor lekin,
Wo shaam jaise sisak rahi thi,

Ke zard patton ko andhi'on ne,
Ajeeb kissa suna diya tha,

Ke jisko sunkar tamam patte,
Sisak rahe the,
Bilakh rahe the,

Jaane kis sannate ke gam mein,
Shajar jarhon se ukhad chuke the,

Bahut talash kiya humne tumko,
Har ek rasta,
Har ek waadi,
Har ek parbat,
Har ek ghati,

Magar kahin se teri khabar na aai,
To ye keh kar humne dil ko taala,

Hawa thamegi to dekh lenge,
Hum uske raston ko dhoondh lenge,

Magar hamari ye khush khayali,
Jo humko barbaad kar gai thi,

Hawa thami thi zaroor lekin,
Badi hi muddat guzar chuki thi,

Hamare baalon ke janglon mein,
Safed chandni utar chuki thi,

Falak pe taare nahi rahe the,
Gulab pyare nahi rahe the,

Wo, jin se basti thi dil ki basti,
Wo log saare nahi rahe the,

Magar ye almiyah tha sabse badtar,
Ke tum hamare nahi rahe the,

Ke tum hamare nahi rahe the...!!!

**********

हवा थमी थी ज़रूर लेकिन,
वो शाम जैसे सिसक रही थी,

के ज़र्द पत्तों को अन्धिओं ने,
अजीब किस्सा सुना दिया था,

के जिसको सुनकर तमाम पत्ते,
सिसक रहे थे,
बिलख रहे थे,

जाने किस सन्नाटे के गम में,
शजर जड़ों से उखड़ चुके थे,

बहुत तलाश किया हमने तुमको,
हर एक रस्ता,
हर एक वादी,
हर एक परबत,
हर एक घाटी,

मगर कहीं से तेरी खबर न आई,
तो ये कह कर हमने दिल को टाला,

हवा थमेगी तो देख लेंगे,
हम उसके रास्तों को ढूंढ लेंगे,

मगर हमारी ये खुश खयाली,
जो हमको बर्बाद कर गई थी,

हवा थमी थी ज़रूर लेकिन,
बड़ी ही मुद्दत गुज़र चुकी थी,

हमारे बालों के जंगलों में,
सफ़ेद चांदनी उतर चुकी थी,

फलक पे तारे नहीं रहे थे,
गुलाब प्यारे नहीं रहे थे,

वो जिन से बस्ती थी दिल की बस्ती,
वो लोग सारे नहीं रहे थे,

मगर ये अल्मियाह था सबसे बदतर,
के तूम हमारे नहीं रहे थे,

के तूम हमारे नहीं रहे थे...!!!

Thursday, January 13, 2011

Uske Siwa

Muddat se mera dil hai ke aabad nahi hai,
Honthon pe magar aaj bhi fariyad nahi hai,

Aata hai khayalon mein mere uska hi chehra,
Bas uske siwa kuch bhi mujhe yaad nahi hai,

Firte hai sabhi log yahan sahme hue se,
Is shehar mein jaise koi azad nahi hai,

Dekha hai ujadte hue kitne hi gharon ko,
Hai kaun jo is ishq mein barbad nahi hai,

Ik lehar si uth'ti hai aaj bhi dil mein,
Is lehar ke uthne ka sabab yaad nahi hai...!!!

**********

मुद्दत से मेरा दिल है के आबाद नहीं है,
होंठों पे मगर आज भी फरियाद नहीं है,

आता है ख्यालों में मेरे उसका ही चेहरा,
बस उसके सिवा कुछ भी मुझे याद नहीं है,

फिरते है सभी लोग यहाँ सहमे हुए से,
इस शहर में जैसे कोई आजाद नहीं है,

देखा है उजड़ते हुए कितने ही घरों को,
है कौन जो इस इश्क में बरबाद नहीं है,

इक लहर सी उठती है आज भी दिल में,
इस लहर के उठने का सबब याद नहीं है...!!!

Monday, August 17, 2009

Mujhe Bewafa Hi Rehne Do

Wo khafa hain hum se to khafa hi rehne do,
Hum ko unn ka gunahgar hi rehne do,

Wo samajhte hai ke hum ne dhokha diya hai unko,
Baat to jhoothi hai magar sach hi rehne do,

Muddaton mangi hain Khuda se khushiyan uski,
Jo aata hai ilzaam hum pe to ab ye ilzaam bhi rehne do,

Shart hai ye ke main bewafa banu,
Khushiyon mein uski mujhe bewafa hi rehne do,

Aayega waqt to dikhaenge tumko apna pyar,
Abhi hum ko bas khamosh hi rehne do,

Dard jarur hoga unki judai ka,
Par ye jakham abhi hamare dil par hi rehney do...!!!


Bookmark and Share

Friday, July 24, 2009

Bus Ab Laut Aao

Kahin wo mile to usse kehna ke laut aao,

Laut aao ke koi shiddat se,
Bari muddat se,
Bari mohabbat se tumhara intezar kar raha hai,

Laut aao ke kisi ki baaten,
Kisi ki yaaden,
Kisi ki raaten tum bin bohat adhuri hain,

Laut aao ke koi tum bin pal pal,
Har pal,
Har aaj aur har kal tanha hai,

Laut aao ke tumhare na hone se,
Kisi ki aankhon me nami,
Zindgi me kami bohat zyada hai,

Kahin mile to uss se kehna ke
Laut aao,
Bus ab laut aao.....!


Bookmark and Share