Pages

Showing posts with label Pal. Show all posts
Showing posts with label Pal. Show all posts

Tuesday, November 30, 2010

Bas Ek Pal Hi Laga Unko Rooth Jane Mein,

Bas ek pal hi laga unko rooth jane mein,
Hamari umar kati hai unhen manane mein,

Meri zameen mujhe bhi kahin samo lena,
Hain dafan kitne qazeene tere qazane mein,

Tumhen to jashn-e-charagan ka shaunk rehta hai,
Lagado aag hamare bhi aashiyane mein,

Gareeb dil pe jo gujri kisi ko kya maloom,
Maza to aapko aata raha satane mein,

Ab unke kooche mein Shahzad! Raat din baitho,
Main lag gaya hoon meri aabroo bachane mein...!!!

**********

बस एक पल ही लगा उनको रूठ जाने में,
हमारी उम्र कटी है उन्हें मनाने में,

मेरी ज़मीं मुझे भी कहीं समो लेना,
हैं दफ्न कितने क़जीने तेरे क़जाने में,

तुम्हें तो जश्न-ए-चरागां का शौंक रहता है,
लगादो आग हमारे भी आशियाने में,

गरीब दिल पे जो गुजरी किसी को क्या मालूम,
मज़ा तो आपको आता रहा सताने में,

अब उनके कूचे में शहजाद! रात दिन बैठो,
मैं लग गया हूँ मेरी आबरू बचाने में...!!!

Friday, July 24, 2009

Bus Ab Laut Aao

Kahin wo mile to usse kehna ke laut aao,

Laut aao ke koi shiddat se,
Bari muddat se,
Bari mohabbat se tumhara intezar kar raha hai,

Laut aao ke kisi ki baaten,
Kisi ki yaaden,
Kisi ki raaten tum bin bohat adhuri hain,

Laut aao ke koi tum bin pal pal,
Har pal,
Har aaj aur har kal tanha hai,

Laut aao ke tumhare na hone se,
Kisi ki aankhon me nami,
Zindgi me kami bohat zyada hai,

Kahin mile to uss se kehna ke
Laut aao,
Bus ab laut aao.....!


Bookmark and Share