Pages

Showing posts with label Samandar. Show all posts
Showing posts with label Samandar. Show all posts

Monday, December 28, 2009

Ye Gam Kya Hota Hai

Ashkon ke samandar se gujra hoon main,
Dard-e-ahsaas se bhi gujar hota hai aksar,
Fir bhi honton se muskurahat na juda hota hai,
Koi bata de mujhko ye gam kya hota hai,

Dil ki hasratein bhi dum torh chuki hain,
Sapno ki kirchiyan bhi chubhi hain mujhko,
Aankhon se fir bhi ek chamak ayan hota hai,
Koi bata de mujhko ye gam kya hota hai,

Baag mera saara ab sehra Hua,
Ab to ret me hi khushbu maine dhundh liya hai,
Kaanton se hi husn-e-gul byan hota hai,
Koi bata de mujhko ye gam kya hota hai,

Wafaaon ka janaja bhi uthaya hai maine,
Husn-e-ishq ko bhi maine kandha diya hai,
Kabr ke phoolon se khushbu kab juda hota hai,
Koi bata de mujhko ye gam kya hota hai...!!!

**********

अश्कों के समंदर से गुजरा हूँ मैं,
दर्द-ए-अह्सास से भी गुज़र होता है अक्सर्,
फिर भी होंठों से मुस्कुराहट ना जुदा होता है,
कोई बता दे मुझको ये गम क्या होता है,

दिल की हसरतें भी दम तोड़ चुकी हैं,
सपनों की किर्चियां भी चुभी है मुझको,
आंखो से फिर भी एक चमक अयां होता है,
कोई बता दे मुझको ये गम क्या होता है,

बाग मेरा सारा अब सेहरा हुआ,
अब तो रेत में ही खुश्बू मैने ढूंढ लिया है,
कांटो से ही हुस्न-ए-गुल बयां होता है,
कोई बता दे मुझको ये गम क्या होता है,

वफाओं का जनाज़ा भी उठाया है मैने,
हुस्न-ए-इश्क़ को भी मैने कांधा दिया है,
कब्र के फूलों से खुश्बू कब जुदा होता है,
कोई बता दे मुझको ये गम क्या होता है...!!!

Tuesday, July 7, 2009

Ye Aur Baat Hai

Meri har ik ada mein chhupi thi meri tamanna,
Tum ne mehsoos na ki ye aur baat hai,

Maine har dam tere hi khwab dekhe,
Mujhe tabeer na mili ye aur baat hai,

Maine jab bhi tujhse baat karna chahi,
Mujhe alfaaz na mile ye aur baat hai,

Main meri tamanna ke samandar mein door tak nikla,
Mujhe sahil na mila ye aur baat hai,

Qudrat ne likha tha tujhko meri tamanna mein,
Meri kismat mein naa likha tha ye aur baat hai...


Bookmark and Share

Monday, May 25, 2009

Mera Zikr Na Karna

Dukh Dard ke maaro se mera zikr na karna
Ghar jao to yaaro se mera zikr na karna

Wo zabt na kar payenge aankho ke samandar
Tum rah guzaro se mera zikr na karna

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein
Abb chand sitaro se mera zikr na karna

Wo meri kahani ko galat rang na de dein
Afsana nigaro se mera zikr na karna

Le jayenge gehrai me tum ko bhi baha kar
Dariya ke kinaro se mera zikr na karna

Woh shakhs mile to usse har bat batana
Tum sirf isharo se mera zikr na karna



Bookmark and Share