Pages

Showing posts with label Lakeeren. Show all posts
Showing posts with label Lakeeren. Show all posts

Friday, July 24, 2009

Saaf Keh Do Na

Nahi koi madham ishara saaf keh do na,
Kahan tak sath doge tum hamara saaf keh do na,

Judai ki tarah dariya bhi apne sath chalta hai,
Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,

Bahane apni majboori ke kyun aa kar sunate ho,
Kasoor us mein nahi koi tumhara saaf keh do na,

Humein tanhai ke taane to na do gher ke aage,
Ke hum bhi dhoond lein koi sahara saaf keh do na,

Hamare hath ki aksar lakeeren milti julti hain,
Magar milta nahi hai apna sitara saaf keh do na,


Bookmark and Share

Sunday, June 28, 2009

Lakeeren mita deta

Kahan mumkin tha main dil se teri yaad mita deta,
Bhala kaise main jeeta! agar tujh ko bhula deta,

Teri Ruswai ke darr se labon ko si liya warna,
Tere Shaher-e-Munafiq ki main buniyadein hila deta,

Kiya tark-e-wafa uss ne, hogi uss ki majburi,
Jise barson dua di thi, usse kya bad-dua deta,

Khabar hoti agar mujh ko, nahi hai tu muqaddar mein,
Usi lamhe main, hathon ki lakeeren mita deta.


Bookmark and Share