Pages

Showing posts with label Sitare. Show all posts
Showing posts with label Sitare. Show all posts

Wednesday, December 9, 2009

Chehra Gulab Hua Karta Tha

Kabhi uska chehra gulab hua karta tha,
Sab ki nazron ka wo khwab hua karta tha,

Chand sitare uske saamne mand parte the,
Wo to khud mehtaab hua karta tha,

Lehja bikhra aisa ke sambhal na paya,
Wo jo apni misaal aap hua karta tha,

Ab tanhai ke andhero mein kahin gum hai,
Wo ek shakhs jo aftaab hua karta tha...!!!

**********
कभी उसका चेहरा गुलाब हुआ करता था,
सब की नज़रों का वो ख्वाब हुआ करता था,

चांद सितारे उसके सामने मंद पड़ते थे,
वो तो खुद मेह्ताब हुआ करता था,

लेह्जा बिखरा ऐसा के सम्भल ना पाया,
वो जो अपनी मिसाल आप हुआ करता था,

अब तन्हाई के अंधेरों में कहीं गुम है,
वो एक शख्स जो आफ्ताब हुआ करता था...!!!

Saturday, July 18, 2009

Sahare Baant Lete Hain

Chalo aisa karen mil ke sitare baant lete hain,
Zarurat ke mutabik sab sahare baant lete hain,

Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai,
Munafa chhor dete hain khasare baant lete hain,

Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh kar,
Abhi dariya-e-Ulfat ke kinare baant lete hain,

Meri jholi me jitne bhi wafa ke phool hain inko,
Ikathe baith kar ik roz sare baant lete hain,

Mohabbat ke alawa pas apne kuch bhi nahi Saqi,
Isi daulat ko ham kismat ke mare baant lete hain.


Bookmark and Share