Pages

Showing posts with label Dua. Show all posts
Showing posts with label Dua. Show all posts

Friday, April 15, 2011

Main Ab Sone Se Darta Hoon

Kaha tha na,
Mujhe is tarah sota hua chhor kar mat jana,
Mujhe beshaq jaga dena,
Bata dena,
Mohabat ke safar mein sath mere chal nahi sakte,
Judai mein, hijr mein sath mere jal nahi sakte,

Tumhe rasta badalna hai,
Meri had se nikalna hai,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Tumhe jane nahi deta,
Kahin par qaid kar leta,

Arey pagli,
Mohabat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti,
Jise rasta badalna ho,
Usse rasta badalne se,
Jise hadd se nikalna ho,
Usse hadd se nikalne se,
Na koi rok paya hai,
Na koi rok payega,

Tumhe kis baat ka dar tha,
Mujhe beshaq jaga deti,
Tumhe main dekh hi leta,
Tumhe koi dua deta,
Kam se kam yoon to na hota,

Mere sathi haqiqat hai,
Tumhare baad khone ke liye kuch bhi nahi baki,
Magar khone se darta hoon,
Main ab sone se darta hoon...!!!

**********

कहा था ना,
मुझे इस तरह सोता हुआ छोड़ कर मत जाना,
मुझे बेशक जगा देना,
बता देना,
मोहब्बत के सफर में साथ मेरे चल नहीं सकते,
जुदाई में, हिजर में साथ मेरे जल नहीं सकते,

तुम्हे रस्ता बदलना है,
मेरी हद से निकलना है,
तुम्हे किस बात का डर था,
तुम्हे जाने नहीं देता,
कहीं पर क़ैद कर लेता,

अरे पगली,
मोहब्बत की तबीयत में ज़बरदस्ती नहीं होती,
जिसे रस्ता बदलना हो,
उसे रस्ता बदलने से,
जिसे हद से निकलना हो उसे हद से निकलने से,
ना कोई रोक पाया है,
ना कोई रोक पायेगा,

तुम्हे किस बात का डर था,
मुझे बेशक जगा देती,
तुम्हे मैं देख ही लेता,
तुम्हे कोई दुआ देता,
कम से कम यूं तो ना होता,

मेरे साथी हकीकत है,
तुम्हारे बाद खोने के लिए कुछ भी नहीं बाकी,
मगर खोने से डरता हूँ,
मैं अब सोने से डरता हूँ...!!!

Sunday, May 2, 2010

Agar Kaho Haal Dil ka Suanu Tumko

Agar kaho to haal dil ka sunau tumko,
Tamam umr samne bithaun tumko,

Mere zakhmon ka haal puchho agar jaan-e-jaan,
To ik-ik zakhm ki tafseel sunau tumko,

Maut ki neend se bhi gehri ik neend hoti hai,
Teri bahon ka ho takiya to dikhaun tumko,

Yahi dua hai ke wo waqt aaye fir ek baar,
Tum jo rutho to hath zor kar manaun tumko,

Har shakhs mein mujhe ek rakeeb nazar aata hai,
Bol ae mere hum nawa kis-kis ki nazar se bachaun tumko...!!!

**********

अगर कहो तो हाल दिल का सुनाऊं तुमको,
तमाम उम्र सामने बिठाऊं तुमको,

मेरे ज़ख्मों का हाल पूछो अगर जान-ए-जां,
तो इक इक ज़ख्म की तफसील सुनाऊं तुमको,

मौत की नींद से भी इक गहरी नींद होती है,
तेरी बाँहों का हो तकिया, तो दिखाऊं तुमको,

यही दुआ है के वो वक्त आये फिर इक बार,
तुम जो रूठो तो हाथ जोड़ कर मनाऊं तुमको,

हर शख्स में मुझे एक रकीब नज़र आता है,
बोल ए मेरे हम नवा किस किस की नज़र से बचाऊं तुमको...!!!

Saturday, December 5, 2009

Tum To Nahi Ho

Sun lee jo khuda ne dua, wo tum to nahi ho,
Darwaje pe dastak ki sada, tum to nahi ho,

Simti hui, sharmai hui raat ki rani,
Soi hui kaliyon ki haya tum to nahi ho,

Mehsoos kia tum ko to gili hui palken,
Bheege hue mousam ki adaa tum to nahi ho,

Inn ajnabi rahon mein nahi koi bhi mera,
Kis ne mujhe youn apna kaha, tum to nahi ho...!!!

Wednesday, July 1, 2009

Lout Aana

Udaas shamon ki siskiyon mein,
Kabhi jo meri awaaz sun'na,
To beete lamhon ko yaad kar ke,
Inhi fizaon main lout aana,

Tum aaya karte the khawab ban kar,
Kabhi mehkata gulab ban kar,
Main khushk honthon se ja pukarun,
In adaaon mein lout aana,

Meri wafaon ko paas rakhna,
Meri duaon ko paas rakhna,
Main khali hathon ko jab uthaun,
Meri duaon mein lout aana.


Bookmark and Share

Maa

Andhere hain raste,
Dia le ke jana.
Mere aansuon ki,
Zia le ke jana.

Tumhe haadson se
Bacha legi hamesha,

Suno! Ghar se Maa ki dua le ke jana


Bookmark and Share

Monday, May 25, 2009

Tere Ishq Mein

Woh samaa tha meri duaon ka,
Usse kis ne apna bana liya

Meri aankh kis ne ujaar di
Mera khwab kis ne chura liya

Tujhe kya bataein ae dil-e-nasheen
Tere ishq mein teri yaad mein

Kabhi guftgu rahi phool se
Kabhi chand chhat pe bula liya

Mujhe pehle pehal jo dekh kar
Tera haal tha mujhe yad hai

Kabhi jal gayi teri rotian
Kabhi hath tune jala liya

Mere dushmano ki nazar mein bhi
Mera kad bada hi raha sada

Meri maan ke dil ki duaon ne
Mujhe zillato se bacha liya



Bookmark and Share