Pages

Showing posts with label Jurm. Show all posts
Showing posts with label Jurm. Show all posts

Saturday, December 4, 2010

Judai De Raha Hoon

Nazar se door hoon lekin, dikhai de raha hoon,
Main chup hoon magar usko, sunai de raha hoon,

Mere charon taraf, nauha'garon ki basti'an hain,
Main unko dawat-e-naghma, Saraii de raha hoon,

Wo apne jurm par Nadim nahi, aur mujhko dekho,
Main apne aap ko uski, Safai de raha hoon,

Wisal aamez lamho ko Bacha kar rakhne wale,
Main tujh ko umr bhar ki, Judai de raha hoon...!!!

**********

नज़र से दूर हूँ लेकिन, दिखाई दे रहा हूँ,
मैं चुप हूँ मगर उसको, सुनाई दे रहा हूँ,

मेरे चारों तरफ, नौहागरों की बस्तियाँ हैं,
मैं उनको दावत-ए-नगमा, सराई दे रहा हूँ,

वो अपने जुर्म पर नदीम नहीं, और मुझको देखो,
मैं अपने आप को उसकी, सफाई दे रहा हूँ,

विसाल आमेज़ लम्हों को बचा कर रखने वाले,
मैं तुझ को उम्र भर की, जुदाई दे रहा हूँ...!!!







Nauha gar: Wo log jo paise le ke dusre ke gham per rote hai;
Dawat-e-naghma sarai: Gane ki dawat dena ya gane k liye bulana;
Nadim: sharminda;
Wisal aamez lamhe: Wo pal jis mein mehboob sath sath ho;

Wednesday, August 12, 2009

Meri Saadgi Mera Jurm Hai

Yahan chaton ka sila nahi,
Yahan dosti ka maza nahi,

Yahan jane kaisi hawa chali,
Rahi doston mein wafa nahi,

Yahan jal gya mera aashiyan,
Abhi badlon ko pata nahi,

Tere dar pe dastak main de sakun,
Ye haq mujhe kabhi mila nahi,

Main raahi rah-e-umeed ka,
Mujhe manzilon ka pata nahi,

Bebas hoon jahan mein itna ke,
Jaise mera koi khuda nahi,

Meri saadgi mera jurm hai,
Koi aur meri khata nahi...!!!


Bookmark and Share

Friday, July 17, 2009

Sooli Pe Charha De

Is jurm-e-mohabbat ki mujhe kuch to saza de,
Jeene nahi deta to marne ki dua de,

Agar tujh ko satata hai mere ghar ka ujala,
Aye jaan-e-wafa aa ke chiragon ko bujha de,

Banta hai agar tere iradon mein rukawat,
Raste ka pathar hoon to thokar se hata de,

Haan tujh se mohabbat hai sirf tujh se mohabbat,
Aisa bhi na ho baat ye logon ko bata de,

Ab mere sanam tujh se hai bas ek taqaza,
Bahon mein mujhe le ya sooli pe charha de.


Bookmark and Share

Wednesday, July 1, 2009

Had Se Jyada

Jis shakhs se ki, wafa hamne jyada,
Uss shakss ne ki, zafa hamse jyada,

Kuch jurm ki lazzat ke tassavur ne ghera,
Qatil thi magar uski, ada had se jyada,

Muzrim to humein uske ravaiye ne banaya,
Bevazah mili humko, saza had se jyada,

Hum had se gujarne ke kayal nahi the,
Kyun aane lagi, yaad-e-kambhakt had se jyada,

Uss baat se to koi bhi, anjan nahi hai,
Kuch der ko hain, jaur-o-jafa had se jyada,

Aukat hi apni, na bhula baithun main ya rab,
Maqbool na kar meri, dua had se jyada,

Ghar baithe hi sab kuch jinhe mil jata hai,
Wo log hi karte hain, sada had se jyada.


Bookmark and Share