Pages

Showing posts with label Badal. Show all posts
Showing posts with label Badal. Show all posts

Thursday, February 24, 2011

Main Aur Tu

Nain udeekan raahan takde, Baddal garjan raat aur tu,
Aa dowen ik mik ho jaiye, Main moorkh, barsaat aur tu,

Ban parbat ghor udasi, diwanapan saugat aur tu,
Man nirmal aur tan chandan, Main ki, meri ki zaat aur tu,

Sajda sajda tera tasavvur, Maula bakhshi daat aur tu,
Vasal dian ghadiyan hon jugan lammian, Ik paase kaaynat aur tu...!!!

**********

ਨੈਨ ਉਡੀਕਣ ਰਾਹਾਂ ਤੱਕਦੇ, ਬੱਦਲ ਗਰ੍ਜਨ, ਰਾਤ ਔਰ ਤੂ,
ਆ ਦੋਵੇਂ ਇਕ ਮਿਕ ਹੋ ਜਾਈਯੇ, ਮੈਂ ਮੂਰਖ, ਬਰਸਾਤ ਔਰ ਤੂ,

ਬਣ ਪਰਬਤ ਘੋਰ ਉਦਾਸੀ, ਦੀਵਾਨਾਪਨ ਸੌਗਾਤ ਔਰ ਤੂ,
ਮਨ ਨਿਰਮਲ ਔਰ ਤਨ ਚੰਦਨ, ਮੈਂ ਕੀ? ਮੇਰੀ ਕੀ ਜਾਤ ਔਰ ਤੂ,

ਸਜਦਾ ਸਜਦਾ ਤੇਰਾ ਤਸ੍ਵ੍ਵਰ, ਮੌਲਾ ਬਖਸ਼ੀ ਦਾਤ ਔਰ ਤੂ,
ਵਸਲ ਦੀਆਂ ਘਡਿਯਾਂ ਹੋਣ ਜੁੱਗਾਂ ਲੰਮੀਆਂ, ਇਕ ਪਾਸੇ ਕਾਯਨਾਤ ਔਰ ਤੂ...!!!

Friday, November 13, 2009

Mohabbat Seekh Kar Karna

Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai,
Gireban taar hota hai,
Kabhi inkar hota hai,
Kabhi ikrar hota hai,

Mohabbar seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to srabon ki kahani hai,
Dukhon ki raj-dhani hai,
Jo kal ban jayega badal,
Yeh dariya ka woh pani hai,

Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to azab-e-zindgi thehri,
Sarab-e-zindgi thehri,
Na ho takmeel jiski woh
Kitab-e-zindgi thehri,
Isi khatir to kehta hoon,

Kisi Ustaad-e-kamil se,
Mohabbat Seekh kar karna...!!!

Wednesday, August 12, 2009

Meri Saadgi Mera Jurm Hai

Yahan chaton ka sila nahi,
Yahan dosti ka maza nahi,

Yahan jane kaisi hawa chali,
Rahi doston mein wafa nahi,

Yahan jal gya mera aashiyan,
Abhi badlon ko pata nahi,

Tere dar pe dastak main de sakun,
Ye haq mujhe kabhi mila nahi,

Main raahi rah-e-umeed ka,
Mujhe manzilon ka pata nahi,

Bebas hoon jahan mein itna ke,
Jaise mera koi khuda nahi,

Meri saadgi mera jurm hai,
Koi aur meri khata nahi...!!!


Bookmark and Share