Pages

Showing posts with label Awaz. Show all posts
Showing posts with label Awaz. Show all posts

Tuesday, December 8, 2009

Tanha Bana Diya

Sab se chhupa kar dard woh jo muskura diya,
Uss ki hansi ne to mujhko aaj rula diya,

Lahje se uth raha tha ik dard ka dhuan,
Chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi,
Aur keh raha tha ke maine sab kuch bhula diya,

Jane kya usko logon se thi shikayatein,
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya,

Khud bhi woh hum se bichad kar adhura sa ho gaya,
Mujh ko bhi ithe logon mein tanha bana diya...!!!

**********

सब से छुपा कर दर्द वो जो मुस्कुरा दिया,
उस की हंसी ने तो मुझको आज रुला दिया,

लेहजे से उठ रहा था इक दर्द का धुआं,
चेहरा बता रहा था के कुछ गंवा दिया,

आवाज में ठहराव था आंखो में नमी थी,
और कह रहा था के मैने सब कुछ भुला दिया,

जाने क्या उसको लोगों से थी शिकायतें,
तन्हाईयों के देश में खुद को बसा दिया,

खुद भी हमसे बिछड़ कर अधूरा सा हो गया,
मुझको भी इतने लोगों में तन्हा बना दिया...!!!

Friday, July 31, 2009

Mujhe awaz de lena

Kabhi jab ankh chhalke to,
Kabhi jo dil na sambhle to,
Mujhe awaz de lena,

Kabhi jab door ho koi,
Bohat majboor ho koi,
Koi awaz na de to,
Mujhe awaz de lena,

Koi ansu na ponchhe to,
Koi hasne se roke to,
Koi tum ko sataye to,
Mujhe awaz de lena,

Kabhi jab din na guzre to,
Kabhi jab raat pad jaye,
Kabhi din me andhera ho,
Mujhe awaz de lena,

Main tere sath rehta hoon,
Magar fir bhi guzarish hai,
Kabhi Jab Dil rulaye to,
Mujhe awaz de lena!!!


Bookmark and Share

Monday, July 13, 2009

Doob Jana Hai

Masoom is mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
Kagaj ki haveli hai, barish ka zamaana hai..

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
Awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

Uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
Kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

Samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
Bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

Bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
Fir aag ka dariya hai.. Aur doob hi jana hai ...


Bookmark and Share