Main aaina tha woh mera khayal rakhti thi,
Main toot'ta tha to chun kar sambhal rakhti thi,
Har ek masle ka hal wo nikal rakhti thi,
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi,
Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha,
Wo mujhe rokti thi kal pe taal rakhti thi,
Bas ek wo thi jise ghao mein dekhta tha,
Bas ek wo thi keh jo andmaal rakhti thi,
Woh mere dard ko chunti thi apne poron se,
Woh mere waaste khud ko nadhal rakhti thi,
Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein,
Mere wajood ki nao uchhal rakhti thi,
Dua’en uski bala’on ko rok leti thi,
Wo char sau hathon ka dhal rakhti thi,
Ek aisi dhun kahi nahi fir maine suni,
Wo munfared si hansi mein kamal rakhti thi,
Use nadamate’n meri kahan gawara thi,
Wo mere waste asaan sawal rakhti thi,
Bichad ke us’se main dunia ke thokron mein hoon,
Wo paas thi to mujhe la’zawaal rakhti thi,
Sahar tha naam, Ujale gulam the uske,
Wo zindgi ke andhere ujaal rakhti thi,
Wo muntazir meri rehti thi dhoop mein shayad,
Main laut’ta tha chhaon nikal rakhti thi…!!!
**********
मैं आइना था वो मेरा ख्याल रखती थी,
मैं टूटता था तो चुन कर संभाल रखती थी,
हर एक मसले का हल वो निकल रखती थी,
ज़हीन थी, मुझे हैरत में डाल रखती थी,
मैं जब भी तर्क-ए-ताल्लुक की बात करता था,
वो मुझे रोकती थी कल पे टाल रखती थी,
बस एक वो थी जिसे गांव में देखा करता था,
बस एक वो थी कह जो अंदमॉल रखती थी,
वो मेरे दर्द को चुनती थी अपने पोरों से,
वो मेरे वास्ते खुद को निढाल रखती थी,
वो डूबने नहीं देती थी दुःख के दरिया में,
मेरे वजूद की नाव उछाल रखती थी,
दुआएं उसकी बलाओं को रोक लेती थी,
वो चार सौ हाथों का ढाल रखती थी,
एक ऐसी धुन कही नहीं फिर मैंने सुनी,
वो मूनफरेद सी हँसी में कमाल रखती थी,
उसे नदामतें मेरी कहाँ गवारा थी,
वो मेरे वास्ते आसान सवाल रखती थी,
बिछड़ के उससे मैं दुनिया की ठोकर में हूँ,
वो पास थी तो मुझे लाजवाल रखती थी,
सहर था नाम, उजाले गुलाम थे उसके,
वो जिंदगी के अँधेरे उजाल रखती थी,
वो मुन्तजिर मेरी रहती थी धुप में शायद,
मैं लौटता था छांव निकल रखती थी...!!!
Showing posts with label Khayal. Show all posts
Showing posts with label Khayal. Show all posts
Sunday, May 16, 2010
Saturday, November 7, 2009
Tum Bhi Kya Kamaal Karte Ho
Ranj de kar malaal karte ho,
Tum bhi kya kamaal karte ho,
Dekh kar pooch liya haal mera,
Chalo kuch to mera khayal karte ho,
Shehar-e-dil mein ye udasiyan kaisi,
Ye bhi mujh se sawaal karte ho,
Ab kis kis ki misaal doon main,
Har sitam be-misaal karte ho...!!!
Tum bhi kya kamaal karte ho,
Dekh kar pooch liya haal mera,
Chalo kuch to mera khayal karte ho,
Shehar-e-dil mein ye udasiyan kaisi,
Ye bhi mujh se sawaal karte ho,
Ab kis kis ki misaal doon main,
Har sitam be-misaal karte ho...!!!
Wednesday, November 4, 2009
Mujhe Tum Se Ishq Zaroor Hai
Teri uss adaa se bhi hun aashna,
Tujhe jis pe itna garoor hai,
Main jiyunga tere bagair bhi,
Mujhe zindgi ka sha'oor hai,
Na hawas mujhe may-naab ki,
Na talab saba-o-sahaab ki,
Teri chashm-e-naz ke khair ho,
Mujhe be-piye hi saroor hai,
Jo samajh liya tujhe bewafa,
To is mein teri kya khata,
Yeh khayal mere dimag ka,
Yeh meri nazar ka kasoor hai,
Koi baat dil mein woh tthan ke,
Na ulajh parhe teri shan se,
Wo niyazmand jo ke sir ba-khum,
Kai din se tere huzoor hai,
Main nikal ke bhi tere daam se,
Na giroon ke apne maqaam se,
Main Katil-e-jor-o-sitam sahi,
Mujhe tum se ishq zaroor hai...!!!
Tujhe jis pe itna garoor hai,
Main jiyunga tere bagair bhi,
Mujhe zindgi ka sha'oor hai,
Na hawas mujhe may-naab ki,
Na talab saba-o-sahaab ki,
Teri chashm-e-naz ke khair ho,
Mujhe be-piye hi saroor hai,
Jo samajh liya tujhe bewafa,
To is mein teri kya khata,
Yeh khayal mere dimag ka,
Yeh meri nazar ka kasoor hai,
Koi baat dil mein woh tthan ke,
Na ulajh parhe teri shan se,
Wo niyazmand jo ke sir ba-khum,
Kai din se tere huzoor hai,
Main nikal ke bhi tere daam se,
Na giroon ke apne maqaam se,
Main Katil-e-jor-o-sitam sahi,
Mujhe tum se ishq zaroor hai...!!!
Wednesday, August 12, 2009
Sanam Hain Sab Ke Lekin....
Meri nigah ka haasil jamaal tera hai,
Ke iss ghazal mein sara'sar khayal, tera hai,
ye aaj mera likha de raha hai jo khushboo,
Nahin hai iss mein mera kuch kamaal, tera hai,
Mujhe hai fikar teri, main to chalo bhula doonga,
Tu kaise bhool sakega sawaal, tera hai,
Karoon main laakh jatan par nikal nahi pata,
Mujhe jakarh ke jo rakhta hai jaal, tera hai,
Kaha hai dil ne mere aaj mujh se ye tanha,
Sanam hai sab ke magar 'Bemisaal' tera hai....!!!
Ke iss ghazal mein sara'sar khayal, tera hai,
ye aaj mera likha de raha hai jo khushboo,
Nahin hai iss mein mera kuch kamaal, tera hai,
Mujhe hai fikar teri, main to chalo bhula doonga,
Tu kaise bhool sakega sawaal, tera hai,
Karoon main laakh jatan par nikal nahi pata,
Mujhe jakarh ke jo rakhta hai jaal, tera hai,
Kaha hai dil ne mere aaj mujh se ye tanha,
Sanam hai sab ke magar 'Bemisaal' tera hai....!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)