Pages

Showing posts with label Marham. Show all posts
Showing posts with label Marham. Show all posts

Monday, February 14, 2011

Uski Yadein Marham Marham

Raat ki zulfen barham barham,
Dard ki lau hai madham madham,

Mere kisse galiyan galiyan,
Tera charcha alam alam,

Ishq ki ratein patthar patthar,
Husn ki batein resham resham,

Ek jaza hai jannat jannat,
Ek khata hai aadam aadam,

Ek azaab hai basti basti,
Ek sada hai maatam maatam,

Hijr ke lamhe zakhmi zakhmi,
Uski yadein marham marham...!!!

**********

रात की जुल्फें बरहम बरहम,
दर्द की लौ है मद्धम मद्धम,

मेरे किस्से गलियां गलियां,
तेरा चर्चा आलम आलम,

इश्क की रातें पत्थर पत्थर,
हुस्न की बातें रेशम रेशम,

एक जज़ा है जन्नत जन्नत,
एक खता है आदम आदम,

एक अज़ाब है बस्ती बस्ती,
एक सदा है मातम मातम,

हिजर के लम्हे ज़ख़्मी ज़ख़्मी,
उसकी यादें मरहम मरहम...!!!

Sunday, October 25, 2009

Mohabbat Khauf Kab Se Hai

Mohabbat khauf hoti hai

Kabhi nadaan karti hai
Kabhi hairaan karti hai

Mujhe maloom hai shayad

Bahut nuksan karti hai
Ye ghar veeran karti hai

Jahan hon raunaken zinda
Wo dil sunsan karti hai

Magar ab sun mere humdam
Mujhe karni mohabbat hai

Mohabbat wo haqeeqat hai

Jo dil abaad karti hai
Sabhi ko shaad karti hai
Marron ko yaad karti hai

Mohabbat khauf kab se hai
Mohabbat rog kab se hai

Ye marham hai maseeha hai
Ye deepak hai ye dia hai

Chalo acha hua jaana
Gaya main jaan ye jaana
Suno phir gaur se jaana

Mujhe TumSe Mohabbat hai...!!!