Pages

Showing posts with label Thandak. Show all posts
Showing posts with label Thandak. Show all posts

Tuesday, October 12, 2010

Sar-E-Sham

Ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham,
Aakash pe jab chand nikalta hai sar-e-sham,

Benaam si ek aag dahak uth'ti hai dil mein,
Mehtaab jo thandak si ugalta hai sar-e-sham,

Ye dil hai mera ya kisi kooche ka diya hai,
Bujhta hai dam-e-subah to jalta hai sar-e-sham,

Kuch der shafaq folti hai jaise ufaq par,
Aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-sham,

Banta hai tera jism kabhi gul kabhi shola,
Saanche mein khyalon ke jo dhalta hai sar-e-sham,

Chhant jati hai aalam-e-zamana ki syahi,
Jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham...!!!

**********

एक दर्द सा पहलु में मचलता है सर-ए-शाम,
आकाश पे जब चाँद निकलता है सर-ए-शाम,

बेनाम सी एक आग दहक उठती है दिल में,
महताब तो ठंडक सी उगलता है सर-ए-शाम,

ये दिल है मेरा या किसी कूचे का दिया है,
बुझता है दम-ए-सुबह तो जलता है सर-ए-शाम,

कुछ देर शफ़क फोलती है जैसे उफाक पर,
ऐसे ही मेरा हाल संभलता है सर-ए-शाम,

बनता है तेरा जिस्म कभी गुल कभी शोला,
सांचे में ख्यालों के जो ढलता है सर-ए-शाम,

छंट जाती है आलम-ए-ज़माना की स्याही,
जब दौर तेरी याद का चलता है सर-ए-शाम...!!!

Sunday, June 28, 2009

Sawal kitna ajeeb sa tha

Nazar me zulat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,

Main us ki chahat me ghar se nilka to
Haal kitna ajeeb sa tha,

Na mainne usse khat likhe na usne meri panah chahi,
Dono ko apni be khudi pe malal kitna ajeeb sa tha,

Wo apni raton me chand dekhe, main apni raton main us ko sochun,
Badalte lamhon me soch ka yeh, visaal kitna ajeeb sa tha,

Safar akele hi kaat lo ge, maine pochha to ro diya wo,
Jawab kitna ajeeb sa tha....
Sawal kitna ajeeb sa tha....


Bookmark and Share