Pages

Showing posts with label Shama. Show all posts
Showing posts with label Shama. Show all posts

Friday, January 14, 2011

Ye Chubhan Akelepan Ki

Ye chubhan akelepan ki, Ye lagan udas shab se,
Main hawa se lad raha hoon, Tujhe kya bataun kab se,

Ye sahar ki sazishen thi, Ke ye inteqam-e-shab tha,
Mujhe zindgi ka suraj, Na bacha saka gazab se,

Tere naam se shifa ho, Koi zakhm wo ata kar,
Mere nama bar! mile to, Use kehna ye adab se,

Wo jawan ruton ki shama'en, Kahan kho gayi hain,
Main to bujh ke reh gaya hoon, Tu bichhad gaya hai jab se...!!!

**********

ये चुभन अकेलेपन की, ये लगन उदास शब् से,
मैं हवा से लड़ रहा हूँ, तुझे क्या बताऊँ कब से,

ये सहर की साजिशें थी, के ये इन्तेकाम-ए-शब् था,
मुझे जिंदगी का सूरज, ना बचा सका गज़ब से,

तेरे नाम से शिफा हो, कोई ज़ख्म वो अता कर,
मेरे नामा बार मिले तो, उसे कहना ये अदब से,

वो जवान रुतों की शमाएँ, खो गई जाने कहाँ,
मैं तो बुझ के रह गया हूँ, तू बिछड़ गया है जब से...!!!

Wednesday, November 4, 2009

Usse Mera Abhi Ahsaas Hona Bhi

Bahut ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Bashar ko maar deta hai bahut hasaas hona bhi,

Suno ik kaan se aur doosre se faink do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,

Agarchay tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,

Yun to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyas hona bhi,

Kai chehre latak jate hain khushiyo ki khabar sun kar,
Humein to roop deta hai ghamon ka raas hona bhi,

Jalegi khud-ba-khud saadi dilon mein pyar ki shama,
Ghanimat hai usse mera abhi ahsaas hona bhi...!!!

Wednesday, August 12, 2009

Mujhe Abb Dar Nahi Lagta

Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ke door jane se,
Talluq toot jane se,
Kisi ke maan jane se,
Kisi ke rooth jane se,

Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko azmane se,
Kisi ke azmane se,
Kisi ko yad rakhne se,
Kisi ko bhool jane se,

Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ko chhor dene se,
Kisi ke chhor jane se,
Na shama ko jalane se,
Na shama ko bujhane se,

Mujhe abb dar nahi lagta,
Akele muskrane se,
Kabhi aansu bahane se,
Na iss sare zamane se,
Haqeeqat se fasane se,

Mujhe abb dar nahi lagta,
Kisi ki ruswai se,
Kisi ki parchhai se,
Kisi ki bewafai se,
Kisi dukh intehai se,

Mujhe abb dar nahi lagta,
Na to is paar rehne se,
Na uss paar jane se,
Na apni zindgani se,
Na ik din mout aane se,

Mujhe Abb Dar Nahi Lagta....... .....!


Bookmark and Share