Pages

Showing posts with label Pyas. Show all posts
Showing posts with label Pyas. Show all posts

Tuesday, March 15, 2011

Meri Saans Ruk Jaye

Labon ki sarsarahat se, Badan ke choor hone tak,
Main tujhko is tarah chahun, Ke meri saans ruk jaye,

Khata'on par khata'en hon, Aur na ho baat kehne ko,
Main tujh mein yoon samaa jaun, Ke meri saans ruk jaye,

Na himmat tujh mein ho baki, Na himmat mujh mein ho baki,
Magar itna kareeb aaun, Ke meri saan ruk jaye,

Tere honthon pe jab rakhun, Main apne honth kuch aise,
Ya teri pyas bujh jaye, Ya meri saans ruk jaye...!!!

**********

लबों की सरसराहट से, बदन के चूर होने तक,
मैं तुझको इस तरह चाहूँ, के मेरी साँस रुक जाये,

खताओं पर खताएं हों, और ना हो बात कहने को,
मैं तुझमें यूं समा जाऊं, के मेरी साँस रुक जाये,

ना हिम्मत तुझमें हो बाकी, ना हिम्मत मुझमें हो बाकी,
मगर इतना करीब आऊं, के मेरी साँस रुक जाये,

तेरे होंठों पे जब रखूँ, मैं अपने होंठ कुछ ऐसे,
या तेरी प्यास बुझ जाये, या मेरी रुक जाये...!!!

Wednesday, November 4, 2009

Usse Mera Abhi Ahsaas Hona Bhi

Bahut ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Bashar ko maar deta hai bahut hasaas hona bhi,

Suno ik kaan se aur doosre se faink do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,

Agarchay tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,

Yun to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyas hona bhi,

Kai chehre latak jate hain khushiyo ki khabar sun kar,
Humein to roop deta hai ghamon ka raas hona bhi,

Jalegi khud-ba-khud saadi dilon mein pyar ki shama,
Ghanimat hai usse mera abhi ahsaas hona bhi...!!!