Pages

Showing posts with label Sunsaan. Show all posts
Showing posts with label Sunsaan. Show all posts

Saturday, November 14, 2009

Mujhko Mere Naam Se

Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya,
Jhoothi kasam se aap ka imaan to gaya,

Dil leke muft, kehte hai kuch kaam ka nahi,
Ulti Shikayat’ein rahi ahsaan to gaya,

Dekha hai butkade mein jo ae huzur kuch na kuch,
Imaan ki to ye hai imaan to gaya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar ye kyu na ho mehmaan to gaya,

Jo naamabar se khush na hua, par hazaar shukar,
Mujhko mere naam se pehchaan to gaya,

Hosh-o-hawaas o tab-o-tavaan ‘Daag’ jo chuke,
Ab hum bhi jaane waale hain saaman to gaya…!!!

Saturday, November 7, 2009

Mujhe Tum Yaad Aate Ho

Mukaddar ke sitaron par,
Zamane ke isharon par,
Udasi ke kinaron par,

Kabhi veeran shehron mein,
Kabhi sunsaan rahon par,

Kabhi hairaan aakhon mein,
Kabhi bejaan lamhon mein,

Tumhari yaad chupke se,
Koi sargoshi karti hai,

Yeh palkein bheeg jati hain,
Do aansoo toot girte hain,

Main palkon ko jhukata hoon,
Bazahir muskurata hoon,
Faqat itna keh pata hoon,

Mujhe kitna sata'te ho,
Mujhe tum yaad aate ho...!!!

**********

मुकद्दर के सितारों पर,
ज़माने के इशारों पर,
उदासी के किनारों पर,

कभी वीरान शहरों में,
कभी सुनसान राहों पर,

कभी हैरान आखों में,
कभी बेजान लम्हों में,

तुम्हारी याद चुपके से,
कोई सरगोशी करती है,

यह पलकें भीग जाती हैं,
दो आंसू टूट गिरते हैं,

मैं पलकों को झुकाता हूँ,
बज़ाहिर मुस्कुराता हूँ,
फक़त इतना कह पाता हूँ,

मुझे कितना सताते हो,
मुझे तुम याद आते हो...!!!