Pages

Showing posts with label mehmaan. Show all posts
Showing posts with label mehmaan. Show all posts

Saturday, April 24, 2010

Jaane Kitne Arman Bante Hain

Jab Guftgoo ke imkaan bante hain,
Jaane kitne armaan bante hain,

Chhat hai wahan na aangan koi,
Kaise kaise makaan bante hain,

Husn ghazal ka naam tumhare,
Ishq se jism-o-jaan bante hain,

Haule haule uth'ti hai lehar,
Lamha lamha toofan bante hain,

Ab siyasat ke sanamkhano mein,
Kaise kaise bhagwan bante hain,

Bhool jate hain wo ahad apna,
Jab markaj ke mehmaan bante hain,

Mast rehte hain jo mad mein sada,
ghar mein unke toofan bante hain,

Afsos ki ab ahl-e-siyasat,
Adeebon ke mehmaan bante hain,

Jab neend humein aati hai zara,
Mulaqat ke imkaan bante hain,

Humein bhi wahi pasand hai jo,
Rasoi mein pakwaan bante hain,

Nam ghazal 'Ahsaas' hai uska,
Gham se jo guldaan bante hain...!!!

**********

जब गुफ्तगू के इमकान बनते हैं,
जाने कितने अरमान बनते हैं,

छत है वहाँ ना आंगन कोई,
कैसे कैसे मकान बनते हैं,

हुस्न ग़ज़ल का नाम है तुम्हारे,
इश्क से जिस्म-ओ-जान बनते हैं,

हौले हौले उठती है लहर,
लम्हा लम्हा तूफ़ान बनते हैं,

अब सियासत के सनमखानो में,
कैसे कैसे भगवान बनते हैं,

भूल जाते हैं वो अहद अपना,
जब मरकज़ के मेहमान बनते हैं,

मस्त रहते हैं जो मद में सदा,
घर में उनके उनके तूफ़ान बनते हैं,

अफ़सोस की अब अह्ल-ए-सियासत,
अदीबों के मेहमान बनते हैं,

जब नींद हमें आती है ज़रा,
मुलाकात के इमकान बनते हैं,

हमें भी वही पसंद हैं जो,
रसोई में पकवान बनते हैं,

नाम ग़ज़ल 'अहसास' है उसका,
गम से जो गुलदान बनते हैं...!!!

'सुयश अहसास'

Saturday, November 14, 2009

Mujhko Mere Naam Se

Khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya,
Jhoothi kasam se aap ka imaan to gaya,

Dil leke muft, kehte hai kuch kaam ka nahi,
Ulti Shikayat’ein rahi ahsaan to gaya,

Dekha hai butkade mein jo ae huzur kuch na kuch,
Imaan ki to ye hai imaan to gaya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar ye kyu na ho mehmaan to gaya,

Jo naamabar se khush na hua, par hazaar shukar,
Mujhko mere naam se pehchaan to gaya,

Hosh-o-hawaas o tab-o-tavaan ‘Daag’ jo chuke,
Ab hum bhi jaane waale hain saaman to gaya…!!!