Garr tu meri deewani ho jaaye.
Harr sham suhani ho jaaye.
Aao ghar basaein keh-kashaan mein,
Sar-e-zameen saari veerani ho jaaye.
Charche hon kalliyon aur shabnam ke,
Harr phool apni kahani ho jaaye.
Na naam rahe kissi be-wafayee ka,
Ye kissa yun-hi zabani ho jaaye.
Khazaan ke toote patton ka ya-rabb,
Harr bashar qadar-dani ho jaaye.
Tere jalwe husan-o-zulaf ke tamaam,
Bhooli bisri kahani ho jaaye.
Ab raaton ko taare ginn-ne chhod do,
Harr subhah raat ki nishani ho jaaye.
Tanhayee mein unn ki yaad ka aalam,
Garr zindgi ki meharbani ho jaaye.
Khushi ka daur har gharri har pal,
Cham-e-purashaq se aana-kaani ho jaaye.
Laazim nahin, ke chhoo len tere hassin labb,
Tere Preet ki kammsin jawaani ho jaaye......
No comments:
Post a Comment