Pages

Friday, December 31, 2010

Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi

Laghzishon se mara, tu bhi nahi, main bhi nahi,
Dono insaan, haan khuda, tu bhi nahi, main bhi nahi,

Tu jafa ki, main wafa ki raah par hoon kamzan,
Pichhe mud kar dekhta, tu bhi nahi, main bhi nahi,

Tu mujhe, main tujhe, ilzaam deta hoon har dam,
Apne man mein jhankta, tu bhi nahi, main bhi nahi,

Maslihat ne kar diya, dono mein paida iktilaf,
Warna fitrat ka bura, tu bhi nahi, main bhi nahi,

Badgumani saher mein, kisne faila di jab ke,
Ek doosre se khafa, tu bhi nahi, main bhi nahi,

Jaane ‘Mohsin’ tu bhi tha ziddi, ana mujh mein bhi thi,
Dono kud ser the, jhuka tu bhi nahi, main bhi nahi…!!!

**********

लघजिशों से मारा, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,
दोनों इंसान, हाँ खुदा, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,

तू जफा की, मैं वफ़ा की राह पर हूँ कमजान,
पीछे मुड़ कर देखता, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,

तू मुझे, मैं तुझे, इलज़ाम देता हूँ हर दम,
अपने मन में झांकता, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,

मसलिहत ने कर दिया, दोनों में पैदा इक्तिलाफ़,
वरना फितरत कर बुरा, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,

बदगुमानी शहर में, किसने फैला दी जब के,
एक दूसरे से खफा, तू भी नहीं, मैं भी नहीं,

जाने ‘मोहसिन’ तू भी था जिद्दी, आना मुझ में भी थी,
दोनों कुद सर थे, झुका तू भी नहीं, मैं भी नहीं…!!!

Thursday, December 23, 2010

Do Intezar Mein

Lagta nahi hai dil mera, ujde dayar mein,
Kiski bani hai aalam-e-naa pai'dar mein,

Keh do in hasraton se kahin aur ja ke basein,
Itni jagah kahan hai dil-e-daagdar mein,

Umr-e-daraaz maang kar laye the char din,
Do aarzu mein kat gaye, do intezar mein,

Kitna hai badnaseeb 'zafar' dafan ke liye,
Do gaz zameen bhi na mili ku-e-yaar mein...!!!

Bahadur Shah Zafar

**********

लगता नहीं है दिल मेरा, उजड़े दयार में,
किसकी बनी है आलम-ए-ना पायदार में,

कह दो इन हसरतों से, कहीं और जा के बसें,
इतनी जगह नहीं है दिल-ए-दागदार में,

उम्र-ए-दराज़ मांग कर लाए थे चार दिन,
दो आरजू में कट गए, दो इंतज़ार में,

कितना है बदनसीब 'ज़फर' दफ़न के लिए,
दो गज ज़मीं भी न मिली कु-ए-यार में...!!!

बहादुर शाह ज़फर

Saturday, December 4, 2010

Judai De Raha Hoon

Nazar se door hoon lekin, dikhai de raha hoon,
Main chup hoon magar usko, sunai de raha hoon,

Mere charon taraf, nauha'garon ki basti'an hain,
Main unko dawat-e-naghma, Saraii de raha hoon,

Wo apne jurm par Nadim nahi, aur mujhko dekho,
Main apne aap ko uski, Safai de raha hoon,

Wisal aamez lamho ko Bacha kar rakhne wale,
Main tujh ko umr bhar ki, Judai de raha hoon...!!!

**********

नज़र से दूर हूँ लेकिन, दिखाई दे रहा हूँ,
मैं चुप हूँ मगर उसको, सुनाई दे रहा हूँ,

मेरे चारों तरफ, नौहागरों की बस्तियाँ हैं,
मैं उनको दावत-ए-नगमा, सराई दे रहा हूँ,

वो अपने जुर्म पर नदीम नहीं, और मुझको देखो,
मैं अपने आप को उसकी, सफाई दे रहा हूँ,

विसाल आमेज़ लम्हों को बचा कर रखने वाले,
मैं तुझ को उम्र भर की, जुदाई दे रहा हूँ...!!!







Nauha gar: Wo log jo paise le ke dusre ke gham per rote hai;
Dawat-e-naghma sarai: Gane ki dawat dena ya gane k liye bulana;
Nadim: sharminda;
Wisal aamez lamhe: Wo pal jis mein mehboob sath sath ho;

Wednesday, December 1, 2010

Sehra Mein Unki Yaad Ke

Sehra mein unki yaad ke, jab hum nikal pade,
Ankho se apni ho ke rawaan, ashq chal pade,

Manzil ka rahguzar ka to, kuch ilm bhi nahin,
Leke chala koi jidhar, us simt chal pade,

Furqat mein koi khinchta hai, dil ko is kadar,
Hanste hue hi chain na, rone se kal pade,

Ulfat ka unki aankh mein. qatra na tha koi,
Jaane meri nazar se kyon, chashme ubal pade,

Yaa rab! mujhe deedar ko, unke wo aankh de,
Jhapkoon kabhi na deed mein, meri khalal pade,

'Shabnam' hum apni umr ki, zulf-e-daraz ko,
Jitna sanwarte rahe, utne hi bal pade...!!!

**********

सेहरा में उनकी याद के जब, हम निकल पड़े,
आँखों से अपनी हो के रवां, अश्क चल पड़े,

मंजिल का रहगुज़र का तो, कुछ इल्म भी नहीं,
लेके चला कोई जिधर, उस सिम्त चल पड़े,

फुर्क़त में कोई खिंचता है, दिल को इस कदर,
हँसते हुए ही चैन ना, रोने से कल पड़े,

उल्फत का उनकी आँख में, कतरा ना था कोई,
जाने मेरी नज़र से क्यों, चश्मे उबल पड़े,

या रब! मुझे दीदार को, उनके वो आँख दे,
झपकूँ कभी ना दीद में, मेरी खलल पड़े,

'शबनम' हम अपनी उम्र की, ज़ुल्फ़-ए-दराज़ को,
जितना संवरते रहे, उतने ही बल पड़े...!!!