Pages

Showing posts with label Nazar. Show all posts
Showing posts with label Nazar. Show all posts

Saturday, December 4, 2010

Judai De Raha Hoon

Nazar se door hoon lekin, dikhai de raha hoon,
Main chup hoon magar usko, sunai de raha hoon,

Mere charon taraf, nauha'garon ki basti'an hain,
Main unko dawat-e-naghma, Saraii de raha hoon,

Wo apne jurm par Nadim nahi, aur mujhko dekho,
Main apne aap ko uski, Safai de raha hoon,

Wisal aamez lamho ko Bacha kar rakhne wale,
Main tujh ko umr bhar ki, Judai de raha hoon...!!!

**********

नज़र से दूर हूँ लेकिन, दिखाई दे रहा हूँ,
मैं चुप हूँ मगर उसको, सुनाई दे रहा हूँ,

मेरे चारों तरफ, नौहागरों की बस्तियाँ हैं,
मैं उनको दावत-ए-नगमा, सराई दे रहा हूँ,

वो अपने जुर्म पर नदीम नहीं, और मुझको देखो,
मैं अपने आप को उसकी, सफाई दे रहा हूँ,

विसाल आमेज़ लम्हों को बचा कर रखने वाले,
मैं तुझ को उम्र भर की, जुदाई दे रहा हूँ...!!!







Nauha gar: Wo log jo paise le ke dusre ke gham per rote hai;
Dawat-e-naghma sarai: Gane ki dawat dena ya gane k liye bulana;
Nadim: sharminda;
Wisal aamez lamhe: Wo pal jis mein mehboob sath sath ho;

Saturday, December 12, 2009

Main Khud Ko Bhool Jata Hoon

Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hoon,

Tumhe milne se pehle main bahut sajta sanwarta hoon,
Magar jab tum sanwarti ho, main khud ko bhool jata hoon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hoon,
Magar kuch tum jo likhti ho, main khud ko bhool jata hoon,

Main aksar yehi kehta hoon, main tum se pyar karta hoon,
Magar jab tum ye kehti ho, main khud ko bhool jata hoon...!!!

**********
नज़र जब तुम से मिलती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,
बस एक धड़कन धड़कती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,

तुम्हें मिलने से पहले मैं, बहुत सजता संवरता हूँ,
मगर जब तुम संवरती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ,

मैं अक्सर किताबों पे तेरा ही नाम लिखता हूँ,
मगर कुछ तुम जो लिखती हो मैं खुद को भूल जाता हूँ,

मैं अकसर ये ही कहता हूँ, मैं तुमसे प्यार करता हूँ,
मगर जब तुम ये कहती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ...!!!

Tuesday, August 18, 2009

Hum Nahi Chahte

Shaam-e-fursat dhale, hum nahi chahte,
Ghum say fursat mile, hum nahi chahte,

Fir naya war sehne ko taiyar hain,
Tu pareshan rahay, hum nahi chahte,

Aaj Aansoo bahane se, mat roko,
Aaj barish thamey, hum nahi chahte,

Hum tere baad ujrre hon, to bhi theek hai,
Ab kahin dil lage, hum nahi chahte,

Tere pekar ko hum dekhte hi rahein,
Tu nazar say hate, hum nahi chahte,

Kis qadar dil nasheen hai ye moujon ka shor,
Ghum ka dariya ruke, hum nahi chahte,

Iss qadar pyar se tu pukara na kar,
Aag dil ko lagay, hum nahi chahte,


Bookmark and Share