Hawa thami thi zaroor lekin,
Wo shaam jaise sisak rahi thi,
Ke zard patton ko andhi'on ne,
Ajeeb kissa suna diya tha,
Ke jisko sunkar tamam patte,
Sisak rahe the,
Bilakh rahe the,
Jaane kis sannate ke gam mein,
Shajar jarhon se ukhad chuke the,
Bahut talash kiya humne tumko,
Har ek rasta,
Har ek waadi,
Har ek parbat,
Har ek ghati,
Magar kahin se teri khabar na aai,
To ye keh kar humne dil ko taala,
Hawa thamegi to dekh lenge,
Hum uske raston ko dhoondh lenge,
Magar hamari ye khush khayali,
Jo humko barbaad kar gai thi,
Hawa thami thi zaroor lekin,
Badi hi muddat guzar chuki thi,
Hamare baalon ke janglon mein,
Safed chandni utar chuki thi,
Falak pe taare nahi rahe the,
Gulab pyare nahi rahe the,
Wo, jin se basti thi dil ki basti,
Wo log saare nahi rahe the,
Magar ye almiyah tha sabse badtar,
Ke tum hamare nahi rahe the,
Ke tum hamare nahi rahe the...!!!
**********
हवा थमी थी ज़रूर लेकिन,
वो शाम जैसे सिसक रही थी,
के ज़र्द पत्तों को अन्धिओं ने,
अजीब किस्सा सुना दिया था,
के जिसको सुनकर तमाम पत्ते,
सिसक रहे थे,
बिलख रहे थे,
जाने किस सन्नाटे के गम में,
शजर जड़ों से उखड़ चुके थे,
बहुत तलाश किया हमने तुमको,
हर एक रस्ता,
हर एक वादी,
हर एक परबत,
हर एक घाटी,
मगर कहीं से तेरी खबर न आई,
तो ये कह कर हमने दिल को टाला,
हवा थमेगी तो देख लेंगे,
हम उसके रास्तों को ढूंढ लेंगे,
मगर हमारी ये खुश खयाली,
जो हमको बर्बाद कर गई थी,
हवा थमी थी ज़रूर लेकिन,
बड़ी ही मुद्दत गुज़र चुकी थी,
हमारे बालों के जंगलों में,
सफ़ेद चांदनी उतर चुकी थी,
फलक पे तारे नहीं रहे थे,
गुलाब प्यारे नहीं रहे थे,
वो जिन से बस्ती थी दिल की बस्ती,
वो लोग सारे नहीं रहे थे,
मगर ये अल्मियाह था सबसे बदतर,
के तूम हमारे नहीं रहे थे,
के तूम हमारे नहीं रहे थे...!!!
Showing posts with label Sham. Show all posts
Showing posts with label Sham. Show all posts
Friday, February 11, 2011
Tuesday, February 8, 2011
Ik Nadani Wo Aur Main
Sham ka manzar,
Uljha rasta,
Ek kahani, Wo aur main,
Dhalta suraj,
Badhta saya,
Kashti rani, Wo aur main,
Band ik kamra,
Chup ka manzar,
Bhuli bisri,
Deepak yaad,
Tanhai dukh,
Khauf ki lazzat,
Dilbarjani, Wo aur main,
Titli khushbu,
Rang ki batein,
Shabnam se sharmile khwab,
Aas ke panchhi,
Gum sum khwahish,
Raat ki rani, Wo aur main,
Palken chilman,
Sharma sharmi,
Kum kum goya nazren,
Qurb,
Raaton jaisi,
Seedhi sadhi,
Ik nadani, Wo aur main...!!!
**********
शाम का मंज़र,
उलझा रास्ता,
एक कहानी, वो और मैं,
ढलता सूरज,
बढ़ता साया,
कश्ती रानी, वो और मैं,
बंद इक कमरा,
चुप का मंज़र,
भूली बिसरी दीपक याद,
तन्हाई दुःख,
खौफ की लज़्ज़त,
दिलबरजानी, वो और मैं,
तित्ली खुशबु,
रंग की बातें,
शबनम से शर्मीले ख्वाब,
आस के पंछी,
गम सुम ख्वाहिश,
रात की रानी, वो और मैं,
पलकें चिलमन,
शरमा शरमी,
कुम कुम गोया नज़रें,
कुर्ब,
रातों जैसी,
सीधी साधी,
इक नादानी, वो और मैं...!!!
Uljha rasta,
Ek kahani, Wo aur main,
Dhalta suraj,
Badhta saya,
Kashti rani, Wo aur main,
Band ik kamra,
Chup ka manzar,
Bhuli bisri,
Deepak yaad,
Tanhai dukh,
Khauf ki lazzat,
Dilbarjani, Wo aur main,
Titli khushbu,
Rang ki batein,
Shabnam se sharmile khwab,
Aas ke panchhi,
Gum sum khwahish,
Raat ki rani, Wo aur main,
Palken chilman,
Sharma sharmi,
Kum kum goya nazren,
Qurb,
Raaton jaisi,
Seedhi sadhi,
Ik nadani, Wo aur main...!!!
**********
शाम का मंज़र,
उलझा रास्ता,
एक कहानी, वो और मैं,
ढलता सूरज,
बढ़ता साया,
कश्ती रानी, वो और मैं,
बंद इक कमरा,
चुप का मंज़र,
भूली बिसरी दीपक याद,
तन्हाई दुःख,
खौफ की लज़्ज़त,
दिलबरजानी, वो और मैं,
तित्ली खुशबु,
रंग की बातें,
शबनम से शर्मीले ख्वाब,
आस के पंछी,
गम सुम ख्वाहिश,
रात की रानी, वो और मैं,
पलकें चिलमन,
शरमा शरमी,
कुम कुम गोया नज़रें,
कुर्ब,
रातों जैसी,
सीधी साधी,
इक नादानी, वो और मैं...!!!
Tuesday, October 12, 2010
Sar-E-Sham
Ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham,
Aakash pe jab chand nikalta hai sar-e-sham,
Benaam si ek aag dahak uth'ti hai dil mein,
Mehtaab jo thandak si ugalta hai sar-e-sham,
Ye dil hai mera ya kisi kooche ka diya hai,
Bujhta hai dam-e-subah to jalta hai sar-e-sham,
Kuch der shafaq folti hai jaise ufaq par,
Aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-sham,
Banta hai tera jism kabhi gul kabhi shola,
Saanche mein khyalon ke jo dhalta hai sar-e-sham,
Chhant jati hai aalam-e-zamana ki syahi,
Jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham...!!!
**********
एक दर्द सा पहलु में मचलता है सर-ए-शाम,
आकाश पे जब चाँद निकलता है सर-ए-शाम,
बेनाम सी एक आग दहक उठती है दिल में,
महताब तो ठंडक सी उगलता है सर-ए-शाम,
ये दिल है मेरा या किसी कूचे का दिया है,
बुझता है दम-ए-सुबह तो जलता है सर-ए-शाम,
कुछ देर शफ़क फोलती है जैसे उफाक पर,
ऐसे ही मेरा हाल संभलता है सर-ए-शाम,
बनता है तेरा जिस्म कभी गुल कभी शोला,
सांचे में ख्यालों के जो ढलता है सर-ए-शाम,
छंट जाती है आलम-ए-ज़माना की स्याही,
जब दौर तेरी याद का चलता है सर-ए-शाम...!!!

Tuesday, February 2, 2010
Shaam Ke Baad
Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam ke baad,
Laut aata hai agar koi khafa shaam ke baad,
Wo jo tal jati rahi sir se balaa shaam ke baad,
Koi to tha jo deta tha dua shaam ke baad,
Sham tak qaid raha karte hain dil ke andar,
Dard ho jate hai sare riha shaam ke baad,
Log thak haar kar so jate hain lekin jaana,
Hum ne khush ho ke tera dard saha shaam ke baad,
Khwab takra kar palat jate hain band aankho se,
Jaane kis jurm ki kis ko hai saza shaam ke baad,
Chand jab ro ke sitaron se gale milta hai,
Ek ajeeb rang ki hoti hai fiza shaam ke baad,
Hum ne tanhai se pucha ke milogi kab tak,
Us ne bechaini se fauran hi kaha shaam ke baad,
Tum gaye to Siyaah rang ke kapde pehne,
Firti rehti hai mere ghar mein kazaa shaam ke baad,
Laut aati hai meri shab ki Ibaadat khali,
Jane kis arsh pe rehta hai khuda shaam ke baad,
Maar deta hai ujjad jane ka dohra ehsaas,
Kash ho na koi kisi se juda shaam ke baad...!!!
**********
आँख बन जाती है सावन की घटा शाम के बाद,
लौट आता है अगर कोई खफा शाम के बाद,
वो जो टल जाती रही सिर से बला शाम के बाद,
कोई तो था जो देता था दुआ शाम के बाद,
शाम तक क़ैद रहा करते हैं दिल के अंदर,
दर्द हो जाते हैं सारे रिहा शाम के बाद,
लोग थक हार कर सो जाते हैं लेकिन जाना,
हम ने खुश हो कर तेरा दर्द सहा शाम के बाद,
ख्वाब टकरा कर पलट जाते है बंद आँखों से,
जाने किस जुर्म की किस को है सजा शाम के बाद,
चाँद जब रो के सितारों से गले मिलता है,
एक अजीब रंग की होती है फिजा शाम के बाद,
हम ने तन्हाई से पूछा के मिलोगी कब तक,
उस ने बेचैनी से फ़ौरन ही कहा शाम के बाद,
तुम गए हो सियाह रंग के कपडे पहने,
फिरती रहती है मेरे घर में फ़िजा शाम के बाद,
लौट आती है मेरी शब् की इबादत खाली,
जाने किस अर्श पे रहता है खुदा शाम के बाद,
मार देता है उजड़ जाने का दोहरा एहसास,
काश हो ना कोई किसी से जुदा शाम के बाद...!!!

Tuesday, August 18, 2009
Hum Nahi Chahte
Shaam-e-fursat dhale, hum nahi chahte,
Ghum say fursat mile, hum nahi chahte,
Fir naya war sehne ko taiyar hain,
Tu pareshan rahay, hum nahi chahte,
Aaj Aansoo bahane se, mat roko,
Aaj barish thamey, hum nahi chahte,
Hum tere baad ujrre hon, to bhi theek hai,
Ab kahin dil lage, hum nahi chahte,
Tere pekar ko hum dekhte hi rahein,
Tu nazar say hate, hum nahi chahte,
Kis qadar dil nasheen hai ye moujon ka shor,
Ghum ka dariya ruke, hum nahi chahte,
Iss qadar pyar se tu pukara na kar,
Aag dil ko lagay, hum nahi chahte,

Wednesday, July 1, 2009
Lout Aana
Udaas shamon ki siskiyon mein,
Kabhi jo meri awaaz sun'na,
To beete lamhon ko yaad kar ke,
Inhi fizaon main lout aana,
Tum aaya karte the khawab ban kar,
Kabhi mehkata gulab ban kar,
Main khushk honthon se ja pukarun,
In adaaon mein lout aana,
Meri wafaon ko paas rakhna,
Meri duaon ko paas rakhna,
Main khali hathon ko jab uthaun,
Meri duaon mein lout aana.
Kabhi jo meri awaaz sun'na,
To beete lamhon ko yaad kar ke,
Inhi fizaon main lout aana,
Tum aaya karte the khawab ban kar,
Kabhi mehkata gulab ban kar,
Main khushk honthon se ja pukarun,
In adaaon mein lout aana,
Meri wafaon ko paas rakhna,
Meri duaon ko paas rakhna,
Main khali hathon ko jab uthaun,
Meri duaon mein lout aana.

Subscribe to:
Posts (Atom)