Sham ka manzar,
Uljha rasta,
Ek kahani, Wo aur main,
Dhalta suraj,
Badhta saya,
Kashti rani, Wo aur main,
Band ik kamra,
Chup ka manzar,
Bhuli bisri,
Deepak yaad,
Tanhai dukh,
Khauf ki lazzat,
Dilbarjani, Wo aur main,
Titli khushbu,
Rang ki batein,
Shabnam se sharmile khwab,
Aas ke panchhi,
Gum sum khwahish,
Raat ki rani, Wo aur main,
Palken chilman,
Sharma sharmi,
Kum kum goya nazren,
Qurb,
Raaton jaisi,
Seedhi sadhi,
Ik nadani, Wo aur main...!!!
**********
शाम का मंज़र,
उलझा रास्ता,
एक कहानी, वो और मैं,
ढलता सूरज,
बढ़ता साया,
कश्ती रानी, वो और मैं,
बंद इक कमरा,
चुप का मंज़र,
भूली बिसरी दीपक याद,
तन्हाई दुःख,
खौफ की लज़्ज़त,
दिलबरजानी, वो और मैं,
तित्ली खुशबु,
रंग की बातें,
शबनम से शर्मीले ख्वाब,
आस के पंछी,
गम सुम ख्वाहिश,
रात की रानी, वो और मैं,
पलकें चिलमन,
शरमा शरमी,
कुम कुम गोया नज़रें,
कुर्ब,
रातों जैसी,
सीधी साधी,
इक नादानी, वो और मैं...!!!
Showing posts with label Deepak. Show all posts
Showing posts with label Deepak. Show all posts
Tuesday, February 8, 2011
Wednesday, December 23, 2009
Ik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum ghoom chuke basti ban me,
Ik aas ki faans liye mann me,
Koi sajan ho, koi pyara ho,
Koi deepak ho, koi tara ho,
Jab jeevan rat andheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Jab sawan badal chhaye hon,
Jab faagan phool khilaye hon,
Jab chanda roop luta'ta ho,
Jab suraj dhoop nahata ho,
Ya Sham ne basti gheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Haan dil ka daaman faila ho,
Kyo gori ka dil maila ho,
Hum kab tak peet ke dhokhe me,
Tum kab tak door jharokhe me,
Kab deed se dil ko sairi ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Kya jhagra sood khasare ka,
Ye kaam nahi banjaare ka,
Sab sona rupya le jaye,
Ye dunia, dunia le jaye,
Tum ek mujhe batheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho...!!!
**********
हम घूम चुके बस्ती बन में,
इक आस की फांस लिये मन में,
कोई साजन हो, कोई प्यारा हो,
कोई दीपक हो, कोई तारा हो,
जब जीवन रात अंधेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
जब सावन बादल छाये हों,
जब फागन फूल खिलाये हों,
जब चंदा रूप लुटाता हो,
जब सूरज धूप नहाता हो,
या शाम ने बस्ती घेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
हाँ दिल का दामन फैला हो,
क्यों गौरी का दिल मैला हो,
हम कब तक पीत के धोखे में,
तुम कब तक दूर झरोखे में,
कब दीद को दिल से सैरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
क्या झगड़ा सूद खसारे का,
ये काम नही बंजारे का,
सब सोना रुप्या ले जाओ,
ये दुनिया, दुनिया ले जाओ,
तुम एक मुझे बथेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो...!!!
Ik aas ki faans liye mann me,
Koi sajan ho, koi pyara ho,
Koi deepak ho, koi tara ho,
Jab jeevan rat andheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Jab sawan badal chhaye hon,
Jab faagan phool khilaye hon,
Jab chanda roop luta'ta ho,
Jab suraj dhoop nahata ho,
Ya Sham ne basti gheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Haan dil ka daaman faila ho,
Kyo gori ka dil maila ho,
Hum kab tak peet ke dhokhe me,
Tum kab tak door jharokhe me,
Kab deed se dil ko sairi ho,
Ik baar kaho tum meri ho,
Kya jhagra sood khasare ka,
Ye kaam nahi banjaare ka,
Sab sona rupya le jaye,
Ye dunia, dunia le jaye,
Tum ek mujhe batheri ho,
Ik baar kaho tum meri ho...!!!
**********
हम घूम चुके बस्ती बन में,
इक आस की फांस लिये मन में,
कोई साजन हो, कोई प्यारा हो,
कोई दीपक हो, कोई तारा हो,
जब जीवन रात अंधेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
जब सावन बादल छाये हों,
जब फागन फूल खिलाये हों,
जब चंदा रूप लुटाता हो,
जब सूरज धूप नहाता हो,
या शाम ने बस्ती घेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
हाँ दिल का दामन फैला हो,
क्यों गौरी का दिल मैला हो,
हम कब तक पीत के धोखे में,
तुम कब तक दूर झरोखे में,
कब दीद को दिल से सैरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो,
क्या झगड़ा सूद खसारे का,
ये काम नही बंजारे का,
सब सोना रुप्या ले जाओ,
ये दुनिया, दुनिया ले जाओ,
तुम एक मुझे बथेरी हो,
इक बार कहो तुम मेरी हो...!!!
Sunday, October 25, 2009
Mohabbat Khauf Kab Se Hai
Mohabbat khauf hoti hai
Kabhi nadaan karti hai
Kabhi hairaan karti hai
Mujhe maloom hai shayad
Bahut nuksan karti hai
Ye ghar veeran karti hai
Jahan hon raunaken zinda
Wo dil sunsan karti hai
Magar ab sun mere humdam
Mujhe karni mohabbat hai
Mohabbat wo haqeeqat hai
Jo dil abaad karti hai
Sabhi ko shaad karti hai
Marron ko yaad karti hai
Mohabbat khauf kab se hai
Mohabbat rog kab se hai
Ye marham hai maseeha hai
Ye deepak hai ye dia hai
Chalo acha hua jaana
Gaya main jaan ye jaana
Suno phir gaur se jaana
Mujhe TumSe Mohabbat hai...!!!
Kabhi nadaan karti hai
Kabhi hairaan karti hai
Mujhe maloom hai shayad
Bahut nuksan karti hai
Ye ghar veeran karti hai
Jahan hon raunaken zinda
Wo dil sunsan karti hai
Magar ab sun mere humdam
Mujhe karni mohabbat hai
Mohabbat wo haqeeqat hai
Jo dil abaad karti hai
Sabhi ko shaad karti hai
Marron ko yaad karti hai
Mohabbat khauf kab se hai
Mohabbat rog kab se hai
Ye marham hai maseeha hai
Ye deepak hai ye dia hai
Chalo acha hua jaana
Gaya main jaan ye jaana
Suno phir gaur se jaana
Mujhe TumSe Mohabbat hai...!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)