Kaha tha na,
Mujhe is tarah sota hua chhor kar mat jana,
Mujhe beshaq jaga dena,
Bata dena,
Mohabat ke safar mein sath mere chal nahi sakte,
Judai mein, hijr mein, sath mere jal nahi sakte,
Tumhe rasta badalna hai,
Meri had se nikalna hai,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Tumhe jane nahi deta,
Kahin par qaid kar leta,
Arey pagli,
Mohabat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti,
Jise rasta badalna ho,
Usse rasta badalne se,
Jise hadd se nikalna ho,
Usse hadd se nikalne se,
Na koi rok paya hai,
Na koi rok payega,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Mujhe beshaq jaga deti,
Tumhe main dekh hi leta,
Tumhe koi dua deta,
Kam se kam yoon to na hota,
Mere sathi haqiqat hai,
Tumhare baad khone ke liye kuch bhi nahi baki,
Magar khone se darta hoon,
Main ab sone se darta hoon...!!!
**********
कहा था ना,
मुझे इस तरह सोता हुआ छोड़ कर मत जाना,
मुझे बेशक जगा देना,
बता देना,
मोहब्बत के सफर में साथ मेरे चल नहीं सकते,
जुदाई में, हिजर में साथ मेरे जल नहीं सकते,
तुम्हे रस्ता बदलना है,
मेरी हद से निकलना है,
तुम्हे किस बात का डर था,
तुम्हे जाने नहीं देता,
कहीं पर क़ैद कर लेता,
अरे पगली,
मोहब्बत की तबीयत में ज़बरदस्ती नहीं होती,
जिसे रस्ता बदलना हो,
उसे रस्ता बदलने से,
जिसे हद से निकलना हो उसे हद से निकलने से,
ना कोई रोक पाया है,
ना कोई रोक पायेगा,
तुम्हे किस बात का डर था,
मुझे बेशक जगा देती,
तुम्हे मैं देख ही लेता,
तुम्हे कोई दुआ देता,
कम से कम यूं तो ना होता,
मेरे साथी हकीकत है,
तुम्हारे बाद खोने के लिए कुछ भी नहीं बाकी,
मगर खोने से डरता हूँ,
मैं अब सोने से डरता हूँ...!!!
Showing posts with label Mohabbat. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat. Show all posts
Sunday, July 31, 2011
Tuesday, June 28, 2011
Kisi Roz Tanha Milo To Bataen
Ye thora sa jeevan,
Adhoora sa mausam,
Ye rangon ki chahat,
Gulabon ki hasrat,
Ye roshan sawere,
Ye madham andhere,
Kisi roz tanha milo to bata'en,
Khayalon ki raahen,
Chamakti nigahein,
Wafaein nibhana,
Adayein dikhana,
Ye ek silsila hai,
Magar faasla hai,
Agar jaan jao to ehsaas rakhna,
Ise raaz rakhna,
Karo ek wada,
Bana lo iraada,
Mulaqat kar lo,
Wahi baat kar lo,
Kisi roz tanha milo to bataen,
Humari mohabbat,
Tumhari adayein..!!
**********
ये थोड़ा सा जीवन,
अधूरा सा मौसम,
ये रंगों की चाहत,
गुलाबों की हसरत,
ये रोशन सवेरे,
ये मद्धम अँधेरे,
किसी रोज तन्हा मिलो तो बताएँ,
ख्यालों की राहें,
चमकती निगाहें,
वफाएं निभाना,
अदाएं दिखाना,
ये एक सिलसिला है,
मगर फासला है,
अगर जान जाओ तो अहसास रखना,
इसे राज़ रखना,
करो एक वादा,
बना लो इरादा,
मुलाक़ात कर लो,
वही बात कर लो,
किसी रोज तन्हा मिलो तो बताएँ,
हमारी मोहब्बत,
तुम्हारी अदाएं..!!
Adhoora sa mausam,
Ye rangon ki chahat,
Gulabon ki hasrat,
Ye roshan sawere,
Ye madham andhere,
Kisi roz tanha milo to bata'en,
Khayalon ki raahen,
Chamakti nigahein,
Wafaein nibhana,
Adayein dikhana,
Ye ek silsila hai,
Magar faasla hai,
Agar jaan jao to ehsaas rakhna,
Ise raaz rakhna,
Karo ek wada,
Bana lo iraada,
Mulaqat kar lo,
Wahi baat kar lo,
Kisi roz tanha milo to bataen,
Humari mohabbat,
Tumhari adayein..!!
**********
ये थोड़ा सा जीवन,
अधूरा सा मौसम,
ये रंगों की चाहत,
गुलाबों की हसरत,
ये रोशन सवेरे,
ये मद्धम अँधेरे,
किसी रोज तन्हा मिलो तो बताएँ,
ख्यालों की राहें,
चमकती निगाहें,
वफाएं निभाना,
अदाएं दिखाना,
ये एक सिलसिला है,
मगर फासला है,
अगर जान जाओ तो अहसास रखना,
इसे राज़ रखना,
करो एक वादा,
बना लो इरादा,
मुलाक़ात कर लो,
वही बात कर लो,
किसी रोज तन्हा मिलो तो बताएँ,
हमारी मोहब्बत,
तुम्हारी अदाएं..!!
Friday, April 15, 2011
Main Ab Sone Se Darta Hoon
Kaha tha na,
Mujhe is tarah sota hua chhor kar mat jana,
Mujhe beshaq jaga dena,
Bata dena,
Mohabat ke safar mein sath mere chal nahi sakte,
Judai mein, hijr mein sath mere jal nahi sakte,
Tumhe rasta badalna hai,
Meri had se nikalna hai,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Tumhe jane nahi deta,
Kahin par qaid kar leta,
Arey pagli,
Mohabat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti,
Jise rasta badalna ho,
Usse rasta badalne se,
Jise hadd se nikalna ho,
Usse hadd se nikalne se,
Na koi rok paya hai,
Na koi rok payega,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Mujhe beshaq jaga deti,
Tumhe main dekh hi leta,
Tumhe koi dua deta,
Kam se kam yoon to na hota,
Mere sathi haqiqat hai,
Tumhare baad khone ke liye kuch bhi nahi baki,
Magar khone se darta hoon,
Main ab sone se darta hoon...!!!
**********
कहा था ना,
मुझे इस तरह सोता हुआ छोड़ कर मत जाना,
मुझे बेशक जगा देना,
बता देना,
मोहब्बत के सफर में साथ मेरे चल नहीं सकते,
जुदाई में, हिजर में साथ मेरे जल नहीं सकते,
तुम्हे रस्ता बदलना है,
मेरी हद से निकलना है,
तुम्हे किस बात का डर था,
तुम्हे जाने नहीं देता,
कहीं पर क़ैद कर लेता,
अरे पगली,
मोहब्बत की तबीयत में ज़बरदस्ती नहीं होती,
जिसे रस्ता बदलना हो,
उसे रस्ता बदलने से,
जिसे हद से निकलना हो उसे हद से निकलने से,
ना कोई रोक पाया है,
ना कोई रोक पायेगा,
तुम्हे किस बात का डर था,
मुझे बेशक जगा देती,
तुम्हे मैं देख ही लेता,
तुम्हे कोई दुआ देता,
कम से कम यूं तो ना होता,
मेरे साथी हकीकत है,
तुम्हारे बाद खोने के लिए कुछ भी नहीं बाकी,
मगर खोने से डरता हूँ,
मैं अब सोने से डरता हूँ...!!!
Mujhe is tarah sota hua chhor kar mat jana,
Mujhe beshaq jaga dena,
Bata dena,
Mohabat ke safar mein sath mere chal nahi sakte,
Judai mein, hijr mein sath mere jal nahi sakte,
Tumhe rasta badalna hai,
Meri had se nikalna hai,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Tumhe jane nahi deta,
Kahin par qaid kar leta,
Arey pagli,
Mohabat ki tabiyat mein zabardasti nahi hoti,
Jise rasta badalna ho,
Usse rasta badalne se,
Jise hadd se nikalna ho,
Usse hadd se nikalne se,
Na koi rok paya hai,
Na koi rok payega,
Tumhe kis baat ka dar tha,
Mujhe beshaq jaga deti,
Tumhe main dekh hi leta,
Tumhe koi dua deta,
Kam se kam yoon to na hota,
Mere sathi haqiqat hai,
Tumhare baad khone ke liye kuch bhi nahi baki,
Magar khone se darta hoon,
Main ab sone se darta hoon...!!!
**********
कहा था ना,
मुझे इस तरह सोता हुआ छोड़ कर मत जाना,
मुझे बेशक जगा देना,
बता देना,
मोहब्बत के सफर में साथ मेरे चल नहीं सकते,
जुदाई में, हिजर में साथ मेरे जल नहीं सकते,
तुम्हे रस्ता बदलना है,
मेरी हद से निकलना है,
तुम्हे किस बात का डर था,
तुम्हे जाने नहीं देता,
कहीं पर क़ैद कर लेता,
अरे पगली,
मोहब्बत की तबीयत में ज़बरदस्ती नहीं होती,
जिसे रस्ता बदलना हो,
उसे रस्ता बदलने से,
जिसे हद से निकलना हो उसे हद से निकलने से,
ना कोई रोक पाया है,
ना कोई रोक पायेगा,
तुम्हे किस बात का डर था,
मुझे बेशक जगा देती,
तुम्हे मैं देख ही लेता,
तुम्हे कोई दुआ देता,
कम से कम यूं तो ना होता,
मेरे साथी हकीकत है,
तुम्हारे बाद खोने के लिए कुछ भी नहीं बाकी,
मगर खोने से डरता हूँ,
मैं अब सोने से डरता हूँ...!!!
Saturday, March 26, 2011
Zakhm-e-Judai
Har baar mujhe zakhm-e-judai na diya kar,
Agar mera nahi mujhko, dikhai na diya kar,
Sach jhooth teri ankho se ho jata hai jaahir,
Kasmein na utha itni, safai na diya kar,
Maloom hai tu rehta hai ab mujh se gurezan,
Paas aakar mohabbat ki duhai na diya kar,
Ehsaas nahi tujhko agar meri tanhai ka,
Auron ko bhi tu dars-e-bhalai na diya kar,
Udd jayein to fir laut ke kab aate hain,
Har baar parindon ko rehaai na kiya kar...!!!
**********
हर बार मुझे ज़ख्म-ए-जुदाई ना दिया कर,
अगर मेरा नहीं तो मुझको दिखाई ना दिया कर,
सच झूठ तेरी आँखों से हो जाता है जाहिर,
कसमें ना उठा इतनी, सफाई ना दिया कर,
मालूम है तू रहता है अब मुझसे गुरेज़ाँ,
पास आकर मोहब्बत की दुहाई ना दिया कर,
एहसास नहीं तुझको अगर मेरी तन्हाई का,
औरों को भी तू दरस-ए-भलाई ना दिया कर,
उड़ जायें तो फिर लौट के कब आते हैं,
हर बार परिंदों को रिहाई ना दिया कर...!!!

Sunday, February 20, 2011
Mohabbat Dukh Nahi Deti
Agar be'garz ho jazba,
Agar manzil bane rasta,
Agar chahat ke parde mein,
Koi lalach na ho lipta,
Agar tum saunp do sab kuch,
Sile mein kuch na mango to,
Agar sauda na ho koi,
Mohabbat bas mohabbat ho,
To fir ye sukh hi deti hai,
Kabhi dukh nahi deti,
Mohabbat dukh nahi deti...!!!
**********
अगर बे'गरज हो जज्बा,
अगर मंजिल बने रस्ता,
अगर चाहत के परदे में,
कोई लालच ना हो लिपटा,
अगर तुम सौंप दो सब कुछ,
सिले में कुछ ना मांगो तो,
अगर सौदा ना हो कोई,
मोहब्बत बस मोहब्बत हो,
तो फिर ये सुख ही देती है,
कभी दुःख नहीं देती,
मोहब्बत दुःख नहीं देती...!!!
Agar manzil bane rasta,
Agar chahat ke parde mein,
Koi lalach na ho lipta,
Agar tum saunp do sab kuch,
Sile mein kuch na mango to,
Agar sauda na ho koi,
Mohabbat bas mohabbat ho,
To fir ye sukh hi deti hai,
Kabhi dukh nahi deti,
Mohabbat dukh nahi deti...!!!
**********
अगर बे'गरज हो जज्बा,
अगर मंजिल बने रस्ता,
अगर चाहत के परदे में,
कोई लालच ना हो लिपटा,
अगर तुम सौंप दो सब कुछ,
सिले में कुछ ना मांगो तो,
अगर सौदा ना हो कोई,
मोहब्बत बस मोहब्बत हो,
तो फिर ये सुख ही देती है,
कभी दुःख नहीं देती,
मोहब्बत दुःख नहीं देती...!!!
Thursday, November 25, 2010
Aur mujhko bhi mohabbat ke maze aane lage,
Talkhi-e-halaat-e-rafta se jo ghabrane lage,
Mera dil lekar wo apna dil behlane lage,
Mil gayi aakhir unhe bhi shiddat-e-gam se nijaat,
Aur mujhko bhi mohabbat ke maze aane lage,
Mere dil ki har guzarish jabra keh kar taal di,
Ikhtiaar-e-husn ki tasveer dikhane lage,
Jisne chaaha guftgu ki, jisko dekha hans diye,
Mere aage wo karam dunia par farmane lage,
Unki dunia me to tum jaise hazaron hai 'Shakeel',
Tum hi pagal the jo unko pakar itrane lage...!!!
**********
तल्खी-ए-हालात-ए-रफ्ता से जो घबराने लगे,
मेरा दिल लेकर वो अपना दिल बहलाने लगे,
मिल गई आखिर उन्हें भी शिद्दत--इ-गम से निजात,
और मुझको भी मोहब्बत के मज़े आने लगे,
मेरे दिल की हर गुज़ारिश जब्र कह कर टाल दी,
इख़्तियार-ए-हुस्न की तस्वीर दिखाने लगे,
जिसने चाहा गुफ्तगू की, जिसको देखा हंस दिए,
मेरे आगे वो करम दुनिया पर फरमाने लगे,
उनकी दुनिया में तो तुम जैसे हजारों हैं 'शकील',
तुम ही पागल थे जो उनको पाकर इतराने लगे...!!!

Sunday, July 25, 2010
Muskura Ke Roye
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere aazmane wale mujhe aazma ke roye,
Koi aisa ahal-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat,
Main usse suna ke roun, wo mujhe suna ke roye,
Meri aarzoo ki duniya dil-e-natawa ki hasrat,
Jise khoke shaadman the, usse aaj paake roye,
Teri bewfai'on par, teri kaj adai'on par,
kabhi sar jhuka ke roya, kabhi munh chhupa ke roye,
Jo sunai anjuman mein shab-e-gam ki aap beeti,
Kai ro ke muskuraye, kai muskura ke roye,
**********
मेरी दास्तां-ए-हसरत वो सुना सुना के रोये,
मेरे आजमाने वाले मुझे आजमा के रोये,
कोई ऐसा अहले-दिल हो के फ़साना-ए-मोहब्बत,
मैं उसे सुना के रोऊँ, वो मुझे सुना के रोये,
मेरी आरज़ू की दुनिया दिल-ए-नतावा की हसरत,
जिसे खोके शादमान थे, उसे आज पाके रोये,
तेरी बेवफाईओं पर, तेरी कज अदाईओं पर,
कभी सर झुका के रोये, कभी मुंह छुपा के रोये,
जो सुनाई अंजुमन में शब्-ए-गम की आप बीती,
कई रो के मुस्कुराए, कई मुस्कुरा के रोये...!!!

Thursday, May 27, 2010
Kisi Se Pyar Agar Ho To Bepanah Na Ho
Mohabaton mein agar koi rasm-e-rah na ho,
Sukoon tabaah na ho, zindgi gunah na ho,
kuch aetedal bhi lazim hai dillagi ke liye,
Kisi se pyar agar ho to bepanah na ho,
Iss ehtiat se main tere sath chalta hoon,
Teri nigah se aage meri nigah na ho,
Mera wajood hai sachaiyon ka aaina,
Ye aur baat hai ke mera koi gawaah na ho...
"Azhar Shehzad Sheikh"
**********
मोहबत्तों में अगर कोई रस्म-ए-राह ना हो,
सुकून तबाह ना हो, जिंदगी गुनाह ना हो,
कुछ एतेदल भी लाजिम है दिल्लगी के लिए,
किसी से प्यार अगर हो तो बेपनाह ना हो,
इस एहतियात से मैं तेरे साथ चलता हूँ,
तेरी निगाह से आगे मेरी निगाह ना हो,
मेरा वजूद है सचाइयों का आइना,
ये और बात है के मेरा कोई गवाह ना हो...!!!
"अजहर शहजाद शेख"

Tuesday, May 11, 2010
Ghazal Ki God Mein
Pehli to ho, aakhri kahan hoti hai,
Umar mohabbat ki, budhi kahan hoti hai,
Ho tazgi subah mein, ho jeene ki aarzoo,
Khwahishe raat ki, poori kahan hoti hai,
Na duniya se fursat, Na jannat se bair,
Hasrat-e-Aadam, thodi kahan hoti hai,
Hukmaraan mere, kyun kar sune meri,
Guzarishe awaam ki, zaruri kahan hoti hai,
Kahin fikr qafiye ki, kahin khayaal se khali,
Is tarah saheb, shayri kahan hoti hai,
Ghazal ki god me, jhooth jayez hue ,
Koi ladki bhala, pari kahan hoti hai,
Shayar se bhala kaise, tauheen-e-husn ho,
Koi nazar uski, buri kahan hoti hai...!!!
**********
पहली तो हो, आखिरी कहाँ होती है,
उम्र मोहब्बत की, बूढी कहाँ होती है,
हो ताजगी सुबह में, हो जीने की आरज़ू,
ख्वाहिशें रात की पूरी कहाँ होती है,
न दुनिया से फुर्सत , न जन्नत से बैर,
हसरत-ए-आदम, थोड़ी कहाँ होती है,
हुक्मरान मेरे, क्यूँ कर सुने मेरी,
गुजारिशें अवाम की, ज़रुरी कहाँ होती है,
कहीं फ़िक्र काफिये की, कहीं ख्याल से खाली,
इस तरह साहेब, शायरी कहाँ होती है,
ग़ज़ल की गोद में, झूठ जायज़ हुए,
कोई लड़की भला परी, कहाँ होती है,
शायर से भला कैसे, तौहीन-ए-हुस्न हो,
कोई नज़र उसकी, बुरी कहाँ होती है...!!!

Thursday, May 6, 2010
Ye Aziyat Bhi Gawara Karke
Baton baton mein bichhadne ke ishara karke,
Khud bhi roya wo bahut humse kinara karke,
Sochta rehta hoon tanhai mein Anjam-e-Khuloos,
Fir usi Zurm-e-Mohabbat ko dobara karke,
Jagmaga di hai tere shehar ki galian maine,
Apne har ashq ko palkon pe sitara karke,
Dekh lete hain chalo hausla apne dil ka,
Aur kuch roz uske sath guzara karke,
Ik hi shehar mein rehna magar milna nahi,
Dekhte hain ye aziyat bhi gawara karke...!!!
**********
बातों बातों में बिछडने का इशारा करके,
खुद भी रोया वो बहुत हमसे किनारा करके,
सोचता रहता हूँ तन्हाई में अंजाम-ए-ख़ुलूस,
फिर उसी जुर्म-ए-मोहब्बत को दोबारा करके,
जगमगा दी है तेरे शहर की गलियां मैंने,
अपने हर अश्क को पलकों पे सितारा करके,
देख लेते हैं चलो हौसला अपने दिल का,
और कुछ रोज उसके साथ गुज़ारा करके,
इक ही शहर में रहना मगर मिलना नहीं,
देखते हैं ये अज़ीयत भी गवारा करके,

Friday, April 2, 2010
Main Mohabbat Aur Tum
Hum ne jyonhi kar liya mehsoos manzil hai qareeb,
Raste khone lage hain, main mohabbat aur tum,
Chand ki kirno ne humko is tarah bosa diya,
Devta hone lage hain, main mohabbat aur tum,
Rakh gaya ilzaam jab se apni hurmat par koi,
Barishen dhone lage hain, main mohabbat aur tum,
Aaj fir mehromiyon ki dastane orh kar,
Khak mein sone lage hain, main mohabbat aur tum,
Kho gaye andaz bhi, awaz bhi, alfaz bhi,
Khamoshi dhone lage hain, main mohabbat aur tum...!!!
**********
हम ने ज्योंही कर लिया महसूस मंजिल है करीब,
रस्ते खोने लगे हैं, मैं मोहब्बत और तुम,
चाँद की किरणों ने हमको इस तरह बोसा दिया,
देवता होने लगे हैं, मैं मोहब्बत और तुम,
रख गया इलज़ाम जब से अपनी हुरमत पर कोई,
बारिशें धोने लगे हैं, मैं मोहब्बत और तुम,
आज फिर महरूमियों की दस्ताने ओढ़ कर,
खाक में सोने लगे हैं, मैं मोहब्बत और तुम,
खो गए अंदाज़ भी, आवाज़ भी, अल्फाज़ भी,
ख़ामोशी धोने लगे हैं, मैं मोहब्बत और तुम...!!!

Tuesday, March 9, 2010
Ghazal Mohabaton Ki
Main kise sunau, ye ghazal mohabaton ki,
Kahin aag sazishon ki, kahin aanch nafraton ki,
Koi baag jal raha hai ye magar meri duaa hai,
Mere phool tak na pahunche ye hawa tamazaton ki,
Mera kaun sa hai mausam, mere mausamon ke wali,
Ye bahaar be'dili ki, ye khizan mohabaton ki,
Main qadeem baam-o-dar main unhe ja ke dhoondhta hoon,
Wo dayaar nikhaton ke wo fizayein chahaton ki,
Mere kaagzon main shayad kahin ab bhi so raha hai,
Koi subah gulistan ki koi shaam parbaton ki,
Kahin dasht-e-dil Main shayed meri raah tak raha ho,
Wo qatar jugnuon ki wo mehak hari ruton ki,
Ye nahi ke dab gai hai kahin gard-e-roz-o-shab Main
Wo khalish mohabbaton ki, wo kasak rafaqaton ki...!!!
**********
मैं किसे सुनाऊँ, ये गज़ल मोहब्तों की,
कहीं आग साजिशों की,कहीं आंच नफरतों की,
कोई बाग जल रहा है ये मगर मेरी दुआ है,
मेरे फूल तक न पहुंचे ये हवा तमाज़तों की,
मेरा कौन सा है मौसम, मेरे मौसमों के वाली,
ये बहार बे'दिली की, ये खिजां मोहब्तों की,
मैं कदीम बाम-ओ-दर में उन्हें जा के ढूँढता हूँ,
वो दयार निखातों के वो फिजाएं चाहतों की,
मेरे कागजों में शायद अब भी सो रहा है,
कोई सुबह गुलिस्तान की कोई शाम पर्बतों की,
कहीं दश्त-ए-दिल में शायद मेरी राह तक रही हो,
वो कतार जुगनुओं की वो महक हरी रुतों की,
ये नहीं के दब गई है कहीं, गर्द-ए-रोज-ओ-शब् में,
वो खलिश मोहब्तों की, वो कसक रफाक़तों की...!!!
tamazat - heat
qadeem - old
khizan - wind
baam - roof
nikhat - smell
fiza - atmosphere
dasht - field
khalish - pain
rafaqat - friendly
gard - dust
roz - day
shab - night

Friday, March 5, 2010
Aadat Kab Badalti Hai
Musafir to bichhrrte hain, rifakat kab badlti hai,
Mohabbat zinda rehti hai, mohabbat kab badlti hai,
Kali ka phool ban’na aur bikhar jana muqaddar hai,
Yahi Qanoon-e-fitrat hai, aur fitrat kab badlti hai,
Jo diL me bas jaye aur aankhon me simat aye,
Alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badlti hai,
Tumhi ko chahte hain hum, Tumhi se Ishq kerte hain.
Yahi barson se adat hai, aur adat kab badlti hai...!!!
**********
मुसाफिर तो बिछड़ते है, रिफाकत कब बदलती है,
मोहब्बत जिंदा रहती है, मोहब्बत कब बदलती है,
कली का फूल बनना और बिखर जाना मुक़द्दर है,
यही कानून-ए-फितरत है, और फितरत कब बदलती है,
जो दिल में बस जाये और आँखों में सिमट आये,
अलामत है ये चाहत की और चाहत कब बदलती है,
तुम्ही को चाहते है हम, तुम्ही से इश्क करते हैं,
यही बरसों से आदत है, और आदत कब बदलती है...!!!

Saturday, December 12, 2009
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hoon,
Tumhe milne se pehle main bahut sajta sanwarta hoon,
Magar jab tum sanwarti ho, main khud ko bhool jata hoon,
Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hoon,
Magar kuch tum jo likhti ho, main khud ko bhool jata hoon,
Main aksar yehi kehta hoon, main tum se pyar karta hoon,
Magar jab tum ye kehti ho, main khud ko bhool jata hoon...!!!
**********
नज़र जब तुम से मिलती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,
बस एक धड़कन धड़कती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,
तुम्हें मिलने से पहले मैं, बहुत सजता संवरता हूँ,
मगर जब तुम संवरती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ,
मैं अक्सर किताबों पे तेरा ही नाम लिखता हूँ,
मगर कुछ तुम जो लिखती हो मैं खुद को भूल जाता हूँ,
मैं अकसर ये ही कहता हूँ, मैं तुमसे प्यार करता हूँ,
मगर जब तुम ये कहती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ...!!!

Friday, November 13, 2009
Mohabbat Seekh Kar Karna
Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai,
Gireban taar hota hai,
Kabhi inkar hota hai,
Kabhi ikrar hota hai,
Mohabbar seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to srabon ki kahani hai,
Dukhon ki raj-dhani hai,
Jo kal ban jayega badal,
Yeh dariya ka woh pani hai,
Mohabbat seekh kar karna,
Ke bin seekhe mohabbat to azab-e-zindgi thehri,
Sarab-e-zindgi thehri,
Na ho takmeel jiski woh
Kitab-e-zindgi thehri,
Isi khatir to kehta hoon,
Kisi Ustaad-e-kamil se,
Mohabbat Seekh kar karna...!!!

Labels:
Azab-e-Zindgi,
Badal,
Dariya,
Dushwar,
Gireban,
Inkar,
Iqraar,
Iqrar,
Kitab-e-Zindgi,
Mohabbat,
Safar,
Sarab-e-Zindgi,
Seekh,
Ustaad,
Ustad-e-Kamil
Sunday, October 25, 2009
Mohabbat Khauf Kab Se Hai
Mohabbat khauf hoti hai
Kabhi nadaan karti hai
Kabhi hairaan karti hai
Mujhe maloom hai shayad
Bahut nuksan karti hai
Ye ghar veeran karti hai
Jahan hon raunaken zinda
Wo dil sunsan karti hai
Magar ab sun mere humdam
Mujhe karni mohabbat hai
Mohabbat wo haqeeqat hai
Jo dil abaad karti hai
Sabhi ko shaad karti hai
Marron ko yaad karti hai
Mohabbat khauf kab se hai
Mohabbat rog kab se hai
Ye marham hai maseeha hai
Ye deepak hai ye dia hai
Chalo acha hua jaana
Gaya main jaan ye jaana
Suno phir gaur se jaana
Mujhe TumSe Mohabbat hai...!!!
Kabhi nadaan karti hai
Kabhi hairaan karti hai
Mujhe maloom hai shayad
Bahut nuksan karti hai
Ye ghar veeran karti hai
Jahan hon raunaken zinda
Wo dil sunsan karti hai
Magar ab sun mere humdam
Mujhe karni mohabbat hai
Mohabbat wo haqeeqat hai
Jo dil abaad karti hai
Sabhi ko shaad karti hai
Marron ko yaad karti hai
Mohabbat khauf kab se hai
Mohabbat rog kab se hai
Ye marham hai maseeha hai
Ye deepak hai ye dia hai
Chalo acha hua jaana
Gaya main jaan ye jaana
Suno phir gaur se jaana
Mujhe TumSe Mohabbat hai...!!!
Friday, July 24, 2009
Bus Ab Laut Aao
Kahin wo mile to usse kehna ke laut aao,
Laut aao ke koi shiddat se,
Bari muddat se,
Bari mohabbat se tumhara intezar kar raha hai,
Laut aao ke kisi ki baaten,
Kisi ki yaaden,
Kisi ki raaten tum bin bohat adhuri hain,
Laut aao ke koi tum bin pal pal,
Har pal,
Har aaj aur har kal tanha hai,
Laut aao ke tumhare na hone se,
Kisi ki aankhon me nami,
Zindgi me kami bohat zyada hai,
Kahin mile to uss se kehna ke
Laut aao,
Bus ab laut aao.....!

Saturday, July 18, 2009
Sahare Baant Lete Hain
Chalo aisa karen mil ke sitare baant lete hain,
Zarurat ke mutabik sab sahare baant lete hain,
Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai,
Munafa chhor dete hain khasare baant lete hain,
Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh kar,
Abhi dariya-e-Ulfat ke kinare baant lete hain,
Meri jholi me jitne bhi wafa ke phool hain inko,
Ikathe baith kar ik roz sare baant lete hain,
Mohabbat ke alawa pas apne kuch bhi nahi Saqi,
Isi daulat ko ham kismat ke mare baant lete hain.

Friday, July 17, 2009
Sooli Pe Charha De
Is jurm-e-mohabbat ki mujhe kuch to saza de,
Jeene nahi deta to marne ki dua de,
Agar tujh ko satata hai mere ghar ka ujala,
Aye jaan-e-wafa aa ke chiragon ko bujha de,
Banta hai agar tere iradon mein rukawat,
Raste ka pathar hoon to thokar se hata de,
Haan tujh se mohabbat hai sirf tujh se mohabbat,
Aisa bhi na ho baat ye logon ko bata de,
Ab mere sanam tujh se hai bas ek taqaza,
Bahon mein mujhe le ya sooli pe charha de.

Monday, July 13, 2009
Doob Jana Hai
Masoom is mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
Kagaj ki haveli hai, barish ka zamaana hai..
Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
Awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..
Uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
Kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..
Samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
Bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..
Bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
Fir aag ka dariya hai.. Aur doob hi jana hai ...

Subscribe to:
Posts (Atom)