Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere aazmane wale mujhe aazma ke roye,
Koi aisa ahal-e-dil ho ke fasana-e-mohabbat,
Main usse suna ke roun, wo mujhe suna ke roye,
Meri aarzoo ki duniya dil-e-natawa ki hasrat,
Jise khoke shaadman the, usse aaj paake roye,
Teri bewfai'on par, teri kaj adai'on par,
kabhi sar jhuka ke roya, kabhi munh chhupa ke roye,
Jo sunai anjuman mein shab-e-gam ki aap beeti,
Kai ro ke muskuraye, kai muskura ke roye,
**********
मेरी दास्तां-ए-हसरत वो सुना सुना के रोये,
मेरे आजमाने वाले मुझे आजमा के रोये,
कोई ऐसा अहले-दिल हो के फ़साना-ए-मोहब्बत,
मैं उसे सुना के रोऊँ, वो मुझे सुना के रोये,
मेरी आरज़ू की दुनिया दिल-ए-नतावा की हसरत,
जिसे खोके शादमान थे, उसे आज पाके रोये,
तेरी बेवफाईओं पर, तेरी कज अदाईओं पर,
कभी सर झुका के रोये, कभी मुंह छुपा के रोये,
जो सुनाई अंजुमन में शब्-ए-गम की आप बीती,
कई रो के मुस्कुराए, कई मुस्कुरा के रोये...!!!
Showing posts with label Fasana. Show all posts
Showing posts with label Fasana. Show all posts
Sunday, July 25, 2010
Wednesday, August 12, 2009
Wo Zamana Dil Ka
Unn ke andaz-e-karam unn pe wo aana dil ka,
Haye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka,
Na suna us ne tawajjo se fasana dil ka,
Umr guzri par dard na jana dil ka,
Dillagi, Dil ki lagi ban ke mita deti hai,
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka,
Wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se,
aise aane se to behtar hai na aana dil ka,
Unn ki mehfil mein 'Faraz' unn ke tabassum ki qasam,
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka...!!!

Subscribe to:
Posts (Atom)