Pages

Showing posts with label Dillagi. Show all posts
Showing posts with label Dillagi. Show all posts

Thursday, May 27, 2010

Kisi Se Pyar Agar Ho To Bepanah Na Ho

Mohabaton mein agar koi rasm-e-rah na ho,
Sukoon tabaah na ho, zindgi gunah na ho,

kuch aetedal bhi lazim hai dillagi ke liye,
Kisi se pyar agar ho to bepanah na ho,

Iss ehtiat se main tere sath chalta hoon,
Teri nigah se aage meri nigah na ho,

Mera wajood hai sachaiyon ka aaina,
Ye aur baat hai ke mera koi gawaah na ho...

"Azhar Shehzad Sheikh"

**********

मोहबत्तों में अगर कोई रस्म-ए-राह ना हो,
सुकून तबाह ना हो, जिंदगी गुनाह ना हो,

कुछ एतेदल भी लाजिम है दिल्लगी के लिए,
किसी से प्यार अगर हो तो बेपनाह ना हो,

इस एहतियात से मैं तेरे साथ चलता हूँ,
तेरी निगाह से आगे मेरी निगाह ना हो,

मेरा वजूद है सचाइयों का आइना,
ये और बात है के मेरा कोई गवाह ना हो...!!!


"अजहर शहजाद शेख"

Wednesday, August 12, 2009

Wo Zamana Dil Ka

Unn ke andaz-e-karam unn pe wo aana dil ka,
Haye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka,

Na suna us ne tawajjo se fasana dil ka,
Umr guzri par dard na jana dil ka,

Dillagi, Dil ki lagi ban ke mita deti hai,
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka,

Wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se,
aise aane se to behtar hai na aana dil ka,

Unn ki mehfil mein 'Faraz' unn ke tabassum ki qasam,
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka...!!!


Bookmark and Share