Jalte hothon pe tabassum jo machalta hai kabhi,
Zakhm dhul jate hain sawan jo barasta hai kabhi,
Meri sochon ne tarashe hain khadokhal tere,
Mere bare mein bata tune bhi socha hai kabhi,
Chadte suraj se kabhi tune milai hai nazar,
Tune kirno ki taraf gaur se dekha hai kabhi,
Log patharon mein khilate hain umeedon ke gulab,
Yeh bhi mumkin hai bata aisa bhi hota hai kabhi,
Tune samjha tha ke main laut ke na aunga,
Chand ko chandni se juda dekha hai kabhi..!!
**********
जलते होंठों पे तबस्सुम जो मचलता है कभी,
ज़ख्म धुल जाते हैं सावन जो बरसता है कभी,
मेरी सोचों ने तराशे हैं खादोखल तेरे,
मेरे बारे में बता तुने भी सोचा है कभी,
चढते सूरज से कभी तुने मिलाई है नज़र,
तुने किरणों की तरफ गौर से देखा है कभी,
लोग पत्थरों में खिलाते है उमीदों के गुलाब,
ये भी मुमकिन है बता ऐसा भी होता है कभी,
तुने समझा थे के मैं लौट के ना आऊंगा,
चाँद को चाँदनी से जुदा देखा है कभी...!!!
Showing posts with label Tabassum. Show all posts
Showing posts with label Tabassum. Show all posts
Sunday, October 31, 2010
Wednesday, August 12, 2009
Wo Zamana Dil Ka
Unn ke andaz-e-karam unn pe wo aana dil ka,
Haye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka,
Na suna us ne tawajjo se fasana dil ka,
Umr guzri par dard na jana dil ka,
Dillagi, Dil ki lagi ban ke mita deti hai,
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka,
Wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se,
aise aane se to behtar hai na aana dil ka,
Unn ki mehfil mein 'Faraz' unn ke tabassum ki qasam,
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka...!!!

Sunday, August 9, 2009
Aansu
Aansu bhi tha ussi ka wahin par gira hua,
Khat mein jahan tha tarq-e-talluq likha hua....!
-
Ehsaas-e-amal ki chingari jis dil me firoza hoti hai,
Uss lab ka tabassum heera hai, uss aankh ka aansu moti hai....!
-
Hansne ki aarzoo mein dabaya dard ko,
Aansu hamari aankh mein patthar ke ho gaye....!
-
Bhari Mehfil mein aansu aa gaye, tum darguzaar kardo,
Kasam le lo ki hum waqif na the aadab-e-mehfil se....!
-
Aur bhi naqsh ubhar aaye teri yaadon ke,
Jab bhi aansu koi palkon mein chhupa kar dekha....!
-
Hazaro gam sahe lekin naa aaya aankh mein aansu,
Hum ahl-e-zarf peete hai chhalkaya nahi karte....!
-
Bade bewafa hai aansu sar-e-bazm aaj chhalke,
Meri aabroo ko loota meri chashm-e-tar mein pal ke....!

Subscribe to:
Posts (Atom)