Pages

Sunday, August 9, 2009

Aansu

Aansu bhi tha ussi ka wahin par gira hua,
Khat mein jahan tha tarq-e-talluq likha hua....!
-
Ehsaas-e-amal ki chingari jis dil me firoza hoti hai,
Uss lab ka tabassum heera hai, uss aankh ka aansu moti hai....!
-
Hansne ki aarzoo mein dabaya dard ko,
Aansu hamari aankh mein patthar ke ho gaye....!
-
Bhari Mehfil mein aansu aa gaye, tum darguzaar kardo,
Kasam le lo ki hum waqif na the aadab-e-mehfil se....!
-
Aur bhi naqsh ubhar aaye teri yaadon ke,
Jab bhi aansu koi palkon mein chhupa kar dekha....!
-
Hazaro gam sahe lekin naa aaya aankh mein aansu,
Hum ahl-e-zarf peete hai chhalkaya nahi karte....!
-
Bade bewafa hai aansu sar-e-bazm aaj chhalke,
Meri aabroo ko loota meri chashm-e-tar mein pal ke....!


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment