Pages

Showing posts with label Patthar. Show all posts
Showing posts with label Patthar. Show all posts

Monday, February 14, 2011

Uski Yadein Marham Marham

Raat ki zulfen barham barham,
Dard ki lau hai madham madham,

Mere kisse galiyan galiyan,
Tera charcha alam alam,

Ishq ki ratein patthar patthar,
Husn ki batein resham resham,

Ek jaza hai jannat jannat,
Ek khata hai aadam aadam,

Ek azaab hai basti basti,
Ek sada hai maatam maatam,

Hijr ke lamhe zakhmi zakhmi,
Uski yadein marham marham...!!!

**********

रात की जुल्फें बरहम बरहम,
दर्द की लौ है मद्धम मद्धम,

मेरे किस्से गलियां गलियां,
तेरा चर्चा आलम आलम,

इश्क की रातें पत्थर पत्थर,
हुस्न की बातें रेशम रेशम,

एक जज़ा है जन्नत जन्नत,
एक खता है आदम आदम,

एक अज़ाब है बस्ती बस्ती,
एक सदा है मातम मातम,

हिजर के लम्हे ज़ख़्मी ज़ख़्मी,
उसकी यादें मरहम मरहम...!!!

Sunday, February 6, 2011

Usko Pata Ho Jaega

Sar jhukaoge to pathar devta ho jaega,
Itna mat chaho use wo bewafa ho jaega,

Hum bhi darya hai hume apna hunr malum hai,
Jis tarf bhi chal padenge rasta ho jaega,

Kitni sachai se mujhse zindgi ne keh dia,
Tu nahi mera to koi dusra ho jaega,

Sab isi ke hain hawa, khushbu, zameen-o-asma,
Main jaha bhi jaunga usko pta ho jaega...!!!

**********

सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा,
इतना मत चाहो उसे वो बेवफा हो जाएगा,

हम भी दरया है हमे अपने हुनर मालूम है,
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे रास्ता हो जाएगा,

कितनी सच्चाई से मुझसे जिंदगी ने कह दिया,
तू नहीं मेरा तो कोई दूसरा हो जाएगा,

सब इसी के हैं हवा, खुशबु, ज़मीं-ओ-आसमां,
मैं जहाँ भी जाऊंगा उसको पता हो जाएगा...!!!

Sunday, August 9, 2009

Aansu

Aansu bhi tha ussi ka wahin par gira hua,
Khat mein jahan tha tarq-e-talluq likha hua....!
-
Ehsaas-e-amal ki chingari jis dil me firoza hoti hai,
Uss lab ka tabassum heera hai, uss aankh ka aansu moti hai....!
-
Hansne ki aarzoo mein dabaya dard ko,
Aansu hamari aankh mein patthar ke ho gaye....!
-
Bhari Mehfil mein aansu aa gaye, tum darguzaar kardo,
Kasam le lo ki hum waqif na the aadab-e-mehfil se....!
-
Aur bhi naqsh ubhar aaye teri yaadon ke,
Jab bhi aansu koi palkon mein chhupa kar dekha....!
-
Hazaro gam sahe lekin naa aaya aankh mein aansu,
Hum ahl-e-zarf peete hai chhalkaya nahi karte....!
-
Bade bewafa hai aansu sar-e-bazm aaj chhalke,
Meri aabroo ko loota meri chashm-e-tar mein pal ke....!


Bookmark and Share