Pages

Showing posts with label Ehsaas. Show all posts
Showing posts with label Ehsaas. Show all posts

Saturday, March 26, 2011

Zakhm-e-Judai

Har baar mujhe zakhm-e-judai na diya kar,
Agar mera nahi mujhko, dikhai na diya kar,

Sach jhooth teri ankho se ho jata hai jaahir,
Kasmein na utha itni, safai na diya kar,

Maloom hai tu rehta hai ab mujh se gurezan,
Paas aakar mohabbat ki duhai na diya kar,

Ehsaas nahi tujhko agar meri tanhai ka,
Auron ko bhi tu dars-e-bhalai na diya kar,

Udd jayein to fir laut ke kab aate hain,
Har baar parindon ko rehaai na kiya kar...!!!

**********

हर बार मुझे ज़ख्म-ए-जुदाई ना दिया कर,
अगर मेरा नहीं तो मुझको दिखाई ना दिया कर,

सच झूठ तेरी आँखों से हो जाता है जाहिर,
कसमें ना उठा इतनी, सफाई ना दिया कर,

मालूम है तू रहता है अब मुझसे गुरेज़ाँ,
पास आकर मोहब्बत की दुहाई ना दिया कर,

एहसास नहीं तुझको अगर मेरी तन्हाई का,
औरों को भी तू दरस-ए-भलाई ना दिया कर,

उड़ जायें तो फिर लौट के कब आते हैं,
हर बार परिंदों को रिहाई ना दिया कर...!!!

Sunday, August 9, 2009

Aansu

Aansu bhi tha ussi ka wahin par gira hua,
Khat mein jahan tha tarq-e-talluq likha hua....!
-
Ehsaas-e-amal ki chingari jis dil me firoza hoti hai,
Uss lab ka tabassum heera hai, uss aankh ka aansu moti hai....!
-
Hansne ki aarzoo mein dabaya dard ko,
Aansu hamari aankh mein patthar ke ho gaye....!
-
Bhari Mehfil mein aansu aa gaye, tum darguzaar kardo,
Kasam le lo ki hum waqif na the aadab-e-mehfil se....!
-
Aur bhi naqsh ubhar aaye teri yaadon ke,
Jab bhi aansu koi palkon mein chhupa kar dekha....!
-
Hazaro gam sahe lekin naa aaya aankh mein aansu,
Hum ahl-e-zarf peete hai chhalkaya nahi karte....!
-
Bade bewafa hai aansu sar-e-bazm aaj chhalke,
Meri aabroo ko loota meri chashm-e-tar mein pal ke....!


Bookmark and Share