Pages

Showing posts with label Zakhm. Show all posts
Showing posts with label Zakhm. Show all posts

Wednesday, February 20, 2013

Na sukoon de, na karaar de

Na sukoon de, na karaar de,
Mujhe imtehan se guzaar de,
Usse jeet de, usse pyar de,
Mujhe maat de mujhe haar de,

Meri aankh mein tera khwab hai,
Usse noch le, zara soch le,
Koi faans dil mein utaar de,
Mujhe zakhm-zakhm nikhar de,

Kisi sham ko mere naam kar,
Koi baat ho tere sath ho,
Meri ek shab tu sanwaar de,
Mujhe pyar kar, mujhe pyar de,

Kabhi aas paas sunu tujhe,
Kabhi harf harf bunu tujhe,
Mere raston ka ghubar de,
Koi qurbaton ka hisaar de...!!!

ना सुकून दे, ना करार दे,
मुझे इम्तेहां से गुज़ार दे,
उसे जीत दे, उसे प्यार दे,
मुझे मात दे, मुझे हार दे,

मेरी आँख में तेरा ख्वाब है,
उसे नोच ले, ज़रा सोच ले,
कोई फांस दिल में उतार दे,
मुझे ज़ख्म ज़ख्म निखार दे,

किसी शाम को मेरे नाम कर,
कोई बात हो तेरे साथ हो,
मेरी एक शब् तो सँवार दे,
मुझे प्यार कर, मुझे प्यार दे,

कभी आस पास सुनूं तुझे,
कभी हर्फ़ हर्फ़ बुनूँ तुझे,
मेरे रास्तों का घुबार दे,
कोई कुर्बतों का हिसार दे...!!!

Ghubar - Dust
Qurbat - Closeness

Saturday, March 26, 2011

Zakhm-e-Judai

Har baar mujhe zakhm-e-judai na diya kar,
Agar mera nahi mujhko, dikhai na diya kar,

Sach jhooth teri ankho se ho jata hai jaahir,
Kasmein na utha itni, safai na diya kar,

Maloom hai tu rehta hai ab mujh se gurezan,
Paas aakar mohabbat ki duhai na diya kar,

Ehsaas nahi tujhko agar meri tanhai ka,
Auron ko bhi tu dars-e-bhalai na diya kar,

Udd jayein to fir laut ke kab aate hain,
Har baar parindon ko rehaai na kiya kar...!!!

**********

हर बार मुझे ज़ख्म-ए-जुदाई ना दिया कर,
अगर मेरा नहीं तो मुझको दिखाई ना दिया कर,

सच झूठ तेरी आँखों से हो जाता है जाहिर,
कसमें ना उठा इतनी, सफाई ना दिया कर,

मालूम है तू रहता है अब मुझसे गुरेज़ाँ,
पास आकर मोहब्बत की दुहाई ना दिया कर,

एहसास नहीं तुझको अगर मेरी तन्हाई का,
औरों को भी तू दरस-ए-भलाई ना दिया कर,

उड़ जायें तो फिर लौट के कब आते हैं,
हर बार परिंदों को रिहाई ना दिया कर...!!!

Thursday, March 17, 2011

Jawab Mil Gaya To Fir?

Ye dard mit gaya to fir,
Ye zakhm sil gaya to fir,
Bichhad k sochta hoon main,
Wo fir se mil gaya to fir,

Main titliyon ke shehar mein,
Rahun to mujh ko fikr hai,
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to fir,

Tumhein bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila,
Tamam umr ke vaaste,
Ye dard mil gaya to fir,

Main isliye to aaj tak,
Ik sawal bhi na kar saka,
Mere sawal ka agar,
Jawab mil gaya to fir...!!!

**********

ये दर्द मिट गया तो फिर,
ये ज़ख्म सिल गया तो फिर,
बिछड़ के सोचता हूँ मैं,
वो फिर से मिल गया तो फिर,

मैं तितलिओं के शहर में,
रहूँ तो मुझ को फ़िक्र है,
वो फूल जो खिला नहीं,
वो फूल खिल गया तो फिर,

तुम्हें भी कुछ नहीं मिला,
मुझे भी कुछ नहीं मिला,
तमाम उम्र के वास्ते,
ये दर्द मिल गया तो फिर,

मैं इसलिए तो आज तक,
इक सवाल भी ना कर सका,
मेरे सवाल का अगर,
जवाब मिल गया तो फिर...!!!

Monday, February 14, 2011

Uski Yadein Marham Marham

Raat ki zulfen barham barham,
Dard ki lau hai madham madham,

Mere kisse galiyan galiyan,
Tera charcha alam alam,

Ishq ki ratein patthar patthar,
Husn ki batein resham resham,

Ek jaza hai jannat jannat,
Ek khata hai aadam aadam,

Ek azaab hai basti basti,
Ek sada hai maatam maatam,

Hijr ke lamhe zakhmi zakhmi,
Uski yadein marham marham...!!!

**********

रात की जुल्फें बरहम बरहम,
दर्द की लौ है मद्धम मद्धम,

मेरे किस्से गलियां गलियां,
तेरा चर्चा आलम आलम,

इश्क की रातें पत्थर पत्थर,
हुस्न की बातें रेशम रेशम,

एक जज़ा है जन्नत जन्नत,
एक खता है आदम आदम,

एक अज़ाब है बस्ती बस्ती,
एक सदा है मातम मातम,

हिजर के लम्हे ज़ख़्मी ज़ख़्मी,
उसकी यादें मरहम मरहम...!!!

Friday, January 14, 2011

Ye Chubhan Akelepan Ki

Ye chubhan akelepan ki, Ye lagan udas shab se,
Main hawa se lad raha hoon, Tujhe kya bataun kab se,

Ye sahar ki sazishen thi, Ke ye inteqam-e-shab tha,
Mujhe zindgi ka suraj, Na bacha saka gazab se,

Tere naam se shifa ho, Koi zakhm wo ata kar,
Mere nama bar! mile to, Use kehna ye adab se,

Wo jawan ruton ki shama'en, Kahan kho gayi hain,
Main to bujh ke reh gaya hoon, Tu bichhad gaya hai jab se...!!!

**********

ये चुभन अकेलेपन की, ये लगन उदास शब् से,
मैं हवा से लड़ रहा हूँ, तुझे क्या बताऊँ कब से,

ये सहर की साजिशें थी, के ये इन्तेकाम-ए-शब् था,
मुझे जिंदगी का सूरज, ना बचा सका गज़ब से,

तेरे नाम से शिफा हो, कोई ज़ख्म वो अता कर,
मेरे नामा बार मिले तो, उसे कहना ये अदब से,

वो जवान रुतों की शमाएँ, खो गई जाने कहाँ,
मैं तो बुझ के रह गया हूँ, तू बिछड़ गया है जब से...!!!

Wednesday, November 17, 2010

Dil-E-Haal Har Kisi Se Numaya Nahi Karte

Dil-e-haal har kisi se numaya nahi karte,
Dil-e-zakhm har kisi ko dikhaya nahi karte,

Khul na jaye kahin dil-e-gham ka mere raaz,
Yahi soch kar hum tanha muskuraya nahi karte,

Meri zindagi me na aayi fizayein bahar ki,
Ab hum bhi khizaon se ghabraya nahi karte,

Aadat si pad gai hai ta'umar thokro ki,
Dar-asal ab kadam mere dag'mgaya nahi karte,

Fana ho gaye hain unpar mere ye sare armaa,
Ye baat bhi hum kisi ko bataya nahi karte,

Kya ho gayi khata kyon kar hain wo khafa,
Mere lahad se ho kar wo jaya nahi karte…!!!

"Neyaz Ahmad"

**********

दिल-ए-हाल हर किसी से नुमाया नहीं करते,
दिल-ए-ज़ख्म हर किसी को दिखाया नहीं करते,

खुल ना जाये कहीं दिल-ए-गम का मेरे राज़,
यही सोच कर हम तन्हा मुस्कुराया नहीं करते,

मेरी जिंदगी में ना आई फिजाएं बहार की,
अब हम भी खिजाओं से घबराया नहीं करते,

आदत सी पड़ गई है ता'उम्र ठोकरों की,
दर-असल अब कदम मेरे डगमगाया नहीं करते,

फ़ना हो गए हैं उनपर मेरे ये सारे अरमान,
ये बात भी हम किसी को बताया नहीं करते,

क्या हो गयी खता क्यों कर हैं वो खफा,
मेरे लहद से हो कर वो जाया नहीं करते...!!!

"नेयाज अहमद"

Tuesday, December 29, 2009

Wo Jo Tere Ishq Ka Daur Tha

Bade mukhtsir se haroof mein koi gehri baat suna gaya,
Kisi khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle chala gaya,

Humein aasman se gila nahi teri rehmaton pe yaqeen hai,
Jahan zindgi ne shikast di kisi mojazae ne bacha liya,

Kisi meharbaan ki duaon se ye safar naseeb hua mujhe,
Jinhe rehbari ka garoor tha unhe rasto me mita diya,

Sada hanste rehne ka housla teri aarzoo ne ataa kiya,
Bade gehre zakhm the waqt ne jinhe rafta rafta bhula diya,

Teri dosti ki ye peshkash badi dilfareb lagi magar,
Woh jo aitbar ka wasf tha kahin dil se door chala gaya,

Koi waqt tha ke ye naam bhi bada motabir tha jahan mein,
Woh jo tere ishq ka daur tha humein ba-kamaal bana gaya...!!!

**********

बड़े मुखत्सिर से हरूफ में कोई गहरी बात सुना गया,
किसी ख्वाब सा कोई शख्स था जो सहर से पहले चला गया,

हमें आसमां से गिला नहीं तेरी रहमतों पे यकीं है,
जहाँ ज़िंदगी ने शिक्स्त दी किसी मोजज़े ने बचा लिया,

किसी मेहरबां की दुआओं से ये सफर नसीब हुआ मुझे,
जिन्हें रहबरी का गरूर था उन्हें रास्तों ने मिटा दिया,

सदा हंसते रहने का हौसला तेरी आरज़ू ने अता किया,
बड़े गहरे ज़ख्म थे वक़्त ने जिन्हें रफ्ता रफ्ता भुला दिया,

तेरी दोस्ती कि ये पेशकश बड़ी दिल फरेब लगी मगर,
वो जो ऐतबार का वस्फ था, कहीं दिल से दूर चला गया,

कोइ वक़्त थ के ये नाम भी बड़ा मोतबिर था जहां में,
वो जो तेरे इश्क़ का दौर थ हमें बा-कमाल बना गया...!!!

Wednesday, December 23, 2009

To Fir

Yeh dard mit gaya to fir?
Yeh Zakhm sil gaya to fir?

Bichhar kar sochta hoon main,
Wo fir se mil gaya to fir?

Main titliyon ke shahar mein,
Rahun to mujh ko fikr hai,

Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to fir?

**********
ये दर्द मिट गया तो फिर?
ये ज़ख्म सिल गया तो फिर?

बिछड़ कर सोचता हूँ मैं,
वो फिर से मिल गया तो फिर?

मैं तितलियों के शहर में,
रहूँ तो मुझ को फिक्र है,

वो फूल जो खिला नहीं,
वो फूल खिल गया तो फिर?

Saturday, November 7, 2009

Mujhe To Khair Tera Intezar Karna Hai

Wafa main abb ye hunar ikhtiyar karna hai,
Wo sach kahe na kahe, aitbar karna hai,

Ye tujh ko jagte rehne ka shouq kab se hua,
Mujhe to khair tera intezar karna hai,

Hawa ke zad mein jalane hain aansoo ke chirag,
Kabhi ye jashan sar rah'guzaar karna hai,

Woh muskura kar naye vishwason mein daal gaya,
Khayal tha ke usse sharam'sar karna hai,

Misaal-e-Shaakh-e-Badhana khizzan ke rut mein kabhi,
Khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai,

Tere firaaq mein din kis tarha kat'te apne,
Keh shugal-e-shab tu sitare shumar karna hai,

Chalo ye ashq hi moti samajh ke bech aayein,
Kissi tarha to humein rozgaar karna hai,

Kabhi tu dil mein chhupe zakham bhi numayan hoon,
Qaba samajh ke badan taar-taar karna hai,

Khabar yeh koi zid ke shouq hai mohsin,
Khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai...!!!

Sunday, June 14, 2009

Chehra Gulab Jaisa Hai

Badan mein aag si chehra gulab jaisa hai,
Ke Zaher-e gam ka nasha bhi sharab jaisa hai

Kahan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise,
Tere firaaq ka aalam bhi khwab jaisa hai,

Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi,
Dil aaina hai to chehra kitab jaisa hai,

Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati,
Ye kya sitam hai ke dariya saraab jaisa hai,

'Preet' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi,
Humein aziz hai khana kharab jaisa hai


Bookmark and Share