Pages

Showing posts with label Khwab. Show all posts
Showing posts with label Khwab. Show all posts

Wednesday, February 20, 2013

Na sukoon de, na karaar de

Na sukoon de, na karaar de,
Mujhe imtehan se guzaar de,
Usse jeet de, usse pyar de,
Mujhe maat de mujhe haar de,

Meri aankh mein tera khwab hai,
Usse noch le, zara soch le,
Koi faans dil mein utaar de,
Mujhe zakhm-zakhm nikhar de,

Kisi sham ko mere naam kar,
Koi baat ho tere sath ho,
Meri ek shab tu sanwaar de,
Mujhe pyar kar, mujhe pyar de,

Kabhi aas paas sunu tujhe,
Kabhi harf harf bunu tujhe,
Mere raston ka ghubar de,
Koi qurbaton ka hisaar de...!!!

ना सुकून दे, ना करार दे,
मुझे इम्तेहां से गुज़ार दे,
उसे जीत दे, उसे प्यार दे,
मुझे मात दे, मुझे हार दे,

मेरी आँख में तेरा ख्वाब है,
उसे नोच ले, ज़रा सोच ले,
कोई फांस दिल में उतार दे,
मुझे ज़ख्म ज़ख्म निखार दे,

किसी शाम को मेरे नाम कर,
कोई बात हो तेरे साथ हो,
मेरी एक शब् तो सँवार दे,
मुझे प्यार कर, मुझे प्यार दे,

कभी आस पास सुनूं तुझे,
कभी हर्फ़ हर्फ़ बुनूँ तुझे,
मेरे रास्तों का घुबार दे,
कोई कुर्बतों का हिसार दे...!!!

Ghubar - Dust
Qurbat - Closeness

Thursday, February 10, 2011

Bante Hain Anjane Kitne

Bhool gaye afsane kitne,
Bikhre khwab suhane kitne,

Dil to hai ek khwab jazeera,
Usmein hain veerane kitne,

Do ankhein hain sagar teri,
Unmein hain maikhane kitne,

Saki ne jab aankh milai,
Toot gaye paimane kitne,

Shama to ek rat hai jalti,
Jalte hain parwane kitne,

Apno ki tum bat na chhedo,
Apne hain begane kitne,

Jungle-2 raunaq dekhi,
Shehron mein veerane kitne,

Mujh ko mujh se chheen ke thoda,
Bante ho anjane kitne...!!!

**********

भूल गए अफसाने कितने,
बिखरे ख्वाब सुहाने कितने,

दिल तो है एक ख्वाब जजीरा,
उसमें हैं वीराने कितने,

दो आंखें हैं सागर तेरी,
उनमें हैं मैखाने कितने,

साकी ने जब आँख मिलाई,
टूट गए पैमाने कितने,

शमा तो एक रात है जलती,
जलते हैं परवाने कितने,

अपनों की तुम बात ना छेड़ो,
अपने हैं बेगाने कितने,

जंगल-२ रौनक देखी,
शहरों में वीराने कितने,

मुझ को मुझ से छीन के थोड़ा,
बनते हैं अनजाने कितने...!!!

Monday, February 7, 2011

Chalo Adhi Raat Hone Do

Abhi raat ke diye jale hain,
Abhi taaron ke karwaan chale hain,

Abhi hawa ne anchal lehraya hai,
Abhi chand ne chehra dikhaya hai,

Kuch vasal ki baat hone do,
Chalo aadhi raat hone do,

Fir dil ko bekarar hona hai,
Tab aankh ko meri sona hai,

Fir raat chalegi, baat chalegi,
Fir yadon ki baraat chalegi,

Fir khwab nagar mein basera hoga,
Fir subah talak tu mera hoga...!!!

**********

अभी रात के दिए जले हैं,
अभी तारों के कारवां चले हैं,

अभी हवा ने आँचल लहराया है,
अभी चाँद ने चेहरा दिखाया है,

कुछ वसल की बात होने दो,
चलो आधी रात होने दो,

फिर दिल को बेकरार होना है,
तब आँख को मेरी सोना है,

फिर रात चलेगी, बात चलेगी,
फिर यादों की बारात चलेगी,

फिर ख्वाब नगर में बसेरा होगा,
फिर सुबह तलक तू मेरा होगा...!!!

Wednesday, January 5, 2011

Mere Lafzon Mein

Shola-e-ishq bujhana bhi nahi chahta hai,
Wo magar khud ko jalana bhi nahi chahta hai,

Usko manzoor nahi hai meri gumrahi bhi,
Aur mujhe raah pe lana bhi nahi chahta hai,

Sair bhi jism ke sehra ki khush aati hai magar,
Der tak khaak udana bhi nahi chahta hai,

Kaise us shakhs se tabeer pe israar karein,
Jo koi khwab dikhana bhi nahi chahta hai,

Apne kis kaam mein layega batata bhi nahi,
Aur humko auron pe ganwana bhi nahi chahta hai,

Mere lafzon mein bhi chhupta nahi paikar uska,
Dil magar naam batana bhi nahi chahta hai...!!!

**********

शोला-ए-इश्क बुझाना भी नहीं चाहता है,
वो मगर खुद को जलाना भी नहीं चाहता है,

उसको मंज़ूर नहीं है मेरी गुमराही भी,
और मुझे राह पे लाना भी नहीं चाहता है,

सैर भी जिस्म के सेहरा की खुश आती है मगर,
देर तक ख़ाक उड़ाना भी नहीं चाहता है,

कैसे उस शख्स से ताबीर पे इसरार करें,
जो कोई ख्वाब दिखाना भी नहीं चाहता है,

अपने किस काम में लाएगा बताता भी नहीं,
और हमको औरों पे गँवाना भी नहीं चाहता है,

मेरे लफ़्ज़ों में भी छुपता नहीं पैकर उसका,
दिल मगर नाम बताना भी नहीं चाहता है...!!!

Thursday, August 12, 2010

Meri Raton Ki Rahat

Meri raton ki rahat din ka itminan le jana,
Tumhare kaam aa jayega, ye samaan le jana,

Tumhare baad kya rakhna anaa se wasta koi?
Tum apne saath mera umr bhar ka maan le jana,

Shikista ke kuch reze pade hain farsh par, chun lo,
Agar tum jod sakte ho to ye guldan le jana,

Udhar almarion mein chand awraaq pareshan hain,
Mere ye baqimanda khwab meri jaan le jana,

Tumhe aise to khali haath rukhsat kar nahi sakte,
Purani dosti hai iski kuch pehchan le jana,

Irada kar liya hai tum ne gar sach much bichharne ka,
To fir apne ye sare wada-o-paiman le jana,

Agar thodi bahut hai shayri se unko dilchaspi,
To unke samne tum mera ye diwan le jana...!!!

**********

मेरी रातों की राहत दिन का इत्मिनान ले जाना,
तुम्हारे काम आ जायेगा, ये सामान ले जाना,

तुम्हारे बाद क्या रखना आना से वास्ता कोई?
तुम अपने साथ मेरा उम्र भर का मान ले जाना,

शिकिस्ता के कुछ रेज़े पड़े हैं फर्श पर, चुन लो,
अगर तुम जोड़ सकते हो तो ये गुलदान ले जाना,

उधर अल्मारिओं में चाँद अव्राक परेशां हैं,
मेरे ये बाकिमंदा ख्वाब मेरी जान ले जाना,

तुम्हे ऐसे तो खाली हाथ रुखसत कर नहीं सकते,
पुरानी दोस्ती है इसकी कुछ पहचान ले जाना,

इरादा कर लिया है तुमने गर सच मुच बिछड़ने का,
तो फिर अपने ये सारे वादा-ओ-पैमान ले जाना,

अगर थोड़ी बहुत है शायरी से उनको दिलचस्पी,
तो उनके सामने तुम मेरा ये दीवान ले जाना...!!!

Sunday, July 25, 2010

Kai Saal Ho Gaye

Khwabon ki dekhbhal mein ankhen ujar gayi,
Tanhaiyon ki dhup ne chehra jala diya,

Lafzon ke jorne mein ibadat bikhar chali,
Aaine dhundhne mein kai aks kho gaye,
Aaye na fir wo laut ke ik bar jo gaye,

Wo din, wo waqt, rut wo, wo mausam wo sar khushi,
Ae gardish-e-hayaat, ae raftaar-e-mah-o-sal,
Kya jamaa is zameen pe hoge na fir kabhi?
Jo Hamsafar firaaq ki dal-dal mein kho gaye,
Patte jo gir ke ped se, raston mein kho gaye,

Kya fir kabhi na laut ke aayegi wo bahar,
Kya fir kabhi na aankh mein utregi wo dhanak,
Jis ke vafoor-e-rang se,
Jhalki hui hawa, karti hai aaj tak,
Ik zulf mein saje huye phoolon ka intezaar,

Lamhe zameen-e-hijr ke faile kuch is tarah,
Reg-e-ravaan-e-dasht ki tamsheel ho gayi,

Is dasht par sharaab mein bhatke hain is qadar,
Naqsh-e-qadam the jitne bhi, paa-maal ho gaye,
Ab to kahin pe khatam ho rasta gumaan kaa,
Sheeshe mein dil ke saare yaqeen baal ho gaye,

Jis wakiye ne aankh se chhini thi meri neend,
Uss wakiye ko ab to, Kai saal ho gaye,

**********

ख्वाबों की देखभाल में आँखें उजड़ गई,
तन्हाईयों की धूप ने चेहरा जला दिया,

लफ़्ज़ों के जोड़ने मैं इबादत बिखर चली,
आईने ढूंढने में कई अक्स खो गए,
आये ना फिर लौट के इक बार जो गए,

वो दिन, वो वक्त, रुत वो, वो मौसम वो सर खुशी,
ऐ गर्दिश-ए-हयात, ऐ रफ़्तार-ए-माह-ओ-साल,
क्या जमा इस ज़मीन पे होंगे ना फिर कभी?
जो हमसफ़र फ़िराक की डाल-डाल में खो गए,
पत्ते जो गिर के पेड़ से, रास्तों में खो गए,

क्या फिर कभी ना लौट के आएगी वो बहार,
क्या फिर कभी ना आँख में उतरेगी वो धनक,
जिस के वफूर-ए-रंग से, झलकी हुई हवा, करती है आज तक,
इक ज़ुल्फ़ में सजे हुए फूलों का इंतज़ार,

लम्हे ज़मीन-ए-हिज्र के फैले कुछ इस तरह,
रेग-ए-रवां-ए-दश्त की तम्शील हो गई,

इस दश्त पर शराब में भटके हैं इस क़दर,
नक्श-ए-कदम थे जितने भी, पा-माल हो गए,
अब तो कहीं पे खत्म हो रास्ता गुमां का,
शीशे में दिल के सारे यकीन बाल हो गए,

जिस वाकिये ने आँख से छीनी थी मेरी नींद,
उस वाकिये को अब तो, कई साल हो गए...!!!

Saturday, June 5, 2010

Mujhko Yoon Hi Udas Rehne Do

Mujhko yoon hi udas rehne do,
Ab suboot-e-ikhlaas rehne do,

Haseen khwabon mein dunia hai bahut,
Bekhudi ka ahsaas rehne do,

Dawa-e-dard hai paas tumhare,
Harf-e-dua mere paas rehne do,

Chhoo sakte hain wo chand sitare,
Ye bachchon mein ahsaas rehne do,

Lahu-lahu hai dharti ka daman,
Dua-e-aman, iqsaas rehne do,

Wo mandir tha ki masjid -e-baabri,
Ye dilgurez bakwas rehne do,

Jo kuch hoga hum kha-pi lenge,
Abhi safar mein kuch khas rehne do,

Mand-mand hai yaad kisi ki,
Shaam-e-gham ka ahsaas rehne do,

Shadi, bache, pariwar, musibat,
Abhi ye sab, "Ahsaas" rehne do...!!!

"Suyash Ahsaas"

**********

मुझे यूं ही उदास रहने दो,
अब सुबूत-ए-इखलास रहने दो,

हसीं ख्वाबों में दुनिया है बहुत,
बेखुदी का अहसास रहने दो,

दवा-ए-दर्द है पास तुम्हारे,
हर्फ़-ए-दुआ मेरे पास रहने दो,

छू सकते हैं वो चाँद सितारे,
ये बच्चों में अहसास रहने दो,

लहू-लहू है धरती का दामन,
दुआ-ए-अमन, इक्सास रहने दो,

वो मंदिर था की मस्जिद-ए-बाबरी,
ये दिल्गुरेज़ बकवास रहने दो,

जो कुछ होगा हम खा पी लेंगे,
अभी सफर में कुछ खास रहने दो,

मंद-मंद है याद किसी की,
शाम-ए-गम का अहसास रहने दो,

शादी, बच्चे, परिवार, मुसीबत,
अभी ये सब "अहसास" रहने दो...!!!

"सुयश अहसास"

Iqsaas - Violence
Ikhlas - Sincerity

Sunday, May 2, 2010

Mere Humsafar Abhi Soch Le

 Mujhe yaad koi dua nahi, Mere humsafar abhi soch le,
Tu meri jabeen pe likha nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Abhi rasta bhi hai dhool mein, Abhi fayda bhi hai bhool mein,
Abhi mujhe tujh se gila nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Main janam janam se naraz hoon, Main janam janam se udas hoon,
Main kabhi bhi khul ke hansaa nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Tu hai khwab khwab pukarta, Meri aankh mein nahi askh bhi,
Main muddaton se jiya nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Tujhe khushbuon ki hai aarzoo, Tujhe roshni ki hai justju,
Main hawa nahi, Diya nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Tujhe aansuon ka pata nahi, Tujhe rat'jagon ka gumaan nahi,
Tujhe is'se aage pata nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Mujhe dhoondhta hi firega tu, Na jiyega na marega tu,
Main kabhi bhi ghar pe mila nahi, Mere humsafar abhi soch le,

Kaho lautna hai kise yahan, Mere dard sun mere meharbaan,
Mere pass waqt zara nahi, Mere humsafar abhi soch le,

**********

मुझे याद कोई दुआ नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,
तू मेरी जबीं पे लिखा नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

अभी रास्ता भी है धुल में, अभी फायदा भी है भूल में,
अभी मुझे तुझसे गिला नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

मैं जन्म जन्म से नाराज़ हूँ, मैं जन्म जन्म से उदास हूँ,
मैं कभी भी खुल के हँसा नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

तू है ख्वाब ख्वाब पुकारता, मेरी आँख में नहीं अश्क भी,
मैं मुद्दतों से जिया नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

तुझे खुशबुओं की है आरज़ू, तुझे रौशनी की है जुस्तजू,
मैं हवा नहीं, दिया नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

तुझे आंसुओ का पता नहीं, तुझे रत'जगों का गुमां नहीं,
तुझे इस से आगे पता नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

मुझे ढूँढता ही फिरेगा तू, ना जियेगा ना मरेगा तू,
मैं कभी भी घर पे मिला नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले,

कहो लौटना है किसे यहाँ, मेरे दर्द सुन मेरे मेहरबां,
मेरे पास वक्त ज़रा नहीं, मेरे हमसफ़र अभी सोच ले...!!!

Tuesday, December 29, 2009

Wo Jo Tere Ishq Ka Daur Tha

Bade mukhtsir se haroof mein koi gehri baat suna gaya,
Kisi khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle chala gaya,

Humein aasman se gila nahi teri rehmaton pe yaqeen hai,
Jahan zindgi ne shikast di kisi mojazae ne bacha liya,

Kisi meharbaan ki duaon se ye safar naseeb hua mujhe,
Jinhe rehbari ka garoor tha unhe rasto me mita diya,

Sada hanste rehne ka housla teri aarzoo ne ataa kiya,
Bade gehre zakhm the waqt ne jinhe rafta rafta bhula diya,

Teri dosti ki ye peshkash badi dilfareb lagi magar,
Woh jo aitbar ka wasf tha kahin dil se door chala gaya,

Koi waqt tha ke ye naam bhi bada motabir tha jahan mein,
Woh jo tere ishq ka daur tha humein ba-kamaal bana gaya...!!!

**********

बड़े मुखत्सिर से हरूफ में कोई गहरी बात सुना गया,
किसी ख्वाब सा कोई शख्स था जो सहर से पहले चला गया,

हमें आसमां से गिला नहीं तेरी रहमतों पे यकीं है,
जहाँ ज़िंदगी ने शिक्स्त दी किसी मोजज़े ने बचा लिया,

किसी मेहरबां की दुआओं से ये सफर नसीब हुआ मुझे,
जिन्हें रहबरी का गरूर था उन्हें रास्तों ने मिटा दिया,

सदा हंसते रहने का हौसला तेरी आरज़ू ने अता किया,
बड़े गहरे ज़ख्म थे वक़्त ने जिन्हें रफ्ता रफ्ता भुला दिया,

तेरी दोस्ती कि ये पेशकश बड़ी दिल फरेब लगी मगर,
वो जो ऐतबार का वस्फ था, कहीं दिल से दूर चला गया,

कोइ वक़्त थ के ये नाम भी बड़ा मोतबिर था जहां में,
वो जो तेरे इश्क़ का दौर थ हमें बा-कमाल बना गया...!!!

Wednesday, September 16, 2009

दीवाने थे मतवाले थे - Deewane The Matwale The

इक खाब सुहाना टूट गया, एक ज़ख्म अभी तक बाकी है,
जो अरमा थे सब ख़ाक हुए, बस राख अभी तक बाकी है,

जब उड़ते थे परवाज़ थी, सूरज को छूने निकले थे,
सब पंख हमारे झुलस गए, पर चाह अभी तक बाकी है,

पर्वत से अक्खड़ रहते थे, तूफानों से भीड़ जाते थे,
तिनको के जैसी बिखर गए, पर ताव अभी तक बाकी है,

लहरों से बहते थे हरदम, दीवाने थे मतवाले थे,
दिन गुज़र गए वो मस्ताने, पर याद अभी तक बाकी है...!!!

Tuesday, July 28, 2009

Barbaad Na Kar

Aa ke le jao meri aankh ka pani mujh se,
Kyu hasad karti hai darya ki rawani mujh se,

Gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine,
Uss ne pucha tha judai ka maani mujh se,

Teri khushbu ki lehd par bada tanha tha,
Ro pari mil ke gale 'Raat ki Rani' mujh se,

Khatam hone laga jab khoon bhi aankho ki tarah,
Kar gaye khwab mere nakat makani mujh se,

Sirf ek shakhs ke gham mein mujhe 'Barbaad' na kar,
Roz rote huye kehti hai 'Jawani' mujh se...!


Bookmark and Share

Monday, May 25, 2009

Tere Ishq Mein

Woh samaa tha meri duaon ka,
Usse kis ne apna bana liya

Meri aankh kis ne ujaar di
Mera khwab kis ne chura liya

Tujhe kya bataein ae dil-e-nasheen
Tere ishq mein teri yaad mein

Kabhi guftgu rahi phool se
Kabhi chand chhat pe bula liya

Mujhe pehle pehal jo dekh kar
Tera haal tha mujhe yad hai

Kabhi jal gayi teri rotian
Kabhi hath tune jala liya

Mere dushmano ki nazar mein bhi
Mera kad bada hi raha sada

Meri maan ke dil ki duaon ne
Mujhe zillato se bacha liya



Bookmark and Share