Pages

Showing posts with label Eyes. Show all posts
Showing posts with label Eyes. Show all posts

Tuesday, July 28, 2009

Barbaad Na Kar

Aa ke le jao meri aankh ka pani mujh se,
Kyu hasad karti hai darya ki rawani mujh se,

Gosht nakhun se alag kar ke dikhaya maine,
Uss ne pucha tha judai ka maani mujh se,

Teri khushbu ki lehd par bada tanha tha,
Ro pari mil ke gale 'Raat ki Rani' mujh se,

Khatam hone laga jab khoon bhi aankho ki tarah,
Kar gaye khwab mere nakat makani mujh se,

Sirf ek shakhs ke gham mein mujhe 'Barbaad' na kar,
Roz rote huye kehti hai 'Jawani' mujh se...!


Bookmark and Share

Registan Si Dil Ki Zami

Zindgi jab kabhi meri roti rahi hai
Ek khalish si is dil mai hoti rahi hai

Tere baare mai socha jab kabhi,
Aankho mai nami hoti rahi hai

Jab tanhaayiyo ka daura kiya hamne
Mehsus teri kami hoti rahi hai

Tujhse juda kuchh nahi mere paas
Parchhaiyo bhi ajnabee hoti rahi hai

Hasadkhor hai fitrat-e-insaan yaha
Saanse bhi aadmi si hoti rahi hai

Hamne barsaaye aasmaan aankho se,
Registaan si dil ki zami hoti rahi hai.


Bookmark and Share