Pages

Showing posts with label Waqt. Show all posts
Showing posts with label Waqt. Show all posts

Saturday, January 23, 2010

Waqt Nazuk Hai

Jaam takrao, Waqt nazuk hai,
Rang Chhalkao, Waqt nazuk hai,

Hasraton ki haseen kabron par,
Phool barsao, Waqt nazuk hai,

Ik fareb aur zindgi ke liye,
Hath failao, Waqt nazuk hai,

Rang udne laga hai phoolon ka,
Ab to aa jao, Waqt nazuk hai,

Tishnagi tishnagi arey tauba,
Zulf lehrao, Waqt nazuk hai,

Bazm-e-sagar hai gosh bar awaaz,
Kuch to farmao, Waqt nazuk hai...!!!

**********

जाम टकराओ, वक़्त नाज़ुक है,
रंग छलकाओ, वक़्त नाज़ुक है,

हसरतों की हसीं कब्रों पर,
फूल बरसाओ, वक़्त नाज़ुक है,

इक फरेब और जिंदगी के लिए,
हाथ फैलाओ, वक़्त नाज़ुक है,

रंग उड़ने लगा है फूलों का,
अब तो आ जाओ, वक़्त नाज़ुक है,

तिशनगी तिशनगी, तौबा तौबा,
ज़ुल्फ़ लहराओ, वक़्त नाज़ुक है,

बज़्म-ए-सागर है, गोश बार आवाज़,
कुछ तो फरमाओ, वक़्त नाज़ुक है...!!!

Tuesday, December 29, 2009

Wo Jo Tere Ishq Ka Daur Tha

Bade mukhtsir se haroof mein koi gehri baat suna gaya,
Kisi khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle chala gaya,

Humein aasman se gila nahi teri rehmaton pe yaqeen hai,
Jahan zindgi ne shikast di kisi mojazae ne bacha liya,

Kisi meharbaan ki duaon se ye safar naseeb hua mujhe,
Jinhe rehbari ka garoor tha unhe rasto me mita diya,

Sada hanste rehne ka housla teri aarzoo ne ataa kiya,
Bade gehre zakhm the waqt ne jinhe rafta rafta bhula diya,

Teri dosti ki ye peshkash badi dilfareb lagi magar,
Woh jo aitbar ka wasf tha kahin dil se door chala gaya,

Koi waqt tha ke ye naam bhi bada motabir tha jahan mein,
Woh jo tere ishq ka daur tha humein ba-kamaal bana gaya...!!!

**********

बड़े मुखत्सिर से हरूफ में कोई गहरी बात सुना गया,
किसी ख्वाब सा कोई शख्स था जो सहर से पहले चला गया,

हमें आसमां से गिला नहीं तेरी रहमतों पे यकीं है,
जहाँ ज़िंदगी ने शिक्स्त दी किसी मोजज़े ने बचा लिया,

किसी मेहरबां की दुआओं से ये सफर नसीब हुआ मुझे,
जिन्हें रहबरी का गरूर था उन्हें रास्तों ने मिटा दिया,

सदा हंसते रहने का हौसला तेरी आरज़ू ने अता किया,
बड़े गहरे ज़ख्म थे वक़्त ने जिन्हें रफ्ता रफ्ता भुला दिया,

तेरी दोस्ती कि ये पेशकश बड़ी दिल फरेब लगी मगर,
वो जो ऐतबार का वस्फ था, कहीं दिल से दूर चला गया,

कोइ वक़्त थ के ये नाम भी बड़ा मोतबिर था जहां में,
वो जो तेरे इश्क़ का दौर थ हमें बा-कमाल बना गया...!!!

Thursday, December 24, 2009

Uss Waqt Teri Yaad Aati Hai

Jab yun hi kabhi baithe baithe,
Kuch yaad achanak aa jaye,
Har baat se dil bezaar sa ho,
Har cheez se dil ghabra jaye,
Karna bhi mujhe kuch aur hi ho,
Kuch aur hi mujhse ho jaye,
Kuch aur hi sochun dil me main,
Kuch aur honthon pe aa jaye,

Jab chandni dil ke aangan me,
kuch kahne mujh se aa jaye,
Ik khwab jahen se chhoote koi,
Ahsaas pe mere chhaa jaye,
Jab zulf pareshan chehre pe,
kuch aur pareshan ho jaye,
Kuch dard bhi dil me hone lage,
Aur saans bhi bojhal ho jaye,

Jab sham dhale chalte chalte,
Manzil ka na koi naam mile,
Hansta hua ik aaghaz mile,
Rota hua ik anzaam mile,
Palkon ke larazte ashkon se,
Is dil ko koi paigam mile,
Aur sari wafaon ke badle,
Mujh ko hi koi ilzaam mile,

Aise hi kisi ek lamhe me,
Chupke se kabhi khamoshi me,
Kuch phool achanak khil jayein,
Kuch beete lamhe yaad aa jayein,
Uss waqt teri yaad aati hai,
Shiddat se teri yaad aati hai...!!!

**********

जब यूं ही कभी बैठे बैठे,
कुछ याद अचानक आ जाये,
हर बात से दिल बेज़ार सा हो,
हर चीज़ से दिल घबरा जाये,
करना भी मुझे कुछ और ही हो,
कुछ और ही मुझसे हो जाये,
कुछ और ही सोचूं दिल में मैं,
कुछ और ही होंठों पे आ जाये,

जब चांदनी दिल के आंगन में,
कुछ कहने मुझ से आ जाये,
इक ख्वाब ज़हन से छूटे कोई,
अहसास पे मेरे छा जाये,
जब ज़ुल्फ परेशां चेहरे पे,
कुछ और परेशां हो जाये,
कुछ दर्द भी दिल में होने लगे,
और सांस भी बोझल हो जाये,

जब शाम ढ़ले चलते चलते,
मंज़िल का कोई नाम ना मिले,
हंसता हुआ इक आगाज़ मिले,
रोता हुआ इक अंज़ाम मिले,
इस दिल को कोई पैगाम मिले,
और सारी वफाओं के बदले,
मुझ को ही कोई इल्ज़ाम मिले,

ऐसे ही किसी एक लम्हे में,
चुपके से कभी खामोशी में,
कुछ फूल अचानक खिल जायें,
कुछ बीते लम्हे याद आ जायें,
उस वक़्त तेरी याद आती है,
शिद्दत से तेरी याद आती है...!!!

Friday, November 27, 2009

Sir Jhukane Ki Aadat Nahi Rahi

सिर झुकाने की आदत नहीं रही,
आंसू बहाने की आदत नहीं रही,
हम खो गये पछ्ताओगे बहुत,
हमारी लौट के आने की आदत नहीं रही,
तेरे दर पर मोहब्बत के सवाली बन जाते,
लेकिन हाथ फैलाने की आदत नहीं रही,
तेरी यादें हमको अज़ीज़ हैं बहुत,
मगर वक़्त गंवाने की आदत नहीं रही,
तुम सख्त दिल निकले क्या गिला करें हम,
शिक्वा-ए-दिल लब पे लाने की आदत नहीं रही,
बद् दुआ भी क्या करें हक़ में तुम्हारे,
हमें तो दिल भी दुखाने की आदत नहीं रही...!!!


Sir jhukane ki aadat nahi rahi,
Aansu bahane ki aadat nahi rahi,

Hum kho gaye to pachhtao ge bahut,
Hamari laut ke aane ki aadat nahi rahi,

Tere dar par mohabbat ke sawaali ban jate,
Lekin hath failane ki aadat nahi rahi,

Teri yaadein humko aziz hain bahut,
Magar waqt gawane ki aadat nahi rahi,

Tum sakht dil nikle kya gila karein hum,
Shikwa-e-dil lab pe lane ki aadat nahi rahi,

Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare,
Humein to dil bhi dukhane ki aadat nahi rahi...!!!

Sunday, October 18, 2009

Kuchh Kaho Na

Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhooth ke parde na dhoondo,
Sach kaho na...
Kuchh kaho na...

Ek dooje ke liye hum,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag'van ke jaise.
Jheel se simti na baitho,
Kuchh baho na...
Kuchh kaho na...

Janata hoon thak gayee ho,
Umar ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firta hai suno,
Itna daro na...
Kuchh kaho na...

Kis tarah larh'ti rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se, angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se, tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na...
Kuchh kaho na...!!!


Kuchh kaho na!!!

Syaah sannaton main hamne, Umr kaati hai tanha,
Tang aur andhi surange, Is gufaa se us gufaa.

Saans thi sahmi hui si, Dhadakano ko ek darr,
Itnaa tanhaa aur lambaa, Zindgi ka uff safar.

Door meelon door jalti, Lau koi lagti ho tum,
Tum ho, tum ho, Tum hi tum ho, Ho naa tum, tum, ho naa tum.

Pal se pal tak jee rahe hain, Tum hi pal pal aas ho na,
Ek pal to aur thaharo, Ek pal dikhati raho na.

Kuchh kaho na !!
Kuchh kaho na

Wednesday, August 12, 2009

Wo Zamana Dil Ka

Unn ke andaz-e-karam unn pe wo aana dil ka,
Haye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka,

Na suna us ne tawajjo se fasana dil ka,
Umr guzri par dard na jana dil ka,

Dillagi, Dil ki lagi ban ke mita deti hai,
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka,

Wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se,
aise aane se to behtar hai na aana dil ka,

Unn ki mehfil mein 'Faraz' unn ke tabassum ki qasam,
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka...!!!


Bookmark and Share

Friday, July 31, 2009

Meri zindgi sawaar de

Ae waqt kabhi laut aa, Meri zindgi udhar de,
Mujhe aur kuch ata na kar, Jo kho gaya wo pyar de,

Mujhe wohi lamhe bakhsh de, Jinme wo mere sath tha,
Fir thaam kar zara khud ko tu, Meri zindgi sawaar de,

Meri tishnagi ki aanch mein, Hai awaaz kahi kho gayi,
Mere yaar ko awaaz de, Meri aur se pukar de,

Hai aaj mere sath bas, Meri mayusia tanhaiya,
Mere yaar zara reham kar, Mujhe thora sa karaar de,

Jo na de sake mujhe sukoon, To ye inteza kabool kar,
Jahan yaadein na pahunch sake, Mujhe aisi hi mazaar de,

Yahan har taraf adavatein, nafrat-o-fareb hai,
Jahan har zehan mein pyar ho, Koi aisa sansaar de....!!!


Bookmark and Share