Pages

Sunday, October 18, 2009

Kuchh Kaho Na

Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhooth ke parde na dhoondo,
Sach kaho na...
Kuchh kaho na...

Ek dooje ke liye hum,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag'van ke jaise.
Jheel se simti na baitho,
Kuchh baho na...
Kuchh kaho na...

Janata hoon thak gayee ho,
Umar ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firta hai suno,
Itna daro na...
Kuchh kaho na...

Kis tarah larh'ti rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se, angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se, tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na...
Kuchh kaho na...!!!


Kuchh kaho na!!!

Syaah sannaton main hamne, Umr kaati hai tanha,
Tang aur andhi surange, Is gufaa se us gufaa.

Saans thi sahmi hui si, Dhadakano ko ek darr,
Itnaa tanhaa aur lambaa, Zindgi ka uff safar.

Door meelon door jalti, Lau koi lagti ho tum,
Tum ho, tum ho, Tum hi tum ho, Ho naa tum, tum, ho naa tum.

Pal se pal tak jee rahe hain, Tum hi pal pal aas ho na,
Ek pal to aur thaharo, Ek pal dikhati raho na.

Kuchh kaho na !!
Kuchh kaho na

No comments:

Post a Comment