Pages

Friday, July 31, 2009

Meri zindgi sawaar de

Ae waqt kabhi laut aa, Meri zindgi udhar de,
Mujhe aur kuch ata na kar, Jo kho gaya wo pyar de,

Mujhe wohi lamhe bakhsh de, Jinme wo mere sath tha,
Fir thaam kar zara khud ko tu, Meri zindgi sawaar de,

Meri tishnagi ki aanch mein, Hai awaaz kahi kho gayi,
Mere yaar ko awaaz de, Meri aur se pukar de,

Hai aaj mere sath bas, Meri mayusia tanhaiya,
Mere yaar zara reham kar, Mujhe thora sa karaar de,

Jo na de sake mujhe sukoon, To ye inteza kabool kar,
Jahan yaadein na pahunch sake, Mujhe aisi hi mazaar de,

Yahan har taraf adavatein, nafrat-o-fareb hai,
Jahan har zehan mein pyar ho, Koi aisa sansaar de....!!!


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment