Pages

Saturday, July 18, 2009

Sahare Baant Lete Hain

Chalo aisa karen mil ke sitare baant lete hain,
Zarurat ke mutabik sab sahare baant lete hain,

Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai,
Munafa chhor dete hain khasare baant lete hain,

Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh kar,
Abhi dariya-e-Ulfat ke kinare baant lete hain,

Meri jholi me jitne bhi wafa ke phool hain inko,
Ikathe baith kar ik roz sare baant lete hain,

Mohabbat ke alawa pas apne kuch bhi nahi Saqi,
Isi daulat ko ham kismat ke mare baant lete hain.


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment