Pages

Wednesday, July 1, 2009

Had Se Jyada

Jis shakhs se ki, wafa hamne jyada,
Uss shakss ne ki, zafa hamse jyada,

Kuch jurm ki lazzat ke tassavur ne ghera,
Qatil thi magar uski, ada had se jyada,

Muzrim to humein uske ravaiye ne banaya,
Bevazah mili humko, saza had se jyada,

Hum had se gujarne ke kayal nahi the,
Kyun aane lagi, yaad-e-kambhakt had se jyada,

Uss baat se to koi bhi, anjan nahi hai,
Kuch der ko hain, jaur-o-jafa had se jyada,

Aukat hi apni, na bhula baithun main ya rab,
Maqbool na kar meri, dua had se jyada,

Ghar baithe hi sab kuch jinhe mil jata hai,
Wo log hi karte hain, sada had se jyada.


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment