Pages

Showing posts with label Zehan. Show all posts
Showing posts with label Zehan. Show all posts

Saturday, November 28, 2009

Ajnabi Shehar Ke Ajnabi Raste

Ajnabi shehar ke ajnabi raste,
Meri tanhai par muskurate rahe,

Main bahut der tak yun hi chalta raha,
Tum bahut der tak yaad aate rahe,

Zehar milta raha, zehar peete rahe,
Roz marte rahe, roz jeete rahe,
Zindgi humein aazmati rahi,
Aur hum bhi use aazmate rahe,

Zakham jab bhi koi Zehan-O-Dil par laga,
Zindgi ki taraf ik dareecha khula,
Hum bhi goya kisi saaz ke taar hain,
Chot khaate rahe, Gungunate rahe,

Kal kuch aisa hua main bahut thak gaya,
Isliye sun ke bhi ansuni kar gaya,
Kitni yaadon ke bhatke hue karvaan,
Dil ke zakhmon ke dar khat-khatate rahe

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste,
Meri tanhai par muskurate rahe...!!!


अजनबी शहर के अजनबी रास्ते,
मेरी तन्हाई पर मुस्कुराते रहे,
मैं बहुत देर तक यूं ही चलता रहा,
तुम बहुत देर तक याद आते रहे,
ज़हर मिलता रहा ज़हर पीते रहे,
रोज़ मरते रहे रोज़ जीते रहे,
ज़िंदगी हमें आज़माती रही,
और हम भी उसे आज़माते रहे,
ज़खम जब भी कोई ज़हन्-ओ-दिल पर लगा,
ज़िंदगी की तरफ इक दरीचा खुला,
हम भी गोया किसी साज़ के तार हैं,
चोट खाते रहे, गुनगुनाते रहे,

कल कुछ ऐसा हुआ मैं बहुत थक गया,
इसलिये सुन के भी अनसुनी कर गया,
कितनी यादों के भटके हुए कारवां,
दिल के ज़ख्मों के दर खटखटाते रहे...!!!

Friday, July 31, 2009

Meri zindgi sawaar de

Ae waqt kabhi laut aa, Meri zindgi udhar de,
Mujhe aur kuch ata na kar, Jo kho gaya wo pyar de,

Mujhe wohi lamhe bakhsh de, Jinme wo mere sath tha,
Fir thaam kar zara khud ko tu, Meri zindgi sawaar de,

Meri tishnagi ki aanch mein, Hai awaaz kahi kho gayi,
Mere yaar ko awaaz de, Meri aur se pukar de,

Hai aaj mere sath bas, Meri mayusia tanhaiya,
Mere yaar zara reham kar, Mujhe thora sa karaar de,

Jo na de sake mujhe sukoon, To ye inteza kabool kar,
Jahan yaadein na pahunch sake, Mujhe aisi hi mazaar de,

Yahan har taraf adavatein, nafrat-o-fareb hai,
Jahan har zehan mein pyar ho, Koi aisa sansaar de....!!!


Bookmark and Share

Wednesday, June 3, 2009

Uss Se Kehna

Agar meri mohabbat mein
Na thi paakizgi itni

Tujhe tarq-e-taluq mein
Kyun mushkil bani itni

Badal jaao bhale tum bhi
Magar ye zehan mein rakhna

Kahin pachtawa ban na jaaye
Hum se be-rukhi itni

Tujhe yun toot kar chaaha
Wajood apna mitaa daala

Khuda ko paa chuke hote
Jo karte bandagi itni...!


Bookmark and Share