Pages

Showing posts with label Tishnagi. Show all posts
Showing posts with label Tishnagi. Show all posts

Wednesday, July 14, 2010

Husn Afroz Kahan Tak Bhala Chhupao'ge

Husn afroz kahan tak bhala chhupao'ge?
Na sahi aaj, kabhi to nazar mein aaoge,

Chandni raat mein, mehtab chhupega kaise?
Naqab-e-abra kahan hai ke aodh paoge,

Ek arse se khada dar par muntazir hoon main,
Tishnagi Barh rahi hai, noor-e-may pilao'ge?

Khil-khilahat hai mahalle mein, ruansa hoon main,
Sochta hoon, shareek hoke khil-khilao'ge?

Umr hi kya hai aapki, Ki naqabon mein kate,
Husn-e-firdaus muharrik kahan dabao'ge?

Khoob chamkoge sare bazm sitaron ki tarah,
Log farmaishen karenge, maan jaoge?

Bahut udaas hoon, ruswa karo, karo kuch bhi,
Kyon ho naraz? aaj bhi nahi batao'ge?

Raah-e-talab hai, humsafar hai dilawez, 'Abd',
Dil ki batein hai laakh, par kise sunaoge?


"By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)"
**********

हुस्न अफरोज कहाँ तक भला छुपाओगे?
ना सही आज कभी तो नज़र में आओगे,

चांदनी रात में, महताब छुपेगा कैसे?
नकाब-ए-अब्र कहाँ है के ओढ़ पाओगे,

एक अरसे से खड़ा दर पर मुन्तजिर हूँ मैं,
तिशनगी बढ़ रही है, नूर-ए-मय पिलाओगे?

खिल-खिलाहट है महल्ले में, रुआंसा हूँ मैं,
सोचता हूँ, शरीक होके खिल-खिलाओगे?

उम्र ही क्या है आपकी, की नकाबों में कटे,
हुस्न-ए-फिरदौस मुहारिक कहाँ दबाओगे?

खूब चमकोगे सरे बज़्म सितारों की तरह,
लोग फरमाइशें करेंगे, मान जाओगे,

बहुत उदास हूँ, रुसवा करो, करो कुछ भी,
क्यों हो नाराज़, आज भी नहीं बताओगे?

रात-ए-तलब है, हमसफ़र है दिलावेज़, 'अब्द ',
दिल की बातें हैं लाख, पर किसे सुनाओगे?

अब्द बुन्देली (राम प्रकाश गर्ग)

अफरोज - Brightened
महताब - Light of the moon
अब्र - Cloud
मुन्तजिर - In waiting
तिशनगी - Thirst
फिरदौस - Paradise

Friday, July 31, 2009

Meri zindgi sawaar de

Ae waqt kabhi laut aa, Meri zindgi udhar de,
Mujhe aur kuch ata na kar, Jo kho gaya wo pyar de,

Mujhe wohi lamhe bakhsh de, Jinme wo mere sath tha,
Fir thaam kar zara khud ko tu, Meri zindgi sawaar de,

Meri tishnagi ki aanch mein, Hai awaaz kahi kho gayi,
Mere yaar ko awaaz de, Meri aur se pukar de,

Hai aaj mere sath bas, Meri mayusia tanhaiya,
Mere yaar zara reham kar, Mujhe thora sa karaar de,

Jo na de sake mujhe sukoon, To ye inteza kabool kar,
Jahan yaadein na pahunch sake, Mujhe aisi hi mazaar de,

Yahan har taraf adavatein, nafrat-o-fareb hai,
Jahan har zehan mein pyar ho, Koi aisa sansaar de....!!!


Bookmark and Share

Sunday, June 14, 2009

Chehra Gulab Jaisa Hai

Badan mein aag si chehra gulab jaisa hai,
Ke Zaher-e gam ka nasha bhi sharab jaisa hai

Kahan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise,
Tere firaaq ka aalam bhi khwab jaisa hai,

Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi,
Dil aaina hai to chehra kitab jaisa hai,

Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati,
Ye kya sitam hai ke dariya saraab jaisa hai,

'Preet' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi,
Humein aziz hai khana kharab jaisa hai


Bookmark and Share