Pages

Tuesday, December 29, 2009

Wo Jo Tere Ishq Ka Daur Tha

Bade mukhtsir se haroof mein koi gehri baat suna gaya,
Kisi khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle chala gaya,

Humein aasman se gila nahi teri rehmaton pe yaqeen hai,
Jahan zindgi ne shikast di kisi mojazae ne bacha liya,

Kisi meharbaan ki duaon se ye safar naseeb hua mujhe,
Jinhe rehbari ka garoor tha unhe rasto me mita diya,

Sada hanste rehne ka housla teri aarzoo ne ataa kiya,
Bade gehre zakhm the waqt ne jinhe rafta rafta bhula diya,

Teri dosti ki ye peshkash badi dilfareb lagi magar,
Woh jo aitbar ka wasf tha kahin dil se door chala gaya,

Koi waqt tha ke ye naam bhi bada motabir tha jahan mein,
Woh jo tere ishq ka daur tha humein ba-kamaal bana gaya...!!!

**********

बड़े मुखत्सिर से हरूफ में कोई गहरी बात सुना गया,
किसी ख्वाब सा कोई शख्स था जो सहर से पहले चला गया,

हमें आसमां से गिला नहीं तेरी रहमतों पे यकीं है,
जहाँ ज़िंदगी ने शिक्स्त दी किसी मोजज़े ने बचा लिया,

किसी मेहरबां की दुआओं से ये सफर नसीब हुआ मुझे,
जिन्हें रहबरी का गरूर था उन्हें रास्तों ने मिटा दिया,

सदा हंसते रहने का हौसला तेरी आरज़ू ने अता किया,
बड़े गहरे ज़ख्म थे वक़्त ने जिन्हें रफ्ता रफ्ता भुला दिया,

तेरी दोस्ती कि ये पेशकश बड़ी दिल फरेब लगी मगर,
वो जो ऐतबार का वस्फ था, कहीं दिल से दूर चला गया,

कोइ वक़्त थ के ये नाम भी बड़ा मोतबिर था जहां में,
वो जो तेरे इश्क़ का दौर थ हमें बा-कमाल बना गया...!!!

No comments:

Post a Comment