Pages

Sunday, July 25, 2010

Kai Saal Ho Gaye

Khwabon ki dekhbhal mein ankhen ujar gayi,
Tanhaiyon ki dhup ne chehra jala diya,

Lafzon ke jorne mein ibadat bikhar chali,
Aaine dhundhne mein kai aks kho gaye,
Aaye na fir wo laut ke ik bar jo gaye,

Wo din, wo waqt, rut wo, wo mausam wo sar khushi,
Ae gardish-e-hayaat, ae raftaar-e-mah-o-sal,
Kya jamaa is zameen pe hoge na fir kabhi?
Jo Hamsafar firaaq ki dal-dal mein kho gaye,
Patte jo gir ke ped se, raston mein kho gaye,

Kya fir kabhi na laut ke aayegi wo bahar,
Kya fir kabhi na aankh mein utregi wo dhanak,
Jis ke vafoor-e-rang se,
Jhalki hui hawa, karti hai aaj tak,
Ik zulf mein saje huye phoolon ka intezaar,

Lamhe zameen-e-hijr ke faile kuch is tarah,
Reg-e-ravaan-e-dasht ki tamsheel ho gayi,

Is dasht par sharaab mein bhatke hain is qadar,
Naqsh-e-qadam the jitne bhi, paa-maal ho gaye,
Ab to kahin pe khatam ho rasta gumaan kaa,
Sheeshe mein dil ke saare yaqeen baal ho gaye,

Jis wakiye ne aankh se chhini thi meri neend,
Uss wakiye ko ab to, Kai saal ho gaye,

**********

ख्वाबों की देखभाल में आँखें उजड़ गई,
तन्हाईयों की धूप ने चेहरा जला दिया,

लफ़्ज़ों के जोड़ने मैं इबादत बिखर चली,
आईने ढूंढने में कई अक्स खो गए,
आये ना फिर लौट के इक बार जो गए,

वो दिन, वो वक्त, रुत वो, वो मौसम वो सर खुशी,
ऐ गर्दिश-ए-हयात, ऐ रफ़्तार-ए-माह-ओ-साल,
क्या जमा इस ज़मीन पे होंगे ना फिर कभी?
जो हमसफ़र फ़िराक की डाल-डाल में खो गए,
पत्ते जो गिर के पेड़ से, रास्तों में खो गए,

क्या फिर कभी ना लौट के आएगी वो बहार,
क्या फिर कभी ना आँख में उतरेगी वो धनक,
जिस के वफूर-ए-रंग से, झलकी हुई हवा, करती है आज तक,
इक ज़ुल्फ़ में सजे हुए फूलों का इंतज़ार,

लम्हे ज़मीन-ए-हिज्र के फैले कुछ इस तरह,
रेग-ए-रवां-ए-दश्त की तम्शील हो गई,

इस दश्त पर शराब में भटके हैं इस क़दर,
नक्श-ए-कदम थे जितने भी, पा-माल हो गए,
अब तो कहीं पे खत्म हो रास्ता गुमां का,
शीशे में दिल के सारे यकीन बाल हो गए,

जिस वाकिये ने आँख से छीनी थी मेरी नींद,
उस वाकिये को अब तो, कई साल हो गए...!!!

No comments:

Post a Comment