Kuch is adaa se aaj wo pehloo nasheen rahe,
Jab tak hamare paas rahe hum nahi rahe,
Ya rabb kisi ke raz-e-mohabbat ki khair ho,
Dast-e-Junoon rahe na rahe aasteen rahe,
Dast-e-Gham-e-Firaq ke ye sakht marhle,
Hairaan hoon main ke fir bhi tum itne haseen rahe,
Ja aur koi zabt ki dunia talash kar,
Ae ishq hum to ab tere qabil nahi rahe,
Is ishq ki talaafi-e-mafaat dekhna,
Rone ki hasratein hain jab aansu nahi rahe...!!!
**********
कुछ इस अदा से आज वो पहलू नशीं रहे,
जब तक हमारे पास रहे हम नहीं रहे,
या रब किसी के राज़्-ए-मोहब्बत की खैर हो,
दस्त्-ए-जुनूं रहे ना रहे आस्तीन रहे,
दस्त्-ए-गम-ए-फिराक़ के ये सख्त मरहले,
हैरान हूँ मैं के फिर भी तुम इतने हसीं रहे,
जा और कोई जब्त की दुनिया तलाश कर्,
ऐ इश्क़ हम तो अब तेरे क़ाबिल नही रहे,
इस इश्क़ की तलाफी-ए-मफात देखना,
रोने की हसरतें हैं अब आंसू नहीं रहे...!!!
Showing posts with label Firaaq. Show all posts
Showing posts with label Firaaq. Show all posts
Friday, December 25, 2009
Saturday, November 7, 2009
Mujhe To Khair Tera Intezar Karna Hai
Wafa main abb ye hunar ikhtiyar karna hai,
Wo sach kahe na kahe, aitbar karna hai,
Ye tujh ko jagte rehne ka shouq kab se hua,
Mujhe to khair tera intezar karna hai,
Hawa ke zad mein jalane hain aansoo ke chirag,
Kabhi ye jashan sar rah'guzaar karna hai,
Woh muskura kar naye vishwason mein daal gaya,
Khayal tha ke usse sharam'sar karna hai,
Misaal-e-Shaakh-e-Badhana khizzan ke rut mein kabhi,
Khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai,
Tere firaaq mein din kis tarha kat'te apne,
Keh shugal-e-shab tu sitare shumar karna hai,
Chalo ye ashq hi moti samajh ke bech aayein,
Kissi tarha to humein rozgaar karna hai,
Kabhi tu dil mein chhupe zakham bhi numayan hoon,
Qaba samajh ke badan taar-taar karna hai,
Khabar yeh koi zid ke shouq hai mohsin,
Khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai...!!!

Subscribe to:
Posts (Atom)