Pages

Saturday, November 7, 2009

Mujhe To Khair Tera Intezar Karna Hai

Wafa main abb ye hunar ikhtiyar karna hai,
Wo sach kahe na kahe, aitbar karna hai,

Ye tujh ko jagte rehne ka shouq kab se hua,
Mujhe to khair tera intezar karna hai,

Hawa ke zad mein jalane hain aansoo ke chirag,
Kabhi ye jashan sar rah'guzaar karna hai,

Woh muskura kar naye vishwason mein daal gaya,
Khayal tha ke usse sharam'sar karna hai,

Misaal-e-Shaakh-e-Badhana khizzan ke rut mein kabhi,
Khud apne jism ko be-barg-o-baar karna hai,

Tere firaaq mein din kis tarha kat'te apne,
Keh shugal-e-shab tu sitare shumar karna hai,

Chalo ye ashq hi moti samajh ke bech aayein,
Kissi tarha to humein rozgaar karna hai,

Kabhi tu dil mein chhupe zakham bhi numayan hoon,
Qaba samajh ke badan taar-taar karna hai,

Khabar yeh koi zid ke shouq hai mohsin,
Khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai...!!!

No comments:

Post a Comment