Pages

Wednesday, November 4, 2009

Usse Mera Abhi Ahsaas Hona Bhi

Bahut ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Bashar ko maar deta hai bahut hasaas hona bhi,

Suno ik kaan se aur doosre se faink do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,

Agarchay tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,

Yun to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyas hona bhi,

Kai chehre latak jate hain khushiyo ki khabar sun kar,
Humein to roop deta hai ghamon ka raas hona bhi,

Jalegi khud-ba-khud saadi dilon mein pyar ki shama,
Ghanimat hai usse mera abhi ahsaas hona bhi...!!!

No comments:

Post a Comment