Pages

Tuesday, March 9, 2010

Ghazal Mohabaton Ki

Main kise sunau, ye ghazal mohabaton ki,
Kahin aag sazishon ki, kahin aanch nafraton ki,

Koi baag jal raha hai ye magar meri duaa hai,
Mere phool tak na pahunche ye hawa tamazaton ki,

Mera kaun sa hai mausam, mere mausamon ke wali,
Ye bahaar be'dili ki, ye khizan mohabaton ki,

Main qadeem baam-o-dar main unhe ja ke dhoondhta hoon,
Wo dayaar nikhaton ke wo fizayein chahaton ki,

Mere kaagzon main shayad kahin ab bhi so raha hai,
Koi subah gulistan ki koi shaam parbaton ki,

Kahin dasht-e-dil Main shayed meri raah tak raha ho,
Wo qatar jugnuon ki wo mehak hari ruton ki,

Ye nahi ke dab gai hai kahin gard-e-roz-o-shab Main
Wo khalish mohabbaton ki, wo kasak rafaqaton ki...!!!

**********

मैं किसे सुनाऊँ, ये गज़ल मोहब्तों की,
कहीं आग साजिशों की,कहीं आंच नफरतों की,

कोई बाग जल रहा है ये मगर मेरी दुआ है,
मेरे फूल तक न पहुंचे ये हवा तमाज़तों की,

मेरा कौन सा है मौसम, मेरे मौसमों के वाली,
ये बहार बे'दिली की, ये खिजां मोहब्तों की,

मैं कदीम बाम-ओ-दर में उन्हें जा के ढूँढता हूँ,
वो दयार निखातों के वो फिजाएं चाहतों की,

मेरे कागजों में शायद अब भी सो रहा है,
कोई सुबह गुलिस्तान की कोई शाम पर्बतों की,

कहीं दश्त-ए-दिल में शायद मेरी राह तक रही हो,
वो कतार जुगनुओं की वो महक हरी रुतों की,

ये नहीं के दब गई है कहीं, गर्द-ए-रोज-ओ-शब् में,
वो खलिश मोहब्तों की, वो कसक रफाक़तों की...!!!

tamazat - heat
qadeem - old
khizan - wind
baam - roof
nikhat - smell
fiza - atmosphere
dasht - field
khalish - pain
rafaqat - friendly
gard - dust
roz - day
shab - night

No comments:

Post a Comment