Pages

Friday, March 5, 2010

Aadat Kab Badalti Hai

Musafir to bichhrrte hain, rifakat kab badlti hai,
Mohabbat zinda rehti hai, mohabbat kab badlti hai,

Kali ka phool ban’na aur bikhar jana muqaddar hai,
Yahi Qanoon-e-fitrat hai, aur fitrat kab badlti hai,

Jo diL me bas jaye aur aankhon me simat aye,
Alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badlti hai,

Tumhi ko chahte hain hum, Tumhi se Ishq kerte hain.
Yahi barson se adat hai, aur adat kab badlti hai...!!!

**********

मुसाफिर तो बिछड़ते है, रिफाकत कब बदलती है,
मोहब्बत जिंदा रहती है, मोहब्बत कब बदलती है,

कली का फूल बनना और बिखर जाना मुक़द्दर है,
यही कानून-ए-फितरत है, और फितरत कब बदलती है,

जो दिल में बस जाये और आँखों में सिमट आये,
अलामत है ये चाहत की और चाहत कब बदलती है,

तुम्ही को चाहते है हम, तुम्ही से इश्क करते हैं,
यही बरसों से आदत है, और आदत कब बदलती है...!!!

No comments:

Post a Comment