Is subah-e-zindgi se sanasha nahi hoon main,
Lagta yahi hai neend se jaga nahi hoon main,
Ik harf-e-raygaan sahi, yaaro mera wajood,
Kaise kahu kitaab ka hissa nahi hoon main,
Darpesh subah-o-sham hai, ye kaisi kash-ma-kash,
Kaise banu main uska, ke apna nahi hoon main,
Mujh ko farishta hone ka da'awa nahi magar,
Jitna bura samjhte ho, utna nahi hoon main,
Is tarah fer-fer ke baatein na kijiye,
Lehje ka rukh samjhta hoon, bacha nahi hoon main,
Dekhi hui si lagti hai, har rah-gujar kyu,
In bastiyon se pehle to guzra nahi hoon main...!!!
"Amjad Islam"
**********
इस सुबह-ए-जिंदगी से सनाशा नहीं हूँ मैं,
लगता यही है नींद से जागा नहीं हूँ मैं,
इक हर्फ़-ए-रायगाँ सही, यारो मेरा वजूद,
कैसे कहूँ किताब का हिस्सा नहीं हूँ मैं.
दरपेश सुबह-ओ-शाम है, ये कैसी कश-म-कश,
कैसे बनू मैं उनका, के अपना नहीं हूँ मैं,
मुझको फरिश्ता होने का दावा नहीं मगर,
जितना बुरा समझते हो, उतना नहीं हूँ मैं,
इस तरह फेर-फेर के बातें ना कीजिये,
लहजे का रुख समझता हूँ, बच्चा नहीं हूँ मैं,
देखी हुई सी लगती है, हर रह-गुजर क्यूँ,
इन बस्तियों से पहले तो गुज़रा नहीं हूँ मैं...!!!
"अमजद इस्लाम"
रायगाँ - Waste
दरपेश - In front of
Showing posts with label Kitaab. Show all posts
Showing posts with label Kitaab. Show all posts
Thursday, June 17, 2010
Saturday, December 12, 2009
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hoon,
Tumhe milne se pehle main bahut sajta sanwarta hoon,
Magar jab tum sanwarti ho, main khud ko bhool jata hoon,
Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hoon,
Magar kuch tum jo likhti ho, main khud ko bhool jata hoon,
Main aksar yehi kehta hoon, main tum se pyar karta hoon,
Magar jab tum ye kehti ho, main khud ko bhool jata hoon...!!!
**********
नज़र जब तुम से मिलती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,
बस एक धड़कन धड़कती है, मैं खुद को भूल जाता हूं,
तुम्हें मिलने से पहले मैं, बहुत सजता संवरता हूँ,
मगर जब तुम संवरती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ,
मैं अक्सर किताबों पे तेरा ही नाम लिखता हूँ,
मगर कुछ तुम जो लिखती हो मैं खुद को भूल जाता हूँ,
मैं अकसर ये ही कहता हूँ, मैं तुमसे प्यार करता हूँ,
मगर जब तुम ये कहती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ...!!!

Friday, November 13, 2009
Jab Woh The
Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai,
Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai,
Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi,
Ab to maut ke thikaane dhoondte hai,
Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha,
Aaj hue se deewaane dhoondte hai,
Musafir be-khabar hai teri aankhon se,
Tere shahar mein maikhaane dhoondte hai,
Tujhe kya pata ae sitam dhaane wale,
Hum to rone ke bahaane dhoondte hai,
Unki aankhon ko youn na dekho,
Naye teer hai nishaane dhoondte hai...!!!

Subscribe to:
Posts (Atom)