Pages

Sunday, June 21, 2009

Tanha

Lab-e khamosh se afsha hoga
Raaz har rang mein rusva hoga

Dil ke sehra mein chali sard hava
Abr gulzaar pe barsa hoga

Tum nahi the tou sar-e-baam-e-khayal
Yaad kaa koyi sitaara hoga

Kis tavaqqo pe kisi ko dekhein
Koyi tum se bhi haseen kya hoga

Zeenat-e-halqa- e-aagosh bano
Door baithoge tou charcha hoga

Zulmat-e-shab mein bhi sharmaate ho
Dard chamkega tou phir kya hoga

Jis bhi funkaar ka shahkaar ho tum
Us ne sadiyon tumhein socha hoga

Kis qadar karb se chataki hai kali
Shaakh se gul koi toota hoga

Umr bhar roye faqat is dhun mein
Raat beeti tou ujala hoga

Sari dunia hamein pahchanti hai
Koyi ham-sa bhi na tanha hoga


Bookmark and Share

No comments:

Post a Comment