Pages

Showing posts with label Raaz. Show all posts
Showing posts with label Raaz. Show all posts

Friday, November 19, 2010

Sar Pe Tohmat Zamane Bhar Ki Utha Li Jaye

Sar pe tohmat zamane bhar ki utha li jaye,
Lekin arthi na sadaqat ki nikali jaye,

Raaz ko raaz agar rakhna hai to lazim hai,
Raaz ki baat faqat dil me daba li jaye,

Tang aakar hi badal dala hai mausam ne libaas,
Khushgawari ki galatfehmi na paali jaye,

Zindagi shaan se jini hai to masih ki tarah,
Apne kaandhe pe saleeb apni utha li jaye,

Tu masiha hai to kar ishq ke maaron ka ilaaj,
Dar se tere na koii khali sawali jaye,

Bijliyan shehar mein gumrah huii hain ‘shabnam’,
Aabroo inki ujadne se bacha li jaye.

By Shabnam Sultana 'Ada’

**********

सर पे तोहमत ज़माने भर की उठा ली जाये,
लेकिन अर्थी ना सदाकत की निकली जाये,

राज़ को राज़ अगर रखना है तो लाजिम है,
राज़ की बात फकत दिल में दबा ली जाये,

तंग आकर ही बदल डाला है मौसम ने लिबास,
खुशगवारी की ग़लतफहमी ना पाली जाये,

जिंदगी सहन से जीनी है तो मसीह की तरह,
अपने काँधे पे सलीब अपनी उठा ली जाये,

तू मसीहा है तो कर इश्क के मारों का इलाज़,
दर से तेरे ना खाली कोई सवाली जाये,

बिजलियाँ शहर में गुमराह हुई हैं 'शबनम'
आबरू इनकी उजड़ने से बचा ली जाये,

शबनम सुल्ताना 'अदा'

Wednesday, July 1, 2009

Main Kya Karta

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,
Taweel hota gaya faasla main kya karta!

Her ek shakhs ko tha zaum-e rehbari kitna,
Bhatak raha tha mera qaafila main kya karta?

Gum-e-Hayaat, Gum-e-Ishq aur Gum-e-Janaan'
Ulajh gaya tha her ik silsila main kya karta!

Tumhare saath kise failse ki fursat thee,
Tumhari baad bhala faisla main kya karta.

Bahut sambhaal ke rakha tha Dil me raaz tera,
Wo ban ke ashk jo girne laga main kya karta.

Mujhi se maangne aayi wo le ke majboori,
Ab usse us ki jaffa ka Gilla main kya karta.

Wo aansuon ki zabaan' jaanti na thi meri,
Mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karta.


Bookmark and Share